Aulaad Se Muhabbat!

بسم الله الرحمن الرحيم

Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Aqra' bin Haabis (Razi Allahu Anhu) ne dekha ke Nabi (apne nawase) Hasan (bin Ali Razi Allahu Anhuma) ka bosa ley rahe thhey tou Aqra' (Razi Allahu Anhu) ne kaha: mere dus bete hain magar main kisi ka bosa nahi leyta tou Rasoolullah ne farmaaya:
من لا يـــرحـــم لا يــــرحـــم
"Jo raham nahi karta, us par bhi raham nahi kiya jaaaye ga."
(Sahih Bukhari, Hadees: 5997, Sahih Muslim: 65/2318)

Sayyiduna Anas bin Malik (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ne (apne bete) Ibrahim ko (goud mein) liya aur uska bosa liya (aur payar se) uski khushboo soonghii. (Sahih Bukhari, Hadees: 1303, Sahih Muslim: 2315)

Rasoolullah ke paas ek araabi (dihaati) aaya aur kaha: kya aap bachchon ka bosa leyte hain? hum bachchon ka bosa nahi leyte! Aap ne farmaaya:
اواملك لك ان نزع الله من قلبك الرحمة
"Agar Allah ne tumhaare dil se rahmat nikaal di tou main kya kar sakta hon."
(Sahih Bukhari: Hadees: 5998, Sahih Muslim: 2317)

Sayyiduna Ya'laa bin Murrah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi ke sath wo khaney ki ek dawat par jaa rahe thhey, kya dekhte hain ke (raastey mein) ek gali mein Husain (Razi Allahu Anhu) khel rahe hain, Nabi ne logon ke darmiyaan se aage badh kar apne dono baazu phaylaa liye, Husain (Razi Allahu Anhu) idhar udhar bhagne lage, Aap hanstey huwe unhen pakad liya, aap ne apna ek hath Husian (Razi Allahu Anhu) ki thodi ke nichey aur doosra unke sar par rakha, aap ne (mu'aanaqa karte huwe) unka bosa liya aur farmaaya:
حسين مني وانا من حسين، احب الله من احب حسينا، حسين سبط من الاسباط
"Husain mujh se hai aur main Husain se hon, Allah us shaksh se muhabbat kare jo Husain se muhabbat karta hai, Husain nawaso mein se ek (jaleel ul qadr) nawasa hai."
(Sunan Ibne Majah: 144, Isnadahu Hasan, Imam Tirmizi ne "Hasan" kaha, 3775, Ibne Hibbaan ne "Sahih" kaha, Mawarid al-Zamaan: 2240, aur Haakim: 3/277 aur Zehbi, aur Imam Busiri ne kaha "Isnaadahu Hasan wa Rijaluh Siqaat"/ Tashil al-Hajat Fee Taleeq 'Alaa Sunan Ibne Majah Lish Shaykh Hafiz Zubair Ali Zai, Page 10, Shaykh Albani ne "Hasan" kaha)

Ummul Momineen Sayyidah Ayesha (Razi Allahu Anha) se riwayat hai ke (Rasoolullah ki beti) Fatima (Razi Allahu Anha) jab Rasoolullah ke paas aaten tou aap uth kar unke paas jaatey aur un (Fatima Razi Allahu Anha) ka hath pakad letey phir unka bosa letey aur apni jagah baithatey. (Sunan Abu Dawood: 5217, Isnadahu Hasan, Imam Tirmizi ne "Hasan" kaha, 3872)

Ek sahih hadees mein aaya hai ke Nabi ne farmaaya:
ليس منامن لم يجل كبيرنا ويرحم صغيرنا ويعرف لعالمنا حقه
"Jo apne badon ki izzat na kare, hamare choton (bachcho) par raham na kare aur hamare (ahle haq) aalim ka haq na pehchaane, wo hum mein (ahle haq mein) se nahi hai."
(Mushkil ul-Asaar: 2/133, Hadees: 4, Page 45)

In ahadees aur digar dalaayil se saabit huwa ke walidain ko apni aulaad se muhabbat karni chahiye, yaad rahey ke muhabbat ka taqaza yeh hai ke duniyawi suhulaten muhaiyaa karne ke sath sath apni aulaad ki achchyi tarbiyat karni chahiye, inhen Qur'an aur Hadees ki tamaam behtareen akhlaaq seekhana chahiyez Tawheed aur Sunnat ki dawat aur Sunnat e Mutahhara ke mutaabiq namaz padhne ka hukm deyna chahiye.

Irshaad e Bari تعالی hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا قُوا أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا
"Aye Emaan Waalon! apne aap ko aur apne ghar waalon ko (jahannum ki) aag se bachao."
(Surah Tehreem: 6)

كلكم راع وكلكم مسؤل عن رعيته
"Tum mein se har aadmi nigraan hai aur uski zer e nigraani logon ke barey mein (qayamat ke din) pouchaa jaayega." (Sahih Bukhari: 893, Sahih Muslim: 1829) ki ru se har aadmi se uske ahl o aulaad ke barey mein sawaal hoga.

Allah تعالی se dua hai ke wo walidain aur unki aulaad dono ko kitaab o sunnat ka muttabe' aur nek bana dey. آمین

(al-Hadees: 11)

Refrence| (Kitaab: Fazaail E Sahaba, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page 154-155)

Romanised: Syed Ibrahim


Tamaam Articles