Jab Rozadaar Azaan E Fajr Ke B'ad Kuch Kha Pee Ley?

بسم الله الرحمن الرحيم

Sawaal: Jab rozedaar azaan e fajr sunne ke ba'd kuch pee ley tou kya uska rozah sahih hoga?

Jawaab: Jab rozedaar azaan e fajr ko sunne ke ba'd kuch peeye tou uski surat yeh hai ke agar muazzin ne tuloo' subh ke ba'd azaan kahi hai tou phir azaan ke ba'd khana peena jayiz nahi aur agar azaan tuloo' subh se pehle kahi hai tou phir khane peene mein koi harj nahi hai ke Allah Ta'ala ka irshaad hai:
فَالْآنَ بَاشِرُوهُنَّ وَابْتَغُوا مَا كَتَبَ اللَّهُ لَكُمْ ۚ وَكُلُوا وَاشْرَبُوا حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَكُمُ الْخَيْطُ الْأَبْيَضُ مِنَ الْخَيْطِ الْأَسْوَدِ مِنَ الْفَجْرِ ۖ 
"Ab (tum ko ikhtiyaar hai ke) in se mubashirat karo aur Allah ne jo cheez tumhare liye likh rakhi hai (yane aulaad) us ko (Allah se) talab karo aur khao peeyo yahan tak ke subh ki safeed dhari (raat ki) siyah dhari se alag nazar aane lagi."
(Surah al-Baqarah: 187)

Aur Nabi e Kareem ne farmaaya tha:
إن بلالاً يؤذن بليل فكلوا واشربوا حتى تسمعوا أذان ابن أم مكتوم فإنه لا يؤذن حتى يطلع الفجر
"Bilaal (Razi Allahu Anhu) raat ko azaan kehte hain lehaza tum khao peeyo, hatta ke Ibne Umme Maktoom (Razi Allahu Anhu) ki azaan ko sun lo kiyun ke wo azaan nahi kehte hatta ke fajr tuloo' ho jaaye."
(Sahih Bukhari, Hadees: 1918, 1919, Sahih Muslim: 1092)

Muazzin ko bhi chahiye ke wo ahtiyaat se kaam len aur us waqt tak azaan na kahen jab tak subh namudaar na ho jaaye ya sahih waqt deyne waali ghadiyon ke zari'ah tuloo' e fajr ka yaqeen na ho jaaye, taake wo logon ko dhoka na dey saken, Allah Ta'ala ki halaal kardah ashiyaa ko haraam na qaraar dey saken aur namaz e fajr ko waqt se pehle halaal na qaraar dey saken, waqt se pehle azaan deyne ke aur bhi bahut se nuqsanaat hain.

-Shaykh Ibne Usaimeen رحمہ اللہ

Reference: | Fatawa Islamiyah (Urdu) Jild, 2, Safah 173)

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles