Humsaayon (Padosiyon) Se Muhabbat!

بسم الله الرحمن الرحیم

Deen e Islam mein humsaayon, padosiyon ke baday huqooq hain, Allah تعالى ka irshaad hai:
وَاعْبُدُوا اللَّهَ وَلَا تُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا ۖ وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَانًا وَبِذِي الْقُرْبَىٰ وَالْيَتَامَىٰ وَالْمَسَاكِينِ وَالْجَارِ ذِي الْقُرْبَىٰ وَالْجَارِ الْجُنُبِ وَالصَّاحِبِ بِالْجَنبِ وَابْنِ السَّبِيلِ وَمَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ
"Allah ki ibaadat karo, uske sath kisi ko shareek na karo, walidain, rishtedaaron, yateemo, miskeeno, rishtedaar padosiyon, ajnabi padosiyon, pehlu ke sath (biwi), musafir aur ghulaamo se achchaa sulook karo."
(Surah Nisaa: 36)

Rasoolullah ne farmaaya:
ما زال جبريل يوصيني بالجار حتى ظننت انه سيورثه
"Mujhe Jibreel عليه السلام lagataar, padosi ke sath (achchey sulook ka) hukm deyte rahe yahan tak ke maine yeh khayaal kiya ke wo usey (padosi ko) warasat ka haq-daar qaraar den ge."
(Sahih Bukhari, Hadees: 6015, Sahih Muslim: 2625)

EK Hadees mein aaya hai ke Aap ne farmaaya:
والله لا يؤمن ......... الذي لا يأمن جاره بوائقه
"Allah ki qasam wo shakhs (poora) momin nahi ho sakta ............ jis ka padosi uske shar se mehfooz na rahe."
(Sahih Bukhari, Hadees: 6016)

Ek hadees mein aaya hai ke:
لا يدخل الجنة، من لا يامن جاره بوائقه
"Wo shakhs jannat mein dakhil nahi hoga jis ki izaa rasaani aur shar se uska padosi mehfooz na rahe."
(Sahih Muslim, Hadees: 46)

Sayyiduna Abu Shuraih al-'Adawi (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi ne farmaaya:
من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم جاره
"Jo shakhs Allah aur aakhirat par emaan rakhta hai tou usey chahiye ke apne padosi ki izzat (aur us se achcha sulook) kare."
(Sahih Bukhari, Hadees: 48)

Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ne farmaaya:
من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فلا يؤذ جاره
"Jo shakhs Allah aur aakhirat par emaan rakhta hai tou wo apne padosi ko (koi) takleef na dey."
(Sahih Bukhari, Hadees: 6018, Sahih Muslim: 47)

Aap ne auraton ko hukm diya:
يا نساء المسلمات لا تحقرن جارة لجار تها ولو فرسن شاة
"Aye Musalmaan Auraton! Koi padosan apni padosan ko (tohfe mein) halki cheez (tak) deyne mein haqaarat mehsoos na kare agarche yeh bakri ka ghar hi kiyun na ho."
(Sahih Bukhari, Hadees: 6017, Sahih Muslim: 1030)

Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi se kaha gaya:
"Fulaan aurat (har) raat tahajjud padhti aur har din rozah rakhti hai, (achchey) kaam karti aur sadqah kar deyti hai lekin wo apni zubaan se apne padosiyon ko takleef deyti hai. Rasoolullah ne farmaaya:
لا خير فيها، هي من اهل النار
"Wo aurat mein koi khair nahi hai ..... wo jahannumiyon mein se hai."
Kaha gaya ke fulaan aurat farz namaz padhti hai aur (kabhi kabhaar) paneer ke tukday sadqah kar deyti hai aur kisi ko takleef nahi deyti tou Aap ne farmaaya:
هي من اهل الجنة
"Wo jannatiyon mein se hai."
(al-Adab ul-Mufrad Lil Bukhari: 119, Wa Sanadahu Sahih, Sahih Ibne Hibbaan: 13/76,77, Hadees: 5734)

Ek aadmi ne Rasoolullah  se arz kiya ke mera padosi mujhe takleef deyta hai tou Aap  ne farmaaya: Jao aur apna (ghar ka) samaan bahar nikaal kar raaste mein rakh do, wo chala gaya aur apna samaan bahar nikaal kar rakh diya, log ekkhatta ho gaye aur pouchne lage: tujhe kya ho gaya hai? Usne kaha: mera padosi mujhe takleef deyta hai lehaza maine Nabi  se iska zikr kiya tou Aap  ne farmaaya: apna samaan nikaal kar raaste mein rakh do. Log us (padosi) ko bad dauyen deyne lage: Aye Allah tu us par lanat kar, Aye Allah tu usey zaleel kar dey. Us shakhs ko jab maloom huwa tou aaya aur apne padosi se kaha: ghar mein wapas chale jaao, Allah ki qasam main tumhen kabhi takleef nahi dunga."
(al-Adab ul-Mufrad Lil Bukhari, Hadees: 124, Wa Sanadahu Sahih, Abu Dawood, Hadees: 5153, Imam Hakim ne muslim ke shart par sahih kaha, 4/165,166)

Aap  se do padosiyon ke barey mein poucha gaya ke kis se (ziyadah) husn e sulook kiya jaaye! Tou Aap  ne farmaaya:
إلى اقربهما منك باباً
"Jis ka darwaza tumhare ghar ke ziyadah qareeb ho."
(Sahih Bukhari, Hadees: 6020)

Har musalmaan par yeh laazim hai ke wo apne padosiyon ka khayaal rakhe, un se husn e sulook kare aur kisi qism ki takleef na dey.

Payare Nabi  ne apne Sahabi (Sayyiduna) Abu Zar Ghifari (Razi Allahu Anhu) se farmaaya:
يا ابا ذر؛ إذا طبخت مرقة فاكثر ماءها وتعاهد جيرانك
"Aye Abu Zar! Jab tum shorbe waali koi cheez pakao tou us mein paani daal kar shorba ziyadah kar do aur apne padosi ka khayaal rakho."
(Sahih Muslim, Hadees: 262, Islami Tarz e Zindagi, Safah: 20)

al-Hadees 12

Refrence| (Kitaab: Fazaail E Sahaba, Taleef: Hafiz Sher Muhammad حفظہ اللہ Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ Page 156-157)

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles