Sayyiduna Umar Farooq رضي الله عنه Se Muhabbat!
بسم الله الرحمن الرحيم
Hamare payare Nabi e Kareem ﷺ Allah se dua kar rahe thhey:
اللهم اعز الإسلام باحب هذين الرجلين إليك: بابي جهل او بعمر بن الخطاب
"Aye Allah! in do aadmiyon: abu jahl aur umar bin khattaab mein se jo tere nazdeek mehboob hai, uske sath Islam ko 'izzat dey yani usey musalmaan kar dey."
Sayyiduna Abdullah bin Umar (Razi Allahu Anhuma) ne farmaaya: ke Umar (Razi Allahu Anhu) Allah ke nazdeek mehboob tareen thhey.
(Sunan Tirmizi, Hadees: 3681, Wa Sanadahu Hasan, Imam Tirmizi ne "Hasan Sahih Ghareeb" kaha)
Is nabawi dua ke natiije mein Ameer ul-Momineen Umar bin Khattaab (Razi Allahu Anhu) ne Islam qubool kar liya.
Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood (Razi Allahu Anhu) farmaate hain ke jab Umar (Razi Allahu Anhu) ne Islam qubool kar liya tou tou hum us waqt se barabar 'izzat mein (ghalib) rahe. (Sahih Bukhari, Hadees: 3684)
Awaam un naas mein yeh mashoor hai ke Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) Nabi e Kareem ﷺ ko shaheed karne ke iraade se nikle tou kisi ne bataya ke tumhaari behan aur behnoyi musalmaan ho gaye hain, (Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ne) jaa kar inhen khoob maara, b'ad mein musalmaan ho gaye, yeh riwayat (Tabqaat Ibne Sa'd: 3/267,269) (Sunan Daarqutni: 1/123, Hadees: 435) (Dalaayil an-Nabuwah Lil Baihaqi: 2/219,220) wagerah mein maujood hai, is riwayat ki sanad za'eef hai, iska rawi Qasim bin Usmaan al-Basri jamhoor muhaddiseen ke nazdeek za'eef hai.
Imam Daarqutni ne kaha: "ليس بالقوي" is silsile ki tamaan riwayaat za'eef wa mardood hain. (Seerah Ibne Hishaam: 1/367,371 bagahir sanad) (Seerah al-Nabawiyah Lil Zehbi: Page 172-181)
B'az riwayaton mein aaya hai ke Nabi ﷺ bautullah mein namaz padh rahe thhey, (Sayyiduna) Umar (Razi Allahu Anhu) ne Qur'an ki tilawat suni tou dil par asar andaaz huwa aur musalmaan ho gaye. (Musnad Ahmed: 1/17, Hadees: 107, iski sanad intiqaa' ki wajah se za'eef hai)
Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
إنه قد كان فيما مضى قبلكم من الامم محدثون، وإنه إن كان في امتي هذه منهم فإنه عمر بن الخطاب
"Beshak agli ummaton mein muhaddasoon (jinhen ilhaam wa kashf haasil tha) hotey thhey aur agar meri ummat mein un mein se koi hota tou Umar bin Khattaab hotey."
(Sahih Bukhari, Hadees: 3469)
Is hadees se do masle saabit huwe:
- Sayyiduna Umar Farooq (Razi Allahu Anhu) badi fazilat aur shaan waale hain.
- Ummat e Muslimah mein kisi ko bhi kashf ya ilhaam nahi hota.
Ek riwayat mein aaya hai ke Nabi ﷺ ne Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) se farmaaya:
إن الشيطان ليخاف منك يا عمر
"Aye Umar! beshak shaitaan tujhe se darta hai."
(Sunan Tirmizi, Hadees: 3690, Imam Tirmizi ne "Hasan Sahih Ghareeb" kaha, iski sanad hasan hai)
Doosri riwayat mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: main dekh raha hon ke jinnaat ke shaitaan aur insaano ke shaitaan sab Umar (Razi Allahu Anhu) se bhaag gaye hain. (Tirmizi: 3691, Imam Tirmizi ne "Hasan Sahih Ghareeb" kaha, Wa Sanadahu Hasan)
Aap ﷺ ne Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) se farmaaya ke us zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai, Aye (Umar) Ibne Khattaab! tu jis raaste par chal raha ho tou shaitaan us raaste ko chhor kar doosrey raaste par bhaag jaata hai. (Sahih Bukhari, Hadees: 3683, Sahih Muslim, Hadees: 22/2396, Azwa ul-Masaabih; 6027)
Ek hadees mein aaya hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
إنّ الله جعل الحقّ على لسان عمر وقلبه
"Beshak Allah ne Umar (Razi Allahu Anhu) ke dil aur zanaan par haq jaari rakha hai."
(Sahih Ibne Hibbaan, al-Mawarid: 2184, Wa Sanadahu Sahih)
B'az awaqaat Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ki muwaafaqat mein Qur'an e Majeed ki aayaat naazil huwen jinhen "Muwaafaqat e Umar" kehte hain. Dekhe (Sahih Bukhari: 402,4483 Sahih Muslim: 24/3391)
Sayyiduna Uqbah bin Amir (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:
لو كان بعدي نبيّ لكان عمر بن الخطّاب
"Agar mere ba'd koi Nabi hota tou Umar bin Khattaab hotey."
(Sunan Tirmizi, Hadees: 3686, Imam Tirmizi ne "Hasan Ghareeb" kaha, iski sanad hasan hai)
Rasoolullah ﷺ farmaate hain ke ek dafah maine khawaab dekhe, mere saamne log paish ho rahe thhey, kisi ki qamees seene tak thi aur kisi ki us se neeche, jab mere saamne Umar bin Khattaab paish kiye gaye tou wo apni (lambi) qamees ko ghaseet rahe thhey, logon ne pouchaa: Ya Rasoolullah! is khawaab ki tabeer kya hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Deen, yani Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) deen mein (Sayyiduna Abu Bakr Razi Allahu Anhu ke b'ad) sab logon se ziyadah maqaam rakhtey hain. Dekhe (Sahih Bukhari: 3691, Sahih Muslim: 15/3390)
Nabi e Kareem ﷺ ne jannat mein Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ka mahal dekha tha.
(Sahih Bukhari: 5226,7024 Sahih Muslim: 20/2394)
Aap ﷺ ne apni zabaan e mubaarak se Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ko jannati kaha.
(Sunan Tirmizi: 3747, Wa Sanadahu Sahih)
Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ke fazaail bahut ziyadah hain, in fazaail ko jama kar ke qaarayeen ke saamne paish karna ek mustaqil kitaab ka mutaqaazi hai, tafseel ke liye Imam Ahmed bin Hanbal (Rahimahullah) ki kitaab "Fazaail e Sahaba" aur Ibne Jauzi ki "Fazaail Umar bin Khattaab" wagerah kitaaben padhen.
Aakhir mein Ameer ul Momineen Umar Farooq (Razi Allahu Anhu) ki shahadat ka aakhri manzar paish e khidmat hai.
Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) par ek kafir feroz majusi Abu Lulu Ferzoz ne hamla kar ke sakht zakhmi kar diya tha, Islam ke sunehre daur aur fitno ke darmiyaan darwaaza toot gaya tha, aap ko dood ka pilaaya gaya tou anttidiyon ke raaste se bahar aagaya, is haalat mein ek naujawaan aaya, Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ne dekha ke uska izaar takhno se neeche hai tou aap ne farmaaya:
ابن اخي ارفع ثوبك فإنه ابقى لثوبك واتقى لربك
"Bhatije apna kapda (takhno se) oupar kar, is se tera kapda bhi saaf rahega aur tere Rab ke nazdeek yeh sab se ziyadah taqwe waali baat hai."
(Sahih Bukhari, Hadees: 3700)
سبحان الله
Apne zakhmo ki fikr nahi balke aakhri waqt bhi Nabi e Kareem ﷺ ki Sunnat ko sar buland karne ki hi fikr aur jazbaa. رضي الله عنه
Aye Allah! Hamare dilo ko Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ki muhabbat se bhar dey.
Ya Allah! Jo bad-naseeb aur be-emaan log Ameer ul Momineen Shaheed (Razi Allahu Anhu) ko na-pasand karte hain, un logon ki bad-naseebiyan aur be-emaaniyan khatam kar ke unke dilo ko Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ki muhabbat se bhar dey, jo phir bhi Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ke sath bughz par adaa rahe aise shakhs ko duniya aur aakhirat ke azaab se zaleel aur ruswaa kar dey. آمین
Sayyiduna Ameer ul Momineen Ali (Razi Allahu Anhu) ne apne bete ka naam Umar rakha tha. Dekhe (Taqreeb ut-Tehzeeb: 4951)
Maloom huwa ke Sayyiduna Ali (Razi Allahu Anhu) Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) se muhabbat karte thhey.
وما علينا إلا البلاغ
(al-Hadees: 15)
Refrence| (Kitaab: Fazaail E Sahaba, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page 41-44)
Romanised: Syed Ibrahim