Sayyiduna Abu Bakr Siddeeq رضي الله عنه Se Muhabbat!

بسم الله الرحمن الرحيم

Sayyiduna 'Amr bin al-'Aas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai:
اي الناس احب إليك؟ قال: "عائشة"، فقلت: من الرجال، فقال: "ابوها"، قلت: ثم من، قال: "ثم عمر بن الخطاب"
"Maine Nabi se pouchaa: Aap sab se ziyadah kis se muhabbat karte hain? Aap ﷺ ne farmaaya: Ayesha se, maine pouchaa mardon mein? farmaaya: Ayesha ke Abaa (Abu Bakr Siddeeq Razi Allahu Anhu) se, maine pouchaa unke b'ad kis se ziyadah muhabbat karte hain? Aap ne farmaaya: Umar se."
(Sahih Bukhari, Hadees: 3662, Sahih Muslim, Hadees: 2384)

Muhammad bin Ali bin Abi Talib urf Muhammad bin al-Hanafiyah (Rahimahullah) kehte hain:
قلت لابي: "اي الناس خير بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قال ابو بكر: قلت: ثم من، قال: ثم عمر
"Maine apne abaa (Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anh) se pouchaa: Nabi ke b'ad kaunsa aadmi sab se behtar (afzal) hai? unhon ne farmaaya: Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) maine kaha: phir unke b'ad kaun hai? unhon ne farmaaya: Umar (Razi Allahu Anhu)."
(Sahih Bukhari, Hadees: 3671)

Sayyiduna Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ka zikr Qur'an e Majeed mein hai, Irshaad e Bari تعالی hai:
إِلَّا تَنصُرُوهُ فَقَدْ نَصَرَهُ اللَّهُ إِذْ أَخْرَجَهُ الَّذِينَ كَفَرُوا ثَانِيَ اثْنَيْنِ إِذْ هُمَا فِي الْغَارِ إِذْ يَقُولُ لِصَاحِبِهِ لَا تَحْزَنْ إِنَّ اللَّهَ مَعَنَا
"Agar tum Allah ke Rasool ki madad na karoge tou (kuch parwah nahi Allah uska madadgaar hai) usne apne Rasool ki madad us waqt ki thi jab kafiron ne usey (is haal mein ghar se) nikaala tha, jab ke do (aadmiyon) mein se doosra wo tha (aur) dono ghaar (soor) mein thhey, (aur) wo apne sathi se keh raha tha: ghumgeen na ho, yaqeenan Allah hamare sath hai."
(Surah at-Tawbah: 40, al-Kitaab, Page 117)

Sayyiduna Abu Sa'eed al-Khudri (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi ne farmaaya:
إن من امن الناس علي في صحبته وماله ابا بكر ولو كنت متخذا خليلا غير ربي لاتخذت ابا بكر ولكن اخوة الإسلام ومودته لا يبقين في المسجد باب إلا سد إلا باب ابي بكر
"Sohbat aur maal ke lehaaz se, Abu Bakr ka mujh par sab se ziyadah ehsaan hai aur agar main apne Rab ke ilaawah kisi ko apna khaleel banata tou Abu Bakr ko apna khaleel banata lekin Islam ka bhai-charah aur muhabbat kaafi hai, dekho! masjid (nabawi) ki taraf tamaam darwaaze khidkiyan band kar do siwaye Abu Bakr ke darwaaze ke."
(Sahih Bukhari, Hadees: 3654, Sahih Muslim, Hadees: 2382)

Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai:
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: "من اصبح منكم اليوم صائما؟، قال ابو بكر رضي الله عنه: انا، قال: فمن تبع منكم اليوم جنازة؟، قال ابو بكر رضي الله عنه: انا، قال: فمن اطعم منكم اليوم مسكينا؟، قال ابو بكر رضي الله عنه: انا، قال: فمن عاد منكم اليوم مريضا؟، قال ابو بكر رضي الله عنه: انا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ما اجتمعن في امرئ إلا دخل الجنة
"Rasoolullah ne (Sahaba se) pouchaa: aaj kisne roza rakha hai? Abu Bakr ne farmaaya: maine, Aap ne pouchaa: aaj kaun janaze ke sath gaya tha? Abu Bakr ne farmaaya: main gaya tha, Aap  pouchaa ke aaj kisne kisi miskeen ko khana khilaya hai? Abu Bakr ne farmaaya: maine, Aap  ne pouchaa: aaj kisne kisi mareez ki bimaar-pursi ki hai? Abu Bakr ne farmaaya: maine, Rasoolullah  ne farmaaya: "yeh chizen jis insaan mein jama ho jaayen wo jannat mein dakhil hoga."
(Sahih Muslim, Hadees: 1028)

Sayyiduna Abu Musa al-Ash'aari (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi  ek bagh mein mujood thhey, ek aadmi aaya aur andar aane ki ijazat manggi tou Aap  ne farmaaya:
افتح له وبشره باجنة
"Iske liye darwaaza khol do aur isey jannat ki khushkhabri dey do."
Yeh Abu Bakr (Siddeeq Razi Allahu Anhu) thhey jo bagh mein dakhil huwe thhey.
(Sahih Bukhari, Hadees: 3693, Sahih Muslim, Hadees: 2403)

Ek mashoor hadees mein aaya hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:
أبو بكر فى الجنة
"Abu Bakr jannati hain."
(Sunan Tirmizi, Hadees: 3747, Wa Isnadahu Sahih, Ibne Hibbaan ne Sahih kaha, al-Ihsaan: 6963)

Sayyiduna Anas bin Malik (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai: Ek dafa Nabi  Abu Bakr, Umar aur Usmaan (Razi Allahu Anhum) uhad pahaad par chadhe tou (zalzale ki wajah se) pahaad hilne laga, Aap  ne us par apna paaon maar kar farmaaya:
اثبت احد فما عليك نبي و صديق و شهيدان
"Aye Uhad! ruk jaana tere oopar (is waqt) sirf Nabi, siddeeq aur do shaheed maujood hain."
(Sahih Bukhari, Hadees: 3686)

Sayyiduna Umar bin Khattaab (Razi Allahu Anhu) farmaate hain:
لو وزن إيمان أبي بكر بإيمان أهل الأرض لرجح به
"Agar Abu Bakr ka emaan aur zameen waalon ke emaan ko baaham tola jaaye tou Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ka emaan bhari hoga."
(as-Sunnah Li Abdullah bin Ahmed: 821, Wa Sanadahu Hasan, Shu'ab ul-Emaan Lil Baihaqi: 36, Aqeedah Salaf wa Ashaab ul Hadees Lil Saabuni, 70-71, Hadees: 110, Fazaail e Abi Bakr Li Khaisima al-Tarabulsi: Page 133)

Sayyiduna Abu Bakr as-Siddeeq (Razi Allahu Anhu) ke fazaail bahut ziyadah hain jinki tafseel ka yeh mukhtasar mazmoon mutahammil nahi, Imam Ahle Sunnat Imam Ahmed bin Hanbal (Rahimahullah) se us aadmi ke barey mein pouchaa gaya jo Abu Bakr wa Umar wa Ayesha (Razi Allahu Anhum Ajmayeen) ko galiyan deyta hai? tou unhon ne farmaaya: main usey Islam par (musalmaan) nahi samahjta. (as-Sunnah Lil Khallal, Page 493, Hadees: 779, Wa Sanadahu Sahih)

Imam Abdullah bin Ahmed bin Hanbal (Rahimahullah) kehte hain ke maine apne walid (Imam Ahmed Rahimahullah) se us aadmi ke barey mein pouchaa jo kisi Sahabi ko gaali deyta hai? tou unhon ne farmaaya: main aise shaksh ko Islam par nahi samhajta. (as-Sunnah Lil Khallal, Hadees: 782, Wa Sanadahu Sahih)

Siqah Faqeeh 'Aabid Tabayee Imam Masrooq bin al-Ajdaa' (Rahimahullah) farmaate hain:
حب أبي بكر و عمر ومعرفة فضلها من السنة
"Abu Bakr wa Umar (Razi Allahu Anhuma) se muhabbat aur unki fazilat maanna sunnat hai."
(Kitaab al-'Ilal wa Ma'rifat ar-Rijaal: 1/177, Hadees: 945, Wa Sanadahu Hasan, Sharah Usool 'Iteqaad Ahlus Sunna wal Jamaa'ah Lil al-Laakaa'ee: 2322)

Imam Abu Jafar bin Ali bin Husain al-Baqir (Rahimahullah) ne farmaaya:
من جهل فضل أبي بكر وعمر رضي الله عنهما فقد جهل السنة
"Jis shakhs ko Abu Bakr wa Umar (Razi Allahu Anhuma) ke fazaazil maloom nahi hain wo shakhs sunnat se jahil hai."
(Kitaab ash-Shari'ah Lil Ajuree: Page 851, Hadees: 1803, Wa Sanadahu Hasan)

Imam Jafar bin Muhammad Sadiq (Rahimahulla) farmaate hain:
برئ الله ممن تبرأ من أبي بكر و عمر
"Allah us shaksh se bari hai jo shaksh Abu Bakr aur Umar (Razi Allahu Anhuma) se bari hai."
(Fazaail e Sahaba Lil Imam Ahmed: 1/160, Hadees: 143, Wa Isnadahu Sahih)

Imam Abu Jafar Muhammad bin Ali al-Baqri (Rahimahullah) bimaari ki halat mein farmaate thhey:
اللهم إني أتولىٰ أبا بكر وعمر وأحبهما، اللهم إن كان في نفسي غير هٰذا فلا نا لتني شفاعة محمد صلى الله عليه وسلم يوم القيامه
"Aye Allah main Abu Bakr wa Umar ko apna wali maanta hon aur un dono se muhabbat karta hon, Aye Allah! agar mere dil mein iske khilaaf koi baat ho tou qayamat ke din mujhe Muhammad  ki shafaa'at naseeb na ho."
(Tareekh e Damishq Li Ibne Aasakir: 57/223, Wa Sanadahu Hasan)

Imam Abu Ishaaq (Sabi'yee) Rahimahullah ne farmaaya:
بغض أبي بكر و عمر من الكبائر
"Abu Bakr wa Umar (Razi Allahu Anhuma) se bughz karna kabeera gunaah (kufr) hai."
(Fazaail e Sahaba Li Abdullah bin Ahmed: 1/294, Hadees: 385, Wa Sanadahu Hasan)

Aye Allah! Hamare dilo ko Sayyiduna Abu Bakr as-Siddeeq (Razi Allahu Anhu) aur tamaam Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmayeen) ki muhabbat se bhar dey aur is muhabbat ko aur ziyadah kar dey. آمین

(al-Hadees 14)

Refrence| (Kitaab: Fazaail E Sahaba, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page 37-40)

Romanised: Syed Ibrahim






Tamaam Articles