Kya Saara Qur'an Sirf Tarjume Se Samahj Aa Jaata Hai?

بسم الله الرحمن الرحيم

Qur'an e Majeed mein basa awqaat ek hi lafz hota hai aur us se muraad mukhtalif hoti hai, jab tak ke Ulama ke kalaam ki taraf ruju na kiya jaaye, matloob ki wazaahat nahi hoti, iski ek misaal "al-Masjid al-Haraam" hai, dalaayil wa qaraain se faislah karna hota hai ke yahan muraad kya hai, agar sirf Masjid al-Haraam ki muraad samahjne mein ghalti ho jaaye tou saara ma'naa tabdeel ho jaata hai aur isi ki buniyaad par sharayi hukm bhi mukhtalif ho jaata hai.

  • Surah Baqarah aayat (144) mein hai:
فَوَلِّ وَجۡهَكَ شَطۡرَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۚ وَحَيۡثُ مَا كُنتُمۡ فَوَلُّواْ وُجُوهَكُمۡ شَطۡرَهُۥۗ [البقرة: ١٤٤]
Yahan Masjid al-Haraam se muraad "Kaba" muraad hai, agar koi poori masjid muraad ley kar kisi ek koney ki taraf munh kar ke namaz shuru kar dey tou namaz nahi hogi 

  • Surah Baqarah aayat (196) mein hai:
ذَٰلِكَ لِمَن لَّمۡ يَكُنۡ أَهۡلُهُۥ حَاضِرِي ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۚ [البقرة: ١٩٦]
Is aayat mein Masjid al-Haraam se muraad poora "Makkah e Mukarramah" hai, jahan tak makkah ki aabadi hogi wo shamil hoga, agar koi sirf masjid muraad ley tou saara hukm badal jaayega.

  • Surah al-Tawbah aayat (28) mein hai:
إِنَّمَا ٱلۡمُشۡرِكُونَ نَجَسٞ فَلَا يَقۡرَبُواْ ٱلۡمَسۡجِدَ ٱلۡحَرَامَ بَعۡدَ عَامِهِمۡ هَٰذَاۚ [التوبة: ٢٨]
Is aayat mein al-Masjid al-Haraam se muraad poora "haram" muraad hai jo hudood e haram par mushtamil hai aur yeh hudood maujood wa maroof hain, in poori hudood mein mushrikeen ka dakhilah mamnoo' hai.

  • Surah al-Tawbah aayat (19) mein hai:
أَجَعَلۡتُمۡ سِقَايَةَ ٱلۡحَآجِّ وَعِمَارَةَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ كَمَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ [التوبة: ١٩]
Is aayat mein al-Masjid al-Haraam se masjid aur iska gird wa nawaah muraad hai. wagerah wagerah

Maqsad yeh hai ke Qur'an e Majeed ke muta'alliq yeh baat kehna ke sirf tarjume se saara Qur'an samahj aa jaata hai, saare darwaaze khul jaate hain, iski tafseer wa tawzeeh ke liye Ahadees, Aasaar e Salaf aur Ulama ki zaroorat nahi, tou yeh bilkul baatil hai. Neez tafseer padhte waqt bhi yeh khayaal rakhna nihaayat zaroori hai ke wo Sahih ul-Aqeedah Siqah Aalim ki tafseer ho, kiyunke in aayaat mein se kisi ek jagah muraad ghalat ley li gayi tou poora sharayi hukm hi badal jaata hai jo kabhi Darja e Kufr tak ley jaata hai, poori ibaadaat ke butlaan ka baa'is banta hai, yeh sirf ek misaal rakhi hai, Qur'an e Majeed mein is tarha ke beesiyon misaalen hain.

و الله أعلم

-Hafiz Muhammad Tahir حفظہ اللہ

(al-Masjid al-Haraam 12 Shabaan, 1444-H, 3 March 2023) (Yeh Tahreer Shaykh Ke Facebook Account Se Li Gayi, Aur Romanised Ki Gayi. Syed Ibrahim)


Tamaam Articles