Kabeerah Gunaah Aur Unse Ijtinaab
بسم الله الرحمن الرحیم
Allah Ta'ala ka irshaad hai:
إِن تَجْتَنِبُوا كَبَائِرَ مَا تُنْهَوْنَ عَنْهُ نُكَفِّرْ عَنكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ
"Agar tum un kabeerah gunaahon se bachte raho ge jin se tumhen mana' kiya gaya hai tou hum tumhare (chotay) gunaah mitaa denge."
(Surah Nisaa: 31)
Is aayat e kareema mein Allah Ta'ala ne apne bandon se wa'dah kiya hai ke jo bhi in kabeerah gunaahon se ruk gaya, jin se Allah aur uske Rasool ne mana' faramaaya hai tou Allah uske sageerah gunaah mitaa dey ga aur usey Jannat mein dakhil kare ga, kabeerah gunaah ki ulama ne mukhtalif tareefen ki hain masalan:
⑴ Har gunaah kabeerah hai jis pe Allah Ta'ala ne jahannum ki wa'eed sunai, ghazab ka izhaar kiya, lanat farmaayi, azaab ka aylaan kiya ya jis par had jaari ki gayi ho.
⑵ Hafiz Zehbi رحمه الله ne apni kitaab "al-Kabaair" mein likha hai:
فيه حد في الدنيا كالقتل والزنا والسرقة أو جاء فيه وعيد في الآخرة من عذاب أو غضب أو تهديد أو لعن
"(Kabeerah wo gunaah hai) jis par koi had ho jaise qatl, zina, chori wagerah ya jis ke karne par aakhirat mein azaab aur gusse ki wa'eed ho jis gunaah par Allah ne lanat ki ho."
(al-Kabaair)
⑶ Hafiz Ibne Kaseer رحمه الله ne Qazi Abu Sa'eed al-Harawi se naql kiya ke:
أن الكبيرة كل فعل نص الكتاب على تحريمه وكل معصية توجب في جنسها حدا من قتل أو غيره، وترك كل فريضة مأمور بها على الفور والكذب في الشهادة والرواية واليمين
"Kabeerah har wo gunaah hai jis ke barey mein Kitaab o Sunnat mein hurmat ki nas aayi ho aur har wo ma'siyat jo apni jins mein had ko jaari kare jaise qatl aur har us farize ko chhorna jis ko bar-waqt karne ka hukm ho, riwayat ya qasam ya gawahi mein jhoot bolna kabeerah gunaahon mein se hai."
(Tafseer Ibne Kaseer: 2/254, Surah Nisaa: 31)
Kabeerah gunaahon ki nishaan-dahi Sahih Hadeeson mein bhi ki gayi hai jin mein se baaz darj zail hain:
⒈Ek dafa' Nabi e Kareem ﷺ ne Sahaba se farmaaya:
الا انبئكم باكبر الكبائر ثلاثا؟ قالوا: بلى يا رسول الله، قال: الإشراك بالله، وعقوق الوالدين، وجلس وكان متكئا، فقال: الا وقول الزور، قال: فما زال يكررها حتى قلنا ليته سكت
"Main tumhen kabeerah gunaahon ki khabar na dun"? Aap ﷺ ne yeh alfaaz teen dafa' dohraye, Sahaba ne kaha: ji haan Aye Allah ke Rasool! Tou Aap ﷺ ne farmaaya: Allah ke sath shirk karna, walidain ki nafarmani karna. Phir Aap ﷺ baith gaye, pehle Aap ﷺ ne taik lagai huwi thi, farmaaya: Khabardaar! Jhooti gawaahi bhi kabeerah gunaah hai, Aap ﷺ yeh alfaaz baar baar kehte rahe hatta ke hum ne kaha: kash Aap khamosh ho jaayen."
(Sahih Bukhari, Hadees: 2654, Sahih Muslim: 259)
Is hadees mein (Jhooti Gawaahi) ke lafaaz Rasoolullah ﷺ baar baar dhuhraate rahe kiyunke yeh ek aisa gunaah hai jo doosre kayi gunaahon ka majmuah hai masalan:
✨ Yeh jhoot aur iftiraa hai, Allah Ta'ala ne farmaaya:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي مَنْ هُوَ مُسْرِفٌ كَذَّابٌ
"Allah Ta'ala had se guzarne waale aur jhoot bolne waale ki rehnumayi nahi karta."
(Surah Momin/Ghafir: 28)
✨ Doosra gunaah yeh hai ke jis ke khilaaf gawaahi di gayi hai us par zulm hai hatta ke uski gawaahi se uska maal, uski izzat wa ahteraam mehfooz na rahe.
✨ Teesra gunaah yeh hai ke usne jis ke haq mein gawaahi di hai usey haraam maal khilaya jis ki wajah se yeh mal'oon tehraa, Allah Ta'ala ka irshaad hai:
أَلَا لَعْنَةُ اللَّهِ عَلَى الظَّالِمِينَ
"Khabardaar! Zalimo par Allah ki lanat hai."
(Surah Hud: 18)
✨ Chawtha gunaah jo Allah ne Muslim ki ismat, khoon aur izzat ko haraam qaraar diya hai, usne apni gawaahi se usey halaal tehraaya, halaanke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
كل المسلم على المسلم حرام دمه وماله وعرضه
"Har musalmaan ka maal, uska khoon aur uski izzat doosre musalmaan par haraam hai."
(Sahih Muslim, Hadees: 6541)
Maloom huwa ke yeh kayi gunaahon ka majmuah hai jis ki wajah se Rasoolullah ﷺ ne usey baar baar dhuhra kar is se khaas taur par bachne ki talqeen farmaayi hai.
⒉ Sayyiduna Abdullah bin Masood (رضي الله عنه) se riwayat hai ke:
قال رجل: يا رسول الله، اي الذنب اكبر عند الله؟، قال: ان تدعو لله ندا وهو خلقك، قال: ثم اي؟، قال: ثم ان تقتل ولدك مخافة ان يطعم معك، قال: ثم اي؟، قال: ان تزاني حليلة جارك، فانزل الله تصديقها: والذين لا يدعون مع الله إلها آخر ولا يقتلون النفس التي حرم الله إلا بالحق ولا يزنون ومن يفعل ذلك يلق اثاما {68} يضاعف له العذاب سورة الفرقان آية 68-69
"Ek aadmi ne Rasoolullah ﷺ se pouchha: Allah ke haan kaunsa gunaah sab se bada hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Tu Allah ke sath kisi ko shareek bana kar pukaare halaanke us (Allah) ne tujhe paida kiya, usne pouchha: phir iske ba'd kaunsa gunaah kabeerah hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Tu apni aulaad ko is darr se qatl kare ke wo tere sath mil kar khayen ga, usne pouchha: phir iske ba'd kaunsa gunaah kabeerah hai? Tou Aap ﷺ ne farmaaya ke tu apni padosi se zina kare, phir Allah Ta'ala ne iski tasdeeq naazil farmaayi: ("Jo log Allah ke siwa kisi doosre ilaah ko nahi pukaarte aur na us jaan ko na-haq qatl karte hain jise Allah ne haraam qaraar dia aur na zina karte hain, aur jo koi yeh kaam kare wo apne oopar sakht wabaal laaye ga" (Surah al-Furqaan: 68) Aap ﷺ ne yeh aayat aakhir tak tilawat farmaayi."
(Sahih Bukhari, Hadees: 7532, Sahih Muslim: 258)
✨ Is hadees mein Allah ke sath shirk tehraane ko kabeerah gunaahon mein shumaar kiya gaya, shirk ek aisa gunaah hai jo Allah Ta'ala kabhi muaaf nahi karega. (Dekhiyen, Surah an-Nisaa: 116)
✨ Doosra kabeerah gunaah: Aadmi apni aulaad ko is darr se qatl kare ke wo uske sath mil kar Allah ka diya huwa rizq khayenga, aise aadmi ka Allah par emaan nahi hai, taqdeer par emaan nahi, agar emaan hota tou aisa kabhi na karta, kiyunke Allah Ta'ala farmaate hai:
وَمَا مِن دَابَّةٍ فِي الْأَرْضِ إِلَّا عَلَى اللَّهِ رِزْقُهَا
"Zameen mein har jaan-daar ka rizq Allah par hi hai."
(Surah Hud: 6)
✨ Teesra kabeerah gunaah: Padosi ki biwi se zina karna hai yeh is liye ke us par padosi ke huqooq hain jin mein se yeh bhi hai ke yeh padosi ke maal, jaan aur izzat ka muhafiz ho, na ke kudh hi uski ismat daari shuru kar day, is mein bhi do gunaah shamil hain: ek tou is ne apni padosi ki izzat ki hifazat nahi ki, usey us ka haq nahi diya aur doosra gunaah yeh ke usne zina kiya.
⒊ Sayyiduna Abdullah bin Amr bin al-'Aas (رضي الله عنه) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
من الكبائر شتم الرجل والديه "، قالوا: يا رسول الله، وهل يشتم الرجل والديه؟ قال: " نعم، يسب ابا الرجل فيسب اباه، ويسب امه فيسب امه
"Kabeerah gunaahon mein se yeh bhi hai ke aadmi apne walidain ko gaali dey, Sahaba ne hairaan ho kar sawaal kiya: Aye Allah ke Rasool! Kya aadmi apne walidain ko gaali dey sakta hai? Aap ﷺ ne farmaaya: haan, wo kisi doosre aadmi ke waalid ko gaali deyta hai, wo uske waalid ko gaali dey ga aur doosre ki maa ko gaali dey tou doosra aadmi uski maa ko gaali dey ga."
(Sahih Muslim, Hadees: 90/263)
Sahih Bukhari mein hai ke kabeerah gunaahon mein se hai ke aadmi apne walidain par lanat kare. (Sahih Bukhari, Hadees: 5973)
Is hadees mein waazeh hai ke kisi ke walidain ko gaali deyna goya apne walidain ko gaali deyna hai, aur isey kabeerah gunaahon mein shumaar kiya gaya hai.
⒋ Sayyiduna Abu Hurairah (رضي الله عنه) se riwayat hai ke Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:
اجتنبوا السبع الموبقات، قالوا: يا رسول الله، وما هن، قال: الشرك بالله، والسحر، وقتل النفس التي حرم الله إلا بالحق، واكل الربا، واكل مال اليتيم، والتولي يوم الزحف، وقذف المحصنات المؤمنات الغافلات
"Saat halaak kar deyne waale gunaahon se bacho! Sahaba ne pouchha: Ya Rasoolullah ﷺ! Wo kaunse hain? Tou Aap ﷺ ne farmaaya: ①Allah ke sath shirk karna ②Jadu karna (yaad rahe ke is se muraad jadu karne waala, karwaane waala, seekhne waala, seekhane waala, sab shamil hain) ③Jis nafs (jaan) ka qatl Allah ne haraam kiya hai usey na-haq qatl karna ④Sood khana ⑤Yateem ka maal khana ⑥Jihaad ke dauraan mein peeth phair kar bhaagna ⑦Paak daaman bholi mominah auraton par tohmat lagana."
(Sahih Bukhari, Hadees: 2766, Sahih Muslim: 89/262)
Iske ilaawah bhi Sahih Ahadees mein aur bhi kabeerah gunaahon ka zikr hai.
Shuru mein likhi gayi aayat ka doosra hissah:
نُكَفِّرْ عَنكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ
"Agar tum in gunaahon se bacho ge tou tumhare sageerah gunaah mitaa diye jaayen ge." (Surah Nisaa: 31)
Is aayat ki tashreeh mein Sayyiduna Abu Hurairah aur Sayyiduna Abu Sa'eed al-Khudri (رضي الله عنهما) se labmi riwayat hai, jis ka kuch hissah yun hai ke:
ما من عبد يصلي الصلوات الخمس، ويصوم رمضان، ويخرج الزكاة، ويجتنب الكبائر السبع، إلا فتحت له ابواب الجنة , فقيل له: ادخل بسلام
"Jo bandah panch namazen padhta hai, ramzaan ke roze rakhta hai, zakaat deyta hai aur saat kabeerah gunaahon se bachta hai tou uske liye jannat ke darwaaze khol diye jaate hain, us se kaha jaata hai ke tu in darwaazon mein salamati ke sath dakhil ho jaa."
(Sunan an-Nasaai, Hadees: 2440, Wa Sanadahu Hasan)
Saat kabeerah gunaahon se muraad wahi saat kabeerah gunaah hain jinka zikr abhi guzra hai kiyunke hadees hadees ki tashreeh karti hai, Sahih Bukhari waali riwayat mein bhi saat halaak karne waale gunaahon ka zikr hai aur Nasaai waali hadees mein bhi saat gunaahon se bachne ka zikr hai.
Sahih Muslim mein Sayyiduna Abu Hurairah (رضي الله عنه) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
الصلاة الخمس، والجمعة إلى الجمعة، كفارة لما بينهن، ما لم تغش الكبائر
"Paanch namazen aur jumuah se ley kar doosre jumuah tak, ramzaan se doosre ramzaan tak jo un ke darmiyaan gunaah huwe hain in ke liye kaffarah hai, (yane sageerah gunaahon ko mitaa deyne waale hain) jab tak banda kabeerah gunaahon se bachta hai."
(Sahih Muslim, Hadees: 133/552)
Is hadees se maloom huwa ke insaan agar kabeerah gunaahon se bachta rahe, namaz, rozah aur nek amaal karta rahe tou uske sageerah gunaah mitaa diye jaate hain.
Tahreer: Abdul Waheed Renaalwi حفظہ اللہ
Ishatulhadith, Shumara 59, Safah: 6-9
Romanised: Syed Ibrahim