Nikah Ka Maqsad!

بسم الله الرحمن الرحيم
Article: Nikah Ka Maqsad!
Az: Hafiz Muhammad Tahir حفظہ اللہ

Nikah karne waale ko chahiye ke wo apna maqsad mahz fitri wa tab'ii qazaye shehwat na banaye balke islah e niyat ke zariye is amal ko apne liye husool e ajr aur naama e amaal mein nekiyon ke izaafe ka baais banaye;

1. Bandah zehn mein rakhe ke wo Allah aur uske Rasool  ke hukm ki ta'meel kar raha hai, jaisa ke aap ne farmaaya:
يا معشر الشباب من استطاع منكم الباءة فليتزوج
"Aye naujawano! tum mein se jis ke paas taaqat ho wo nikah kar ley." aur Allah wa Rasool ki itaa'at tou sarasar khair hi hai.

2. Ummat ki ta'daad mein izafah; kiyunke ummat e muslimah mein izafah Nabi e Kareem  ko bahut ziyadah mehboob wa pasandeedah tha aur ummat ki nasl mein ziyaadati is ki quwat aur izzat ke asbaab mein se hai, isi liye Shoaib علیہ السلام ne apni qaum se kaha tha;
وَاذْكُرُوا إِذْ كُنْتُمْ قَلِيلاً فَكَثَّرَكُمْ
"Yaad karo jab tum thoday thhey tou Allah تعالى ne tumhen kasrat e ta'daad inaayat ki." neez Allah تعالى ne Bani Israeel par in alfaaz mein apna ehsaan jatlaaya:
وَجَعَلْنَاكُمْ أَكْثَرَ نَفِيرًا
"Aur tumhen ta'daad mein ziyadah kar diya."

3. Yeh bhi niyat ho ke nikah aap ki aur biwi ki izzat wa ismat aur sharamgahon ki hifazat ka zari'ah bane ga, neez iske zariye aap ki aur ahliya ki nazren mehfooz rahen gi, aap dono be-wajah bure khayalaat aur haraam af'aal ke irtekaab se bach jaayen ge.

4. Nikah aulaad ke husool ka zari'ah hai aur agar aulaad nek ho tou uska har har amal walidain ke naama e amaal mein sawaab ka izafah karta jaata hai, isi liye b'az Salaf kaha karte thhey ke hum nikah apni shehwat raani ke liye nahi karte balke is liye karte hain ke hamari nasl se nek aulaad aaye jo hamari nekiyon mein izaafe ka sabab bane, aur yaqeenan nek aulaad waqai walidain ke liye free ka bonus hota hai, aulaad koi nek amal karti hai walidain baithay bithaye sawaab samait leyte hain aur kabhi tou aisa hota hai ke awlaad mein se koi ilm wa amal mein apne walidain se aage badh jaata hai aur aise walidain nekiyon ke muaamle mein asl se ziyadah sood ka faidah utthaa leyte hain. (Allah تعالى hamari nekiyon ke sawaab mein hamare walidain ko shamil farmaaye. aameen)
(Dekhiyen; Ash-Sharh al-Mumti Lish Shaykh Muhammad bin Saleh al-'Usaimeen: 12//10)

-Hafiz Muhammad Tahir حفظہ اللہ

Tamaam Articles