Sayyiduna 'Esa bin Maryam عليهما السلام Se Muhabbat!
بسم الله الرحمن الرحيم
Allah تعالی ne Qur'an e Majeed mein do Sahabiyon ka khaas taur par naam liya hai, Sayyiduna 'Esa bin Maryam عليهما السلام aur Sayyiduna Zaid bin Haarisah (Razi Allahu Anhu) ho sakta hai b'az logon ko tajub ho ke Sayyiduna 'Esa عليهما السلام kis tarha Sahabi ban gaye?
Arz hai ke Sahabi us shakhs ko kehte hain jisne duniyawi zindagi ke sath halat e emaan mein Nabi e Kareem ﷺ se mulaqaat ki ho, Sayyiduna 'Esa عليه السلام ko Allah تعالی ne bani israil ki taraf behja tha, logon ko aap injeel ki taleem aur aane waale Nabi (Ahmed yani Muhammad ﷺ) ki khushkhabri detey thhey, kafiron ne aap ko shaheed karne ki sazish ki tou Allah تعالی ne Nabi aur Rasool 'Esa bin Maryam عليهما السلام ko aasmaan par apne paas utha liya, kafiron ne ek doosrey aadmi ko saleeb par chadhaa kar qatl kar diya jis ki shakl Sayyiduna 'Esa عليه السلام se mushaabah ho gayi thi, yahood o nasara apni himaaqat aur jihaalat ki wajah se aqeedah ghadd baithay hain ke 'Esa عليه السلام suli par chadhaa kar qatl kar diye gaye thhey, halanke yeh aqeedah sara sar baatil aur bahut bada jhoot hai, haq sirf yeh hai ke 'Esa عليه السلام ko suli hargiz nahi di gayi balke Allah ne unhen apne paas utha liya.
Mashoor Jaleel ul Qadr Tabayee Imam Hasan Basri Rahimahullah (Died: 110-H) farmaate hain:
والله إنه الآن لحىّ عندالله ولكن إذا نزل آمنوا به أجمعون
"Allah ki qasam! wo ('Esa عليه السلام) ab Allah ke paas zindah hain lekin jab aap naazil honge tou sab aap par emaan ley aayege."
(Tafseer Ibne Jareer at-Tabri: 6/14, Wa Sanadahu Sahih, Doosra Nuskha 9/38, Hadees: 10798, Wa Sanadahu Sahih)
Mashoor Aalim Aur Mutakallim Abul Hasan al-Ashari (Died: 324-H) apni mashoor kitaab mein farmaate hain:
وأجمعت الأمة أن الله عزوجل رفع عيسى إلى السماء
"Aur is par ummat ka ijmaa hai ke Allah تعالی ne 'Esa (عليه السلام) ko aasmaan ki taraf utha liya."
(al-Ibana an Usul al-Diyana, Page 34, Doosra Nuskha, Page 124)
Is Munaasibat Se Dus Ahadees Aur Dus Aasaar Paish E Khidmat Hain:
1) Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke maine as-Sadiq ul-Masdooq Rasoolullah ﷺ ko farmaate huwe suna:
يخرج الأعور الدجال مسيح الضلالة قبل المشرق في زمن اختلاف من الناس، وفرقة، فيبلغ ما شاء الله أن يبلغ من الأرض في أربعين يوما، الله أعلم ما مقدارها؟ فيلقى المؤمنون .... إلخ
"Logon ke ikhtilaaf aur tafarruq ke daur mein mashriq ki taraf se zalaat kaana dajjaal niklega phir chalees dino mein jahan Allah chahe wo zameen par pohnchega, iski miqdaar Allah hi jaanta hai, pas momino ko bahut ziyadah takleefen pohnchegi phir 'Esa bin Maryam ﷺ aasmaan se naazil hon ge, phir log (namaz ke liye) khaday hon ge, jab aap ruku se sar uthayegen tou farmaayege Allah ne iski sun li jis ne hamd bayaan ki, Allah ne maseeh wa dajjaal ko qatl kar diya aur momineen fateh-yaab ho gaye."
(Kashf ul-Astar an Zawaid al-Bazzar: 4/142, Hadees: 3396, Wa Sanadahu Sahih)
Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se nuzool e maseeh ki doosri riwayat ke liye Dekhe (Maahnama al-Hadees: 3 Page 40-42, Page 35-44 Shumara 6, Page 23-25)
Maloom huwa ke Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se nuzool e maseeh ki riwayat mutawatir hain.
Tambeeh: Darj bala hadees se digar masail ke sath do ahem baaten waazeh taur par saabit hoti hain.
- 'Esa (عليه السلام) aasmaan se naazil hon ge.
- Nabi aur ke Rasool ke sath ﷺ likhna aur kehna dono tarha sahih aur masnoon hai.
2) Sayyiduna Jabir bin Abdullah al-Ansari (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke phir 'Esa bin Maryam ﷺ naazil jo jaayege tou musalmano ka ameer (Imam Mehdi) unse kahega: aayen, hamen namaz padhayen, wo kahenge, nahu, tum ek doosrey ke ameer ho, Allah ne is ummat ko yeh buzrugi bakhshi hai."
(Sahih Muslim, Hadees: 247/156, al-Hadees: 6/25)
Yaad rahe ke pehli namaz tou Imam Mehdi padhenge jaisa ke doosri Sahih Hadees se saabit hai, lehaza Ahadees e Sahihah mein ta'aaruz nahi hai.
3) Sayyiduna Nawwaas bin Sam'aan (Razi Allahu Anhu) ki bayaan kardah taweel hadees mein aaya hai ke Allah تعالی achanak 'Esa bin Maryam (عليهما السلام) ko behjega, wo zard rang ki do chadar liptay huwe, apne dono hath do farishton ke paro par rakhe huwe, shaher damishq ke sufeed minar ke paas utren ge. ... (Sahih Muslim, Hadees: 2937, al-Hadees: 6/26)
Is Sahih Hadees se bhi kayi masail saabit hote hain jin mein se do masail darj zail hain:
- Masjidon mein minaar banana jayiz hai.
- Zard kapday pehanna jayiz hai.
4) Sayyiduna Aws bin Aws (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
"'Esa bin Maryam (عليهما السلام) damishq ke mashriq mein sufeed minaar ke paas nazil hon ge." (al-Mujam ul-Kabeer Lit Tabraani: 1/217, Hadees: 590, Wa Sanadahu Sahih, Neez Dekhe al-Hadees: 6/26)
5) Sayyiduna Abdullah bin 'Amr bin al-'Aas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
"Dajjaal meri ummat mein niklega aur chalees tak rahega, (rawi kehte hain) main nahi jaanta ke chalees din farmaaya ya chalees mahine ya chalees saal phir Allah تعالی 'Esa bin Maryam (عليهما السلام) ko behjega goya wo 'Urwa bin Mas'ood hain, wo dajjaal ko talsh kar ke usey halaak karden ge phir saat saal tak log is tarha rahenge ke do shakshon ke darmiyaan koi dushmani nahi hogi."
(Sahih Muslim, Hadees: 2940, al-Hadees: 6/27)
6) Sayyiduna Abu Suraihah Huzaifah bin Usaid al-Ghifaari (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:
"Jab tak dus nishaaniyan zaahir na ho jaayen qayamat na hogi, phir aap ne inka zikr farmaaya: dhuwaan, dajjaal, daaba, suraj ka maghrib se tuloo' hona, 'Esa bin Maryam ﷺ ka naazil hona, yajooj majooj ka nikalna, teen jagah se zameen dhans jaana ek mashriq mein, ek maghrib mein, aur ek jazeeratul arab mein aur sab se aakhir mein aap ne is aag ka zikr kiya jo yamen se niklegi aur logon ko haank kar inko mahshar ki taraf ley jaayegi."
(Sahih Muslim, Hadees: 2901, al-Hadees: 6/28)
7) Ummul Momineen Sayyidah Aisah (Razi Allahu Anha) se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya: "Phir 'Esa bin Maryam (عليهما السلام) nazil honge aur wo usey (dajjaal ko) qatl karden ge, iske b'ad wo zameen mein chalees saal tak imaam aadil aur haakim munsif ki haisiyat se rahen ge." (Musnad Ahmed: 6/75, Hadees: 24971, Wa Sanadahu Hasan, al-Hadees: 6/28)
8) Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi ﷺ ko jab meraaj huwi tou aap ne Ibrahim, Musa aur 'Esa (عليهم السلام) se mulaqaat ki aur baaham qayamat ka tazkirah huwa, sab ne Ibrahim (عليه السلام) se qayamat ke barey mein sawaal kiya lekin unhen kuch maloom na tha phir Musa (عليه السلام) se sawaal kiya tou unhen bhi koi ilm na tha phir 'Esa (عليه السلام) se pouchaa gaya tou unhon ne farmaaya: mere sath qayamat se qabl (nuzool ka) wada kiya gaya hai lekin uska waqt Allah hi ko maloom hai, 'Esa (عليه السلام) se dajjaal ke khurooj ka zikr kiya aur farmaaya: main naazil ho kar usey qatl karon ga.
(Sunan Ibne Majah, Hadees: 4081, Wa Sanadahu Hasan, Imam Haakim ne Sahih kaha 2/384, Imam Zehbi ne muwafaqat ki)
Is hadees ke rawi Musir bin 'Aafazah siqah wa sudooq hain lehaza b'az un naas ka unhen majhool qaraar deyna ghalat hai, is hadees se do baday masaail saabit hote hain:
- Bani israil waale Sayyiduna 'Esa bin Maryam an-Nasari (عليه السلام) hi naazil ho kar dajjaal ko qatl karen ge.
- Siwaye Allah ke qayamat ka ilm kisi ko bhi nahi hai.
9) Sayyiduna Mujammi' bin Jaariyah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: "Ibne Maryam (عليهما السلام) dajaal ko luddin ke darwaaze ke paas qatl karen ge." (Sunan Tirmizi, Hadees: 2244, Wa Sanadahu Hasan, al-Hadees; 6/29-30)
Yaad rahe ke Luddin ke maqaam par maujoodah israil ke yahoodiyon ka junggi airport hai.
10) Sayyiduna Sawbaan (Razi Allahu Anhu) se riwayat ke hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:
عصابتان من أمتي أحرزهما الله من النار؛ ......... و عصابة مع عيسى بن مريم عليه الصلٰوة والسلام
"Meri ummat ke do girohon ko Allah ne aag (ke azaab) se bacha liya hai, .... ... doosra giroh wo 'Esa bin Maryam (عليه الصلوۃ والسلام) ke sath hoga."
(at-Tareekh ul-Kabeer Lil Bukhari: 6/72-73, Wa Sanadahu Hasan Li'zaatihi, Sunan Nasaayi: 6/42, Hadees: 2177)
In dus riwayaat aur digar ahadees se maloom huwa ke Sayyiduna 'Esa bin Maryam (عليه السلام) ke nuzool waali Ahadees mutawatir hain, kayi Ulama masalan Imam Abu Jafar Muhammad bin Jareer Bin Yazeed at-Tabri, Hafiz Ibne Kaseer aur Abul Faiz ul-Idris al-Kattani wagerahum ne nuzool e maseeh ki ahadees ke mutawatir hone ki tasreeh ki hai, Dekhe (Tafseer E Tabri: 3/204, Tafseer Ibne Kaseer: 1/577-582 Nazm ul-Mutanaasir Minal Hadees il-Mutawaatir: Page 241, aur al-Hadees: 3/40)
Nuzool E Maseeh 'Esa bin Maryam (عليهما السلام) Ka Aqeedah Aasaar E Salaf Saleheen Se Bhi Sabait Hai. maslan:
1) Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) farmaate thhey ke 'Esa bin Maryam jawaan hain, tum mein se jo unse mulaqaat kare tou unhen mera salaam keh dey. Dekhe (Musannaf Ibne Abi Shaibah: 15/156-157, Hadees: 37511, Wa Sanadahu Sahih)
2) Imam Hasan Basri (Rahimahullah) ka qaul shuru mein guzar chuka hai ke jab 'Esa (عليه السلام) naazil hon ge tou sab un par emaan ley aayege. Dekhe (Tafseer Ibne Jareer: 25/54, Wa Sanadahu Sahih)
3) Mufassir e Qur'an Imam Qataadah bin Di'aamah Rahimahullah (Died: 117-H) ne (قبل موته) ki tafseer mein farmaaya: "قبل موت عيسى" 'Esa (عليه السلام) ki maut se pehle. (Tafseer Ibne Jareer: 6/14, Wa Sanadahu Sahih)
Yani Imaam Qataadah ke nazdeek 'Esa (عليه السلام) par abhi tak maut nahi aayi, neez Qataadah Rahimahullah nuzool e maseeh ke qaayil thhey. Dekhe (Tafseer Ibne Jareer: 25/54, Wa Sanadahu Sahih)
4) Siqah Tabayee Abu Maalik bin Ghazwaan al-Ghifaari (Rahimahullah) ne farmaaya: yeh us waqt hai jab 'Esa bin Maryam naazil hon ge tou ahle kitaab mein se koi bhi baaqi nahi rahega magar aap par emaan ley aayega. (Tafseer Ibne Jareer: 6/14, Wa Sanadahu Sahih)
5) Ibrahim (bin yazeed an-Nakha'i, Died: 94-H) Rahimahullah ne farmaaya: Maseeh aayege tou saleeb toad denge, khinzeer ko qatl karege aur jizyah mauqoof kar denge. (Musannaf Ibne Abi Shaibah: 15/145, Hadees: 37487, Wa Sanadahu Hasan)
6) Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood (Razi Allahu Anhu) ne Sayyiduna 'Esa bin Maryam (عليهما السلام) ke khurooj ka zikr farmaaya.
Dekhe (Kitabul Fitan Lil Imam Abu Nu'aym bin Hammaad al-Sudooq: 1645, Wa Sanadahu Hasan, Doosra Nuskha: Page 402-403, Hadees: 1342)
7) Sayyiduna Ibne Abbas (Razi Allahu Anhuma) ne (قبل موته) ki tafseer mein "موته عيسى" farmaa kar yeh saabit kar diya ke abhi tak 'Esa (عليه السلام) par maut nahi aayi. Dekhe (Tareekh e Damishq Li Ibne Aasakir: 50/359, Wa Sanadahu Hasan)
Sayyiduna Ibne Abbas (Razi Allahu Anhuma) qayamat se pehle 'Esa bin Maryam ke nuzool ke qaayil thhey. Dekhe (Tafseer Ibne Jareer: 25/54, Wa Sanadahu Hasan)
8) Ismail bin Abdur Rahman al-Saddi (Tabayee) Rahimahullah ne qayamat se pehle 'Esa bin Maryam ke khurooj ko qayamat ki nishaani qaraar diya. (Tafseer E Tabri: 25/54, Wa Sanadahu Hasan)
9) Sayyiduna Abdullah bin Salaam (Razi Allahu Anhu) ne bataya ke 'Esa bin Maryam ﷺ ke sath (hujra e nabawiyah) mein dafn hoge. (Sunan Tirmizi: 3617, Wa Qaal "Hasan Ghareeb" Wa Sanadahu Hasan)
Yaad rakhe Hujra e Nabawiyah mein sirf chaar qabron ki jagah hai, is waqt wahan teen qabren maujood hain: Nabi e Kareem ﷺ ki qabr, Sayyiduna Abu Bakr as-Siddeeq (Razi Allahu Anhu) ki qabr aur Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ki qabr. chaohti qabr ki jagah khaali hai jahan Sayyiduna 'Esa (عليه السلام) aasmaan se nuzool ke ba'd duniya mein tab'yi umar guzaar kar, wafaat ke b'ad dafn kiye jaayen ge.
10) Imam Abu Abdillah Muhammad bin Idrees ash-Shafayi (Rahimahullah) Nuzool e 'Esa bin Maryam ke qaayil thhey. Dekhe (Kitabul Umm: 5/270, at-Tawqifu Fil Ilaa)
Salaf e saleheen se koi bhi is aqeedey ka mukhalif nahi lehaza maloom huwa ke yeh aqeedah salaf e saleheen ke ijmaa se saabit hai.
Allah ke Rasool aur Nabi Sayyiduna 'Esa bin Maryam (عليهما السلام) ka aasmaan se naazil hona wo buniyaadi aqeedah hai jis par tamaam ahle emaan muttafiq hain.
Imam Tahawi (Rahimahulla) farmaate hain:
ونؤمن بأشرام الساعة؛ من خروج الدجال ونزول عيسى عليه السلام من السماء
"Aur hum qayamat ki nishaaniyon mein se khurooj e dajjaal aur 'Esa (عليه السلام) ke aasmaan se naazil hone par emaan rakhte hain."
(al-Aqeedah at-Tahaawiyah Sharah Ibne Abi al-'Izz al-Hanafi: Page 499)
B'az taqleediyon ne yeh jhoota dawa kar rakha hai ke jab "'Esa (عليه السلام) aasmaan se naazil hon ge tou fiqh e hanafi ke mutaabiq amal karen ge......" halanke nuzool e maseeh ki hadees ke rawi Imam Muhammad bin Abdur Rahman bin Abi Zib al-Madni Rahimahullah (Died: 158-H) is hadees ki sharah mein farmaate hain ke "'Esa (عليه السلام) Allah ki kitaab aur Nabi ﷺ ki sunnat ke mutaabiq imaamat farmaayenge." Dekhe (Sahih Muslim, Hadees: 394-155)
Sayyiduna 'Esa ﷺ ke fazail be-shumaar hain, aap Allah تعالی ke Rasool, Nabi aur Roh-Allah hain, aap se muhabbat aur qayamat se pehle aasmaan se aap ke nuzool ka aqeedah rukn e emaan hai.
وما علينا إلا البلاغ
(al-Hadees: 42-43)
Refrence| (Kitaab: Fazail E Sahabah, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page 23-29)
Romanised: Syed Ibrahim