"Main Tou Taqseem Karne Waala Hon" Ki Sharah!

بسم الله الرحمن الرحيم

Sayyiduna Mu'aawiyah رضی اللہ عنہ se riwayat hai ke Rasoolullah ne farmaaya:
من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين، وإنما انا قاسم والله يعطي، ولن تزال هذه الامة قائمة على امر الله لا يضرهم من خالفهم حتى ياتي امر الله
"Jis shakhs ke sath Allah تعالٰی bhalayi ka iraadah kare usey deen ki samahj inaayat farmaa deyta hai aur main tou mahz taqseem karne waala hon, deyne waala tou Allah hi hai aur yeh Ummat hamesha Allah ke hukm par qaayim rahegi aur jo shaksh inki mukhalifat karega, inhen nuqsaan nahi pohnchaa sakega, yahan tak ke Allah تعالٰی ka hukm (qayamat) aajaye (aur yeh aalam fanaa ho jaaye)."
(Sahih Bukhari: Hadees 71)
⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯

"Aur main tou taqseem karne waala hon." وإنما انا قاسم ki tashreeh mein Qastalaani رحمہ اللہ ne likha hai:
أي أقسم بينكم تبليغ الوحي من غير تخجصيص
"Main bagahir kisi taqsees ke tumhaare darmiyaan wahi ko taqseem kar raha hon."
(Irshaad ul Saari: 1/170)

Maloom huwa ke qaasim se muraad Qur'an aur Hadees ka ilm logon mein taqseem karna aur phaylaana hai, b'az logon ne is se taqseem e maal (yani maal e ghanimat ki logon mein taqseem) muraad liya hai aur yeh mafhoom bhi sahih hai. .... ....

Yeh taqseem karna Rasoolullah ki zindagi mein tha aur Aap ki wafaat ke b'ad ab tamaam tafaqquh Aap ki Ahadees e Sahihah ki itteba' mein hi hai.

(Azwah al-Masabih fi Tahqeeq Mishkat al-Masabih: Hadees 200, Ke Tehat Dekhe)

Az: Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ
⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯⎯

Imam Bukhari رحمہ اللہ ne is hadees ko kitaab ul ilm aur kitaab ul ghanaim mein zikr kiya hai, matlab yeh hai ke Allah تعالٰی mujhe ilm e nabuwat se nawaazta hai aur main iski tableegi karta hon, ya Allah تعالٰی maal e ghanimat 'ataa farmaata hai aur main taqseem kar deyta hon, yeh tehat al-asbaab madad hai.

Sayyiduna Abu Hurairah رضی اللہ عنہ bayaan karte hain ke Rasoolullah ne farmaaya:
ما اعطيكم ولا امنعكم انا قاسم اضع حيث امرت
"Main na tumhen kuch dey sakta hon aur na rok sakta hon, main tou sirf taqseem karne waala hon, jahan hukm hota hai, wahan kharch karta hon."
(Sahih Bukhari, Hadees: 3117)

Yahan Nabi e Kareem wazeh farmaa rahe hain ke main tumhen kuch 'ataa nahi kar sakta, na hi Rab ki 'ataa mein bandish daal sakta hon...

Az: Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri حفظہ اللہ

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles