Hawaa Ko Bura Bhalaa Kehne Ki Mumaana'at!
بسم الله الرحمن الرحيم
Sayyiduna Abu Hurairah رضي الله عنه kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
لا تسبوا الريح، فإنها من روح الله، تاتي بالرحمة والعذاب، ولكن سلوا الله من خيرها، وتعوذوا بالله من شرها
"Hawaa ko buraa na kaho, kiyunke wo Allah ta'ala ki rahmat mein se hai, wo rahmat bhi laati hai aur 'azaab bhi laati hai, albattah Allah ta'ala se iski bhalaayi ka sawaal karo aur iske shar se Allah ki panaah manggo."
(Sunan Ibne Majah, Hadees: 3727)(Shaykh Albani رحمہ اللہ ne aur Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ ne "Sahih" kaha)
Fawaaid wa Masail:
1) Hawaa Allah ki ek bahut badi neymat hai jis ke baghair insaan ki zindagi mumkin nahi lekin yehi hawaa Allah ke hukm se aandhi aur tofaan ban kar tabaahi ka baa'is bhi ban jaati hai.
2) Rahmat aur 'azaab Allah ke ikhtiyaar mein hai, is liye is se umeed aur khauf rakhna chahiye.
3) Teez hawaa aur aandhi ke mauqe par Rasoolullah ﷺ is tarha dua farmaate thhey:
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَهَا وَخَيْرَ مَا فِيهَا وَخَيْرَ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَشَرِّ مَا فِيهَا وَشَرِّ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ
"Ya Allah! main tujh se iski bhalaayi, jo kuch is mein hai iski bhalaayi aur jo kuch isey dey kar behjaa gaya hai iski bhalaayi mangta hon, aur main iski burayi se, aur jo kuch isey dey kar behjaa gaya hai iski burayi se teri panaah mangta hon."(Sahih Muslim, Hadees: 899, Tarqeem Fuad Abdul Baqi)
Jis tarha insaano ko gaali deyna gunaah hai, isi tarha jaanwaron aur be-jaan makhlooq ko gaali deyna bura kaam hai.
Az: Maulana 'Ataaullah Sajid حفظہ اللہ
Romanised: Syed Ibrahim