Namaz Mein Qur'an E Majeed Dekh Kar Tilawat Karna

بسم الله الرحمن الرحيم

Sayyidah Aisha رضي الله عنها ke ghulaam (ramazan mein) Qur'an e majeed dekh kar imaamat karwate thhey.
(Musannaf Ibne Abi Shaiba, 2/338, Hadees: 7216, Wa Sanadahu Sahih. Sahih Bukhari mein taliqan hai, Hadees: 660 se pehle)

Sayyiduna Anas bin Malik رضی الله عنه namaz padhte tou inka ghulaam Qur'an pakaday huwe luqmah deyta tha.
(Musannaf Ibne Abi Shaiba, 2/338, Hadees: 7222, Wa Sanadahu Hasan)

Imam Muhammad bin Sireen رحمه الله (taabayi) Qur'an e majeed dekh kar namaz padhne ko jayiz samahjte thhey.
(Musannaf Ibne Abi Shaiba: 7214, Wa Sanadahu Sahih)

Aisha binte Talha (bin ubaidullah taimiyah) رحمها الله apne ghulaam ya kisi ko hukm deyten, wo Qur'an dekh kar inhen namaz padhaata tha.
(Musannaf Ibne Abi Shaiba: 7217, Wa Sanadahu Sahih)

Hakam bin Utaybah رحمه الله ne Qur'an dekh kar namaz padhne ki ijaazat di.
(Musannaf Ibne Abi Shaiba: 7218, Wa Sanadahu Sahih)

Hasan Basri bhi isey jayiz samahjte thhey.
(Musannaf Ibne Abi Shaiba: 7222, Wa Sanadahu Hasan)

Hasan Basri, Muhammad bin Sireen aur Ataa bin Abi Rabah Qur'an e majeed dekh kar namaz padhaane ko jayiz samahjte thhey.
(Musannaf Ibne Abi Shaiba: 7218_7220. mazkoorah asaar ki asaneed hasan hai)

Imam Muhammad bin Sireen namaz padhaatey aur unke qareeb hi ek mushaf (Qur'an e Majeed) hota tha, jab unhen kisi (aayat) mein taraddud hota tou dekh liya karte thhey.
(Musannaf Abdur Razzaq, 2/420, Hadees: 3931, Wa Sanadahu Sahih)

Imam Ibne Shihaab al-Zuhri رحمه الله se poucha gaya: kya Qur'an e Majeed dekh kar namaz padhi jaa sakti hai? tou unhon ne farmaaya: ji haan! jab se Islam hai, log yeh kar rahe hain.
(al-Masaahif Li Ibne Abi Dawood, Safah 222, Hadees: 806-807, Wa Sanadahu Hasan, Doosra nuskha: 781-782)

Yahiya bin Saeed al-Ansari رحمه الله ne farmaya: main ramazan mein Qur'an dekh kar qiraat karne mein koi harj nahi samhjta.
(al-Masaahif Li Ibne Abi Dawood: 780, Wa Sanadahu Hasan, Doosra Nuskha: 805)

Imam Abu Hanifa رحمه الله ke mashoor ustaad Imam Ataa bin Abi Rabah al-Makki al-Tabaayi رحمه الله namaz mein Qur'an dekh kar qiraat karne mein koi harj nahi samhjte thhey.
(al-Masaahif Li Ibne Abi Dawood, Safah 222, Wa Sanadahu Hasan, Rabah bin Abi maroof al-Hadees Jamhoor ke nazdeek siqah hai, baqi sanad sahih hai)

Tambeeh: Baz ulama maslan Hammaad, Qatadah wagerahuma Mushaf dekh kar Qur'an padhna na-pasand karte ya makrooh samahjte thhey. (maslan dekhiye Musannaf Ibne Abi Shaiba: 7230, Wa Sanadahu Sahih)

Yeh qaul is par mahmool hai ke Sahih ul Aqeedah Hafiz hone ke bawajood jaan bojh kar Qur'an dekh kar namaz mein qiraat ki jaaye.

Doosrey yeh ke Sahaba aur Kibaar Tabayeen ke muqaable mein in aqwaal ki kya haisiyat hai?

Reference: | Ishatulhadith, Shumara no: 112, Safah: 37, Shumara: 35, Safah: 54-55 |

Tahreer: Hafiz Zubair Ali Zai رحمه الله

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles