Sunnat Se Muhabbat!
بسم الله الرحمن الرحيم
Irshaad e Bari تعالی hai:
قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ اللَّهَ فَاتَّبِعُونِي يُحْبِبْكُمُ اللَّهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ
"Keh do, agar tum Allah se muhabbat karte ho tou meri itteba karo, Allah tum se muhabbat karega aur tumhare gunah baksh deyga."
(Surah aal-Imran: 31)
Is aayat e kareema se saaf zaahir hai ke Allah تعالی ko razi karne ke liye Nabi e Kareem ﷺ ki itteba zaroori hai, Aap ﷺ ki itteba ka sirf ek hi tareeqa hai, wo yeh ke Aap ﷺ ki Ahadees par amal kiya jaye, Sahih Ahadees par amal karne se hi Aap ﷺ ki itteba aur ittaa'at ho sakti hai.
Allah تعالی farmaata hai:
مَّن يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ
"Jisne Rasool ki itaa'at ki, usne Allah ki itaa'at ki."
(Surah an-Nisaa: 80)
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
من أطاعني دخل الجنة
"Jisne meri itaa'at ki wo jannat mein dakhil hoga."
(Sahih Bukhari, Hadees: 7280)
Ek hadees mein aaya hai ke:
فمن اطاع محمدا صلى الله عليه وسلم، فقد اطاع الله، ومن عصى محمدا صلى الله عليه وسلم فقد عصى الله
"Pas jisne Muhammad ﷺ ki itaa'at ki tou yaqeenan usne Allah ki itaa'at ki aur jisne Muhammad ﷺ ki nafarmaani ki tou yaqeenan usne Allah ki nafarmaani ki."
(Sahih Bukhari, Hadees: 7280)
Sayyiduna Maqdaam bin Karib (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
ألا إني أوتيت الكتاب و مثله معه
"Sun lo, beshak mujhe kitaab di gayi hai aur (hujjat hone mein) iske sath is jaisi (cheez) di gayi hai."
(Musnad Ahmed: 4/131, Hadees: 6306, al-Mawso'at ul-Hadeesiyah 28/410, Abu Dawood: 4604, Wa Isnadahu Sahih)
Sahih Ibne Hibbaan (al-Ihsaan: 12) mein yeh riwayat doosri sanad ke sath "إني أوتيت الكتاب وما يعد له" ke alfaaz maujood hai. (Nuskha Muassasat ar-Risalah: 1/189, Hadees: 12)
Is Sahih Hadees se maloom huwa ke Qur'an e Majeed ki tarha Nabi ﷺ ki hadees bhi sharayi hujjat hai.
Sayyiduna Abu Bakr Siddeeq (Razi Allahu Anhu) ne khalifa hone ke ba'd, kuthbah deyte huwe aylaaniyah farmaaya tha ke:
أطيعوني ماأطعت الله ورسوله فإذا عصيت الله ورسوله فلا طاعة لي عليكم
"Jab tak main Allah aur Rasool ki itaa'at karon tou meri itaa'at karo, aur jab main Allah aur Rasool ki nafarmaani karon tou tum par meri itaa'at (laazim) nahi hai."
(as-Seerah Li Muhammad bin Ishaq bin Yasar: Page 718, Wa Sanadahu Hasan, as-Seerah Li Ibne Hisham: 4/311)
Is Sahih Tareekhi Kuthbay se kayi baaten maloom huwen:
- Allah ki itaa'at ki tarha Rasoolullah ﷺ ki (ahadees e sahiha ki) itaa'at farz hai.
- Qur'an wa Hadees ke muqaabley mein har shaksh ki baat mardood hai.
- Taqleed na-jayiz hai.
Salim bin Abdullah bin Umar (Rahimahullah) farmate hain:
أن عمر إنما انصرف من حديث عبد الرحمن
"Beshak Umar (Razi Allahu Anhu) Abdur Rahman (bin 'Awf) (Razi Allahu Anhu) ki bayaan kardah hadees ki wajah se wapas aaye thhey.
(Sahih Bukhari, Hadees: 6973)
Sayyiduna Usmaan (Razi Allahu Anhu) ne bahut si ahadees bayaan ki hain, Dekhe (Sahih Bukhari: 4987, 4160. Sahih Muslim: 1204,1409. Sahih Ibne Khuzaimah: 151,152. Sahih Ibne Hibbaan, al-Ihsaan: 43,118) wagerah
Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) farmaate hain:
ماكنت لأدع سنة النبي صلى الله عليه وسلم لقول أحد
"Nabi ﷺ ki sunnat (hadees) ko main kisi shaksh ke qaul ki buniyaad par nahi chhor sakta."
(Sahih Bukhari, Hadees: 1563)
Khulafa e Rashedeen ke is muttafiqqah tarz e amal aur digar Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) ke asaar se yeh baat Suraj ki tarha raushan hai ke Nabi e Kareem ﷺ ki hadees hujjat aur miyaar e haq hai, lehaza har shaksh par yeh farz hai ke wo Aap ﷺ ki Sahih wa Saabit Sunnat (Ahadees) se muhabbat kare, isi mein dono jahano ki kamiyaabi ka yaqeen hai.
Imam Ahle Sunnat Ahmed bin Hanbal (Rahimahullah) ne saaf saaf aylaan farmaaya hai:
"Jisne Rasoolullah ﷺ ki (Sahih) hadees rad kar di wo halakat ke kinaare par hai."
(al-Hadees Hazro: 2, Page 5. Manaqib Imam Ahmed Li Ibne Jauzi: Page 172, Wa Sanadahu Sahih)
(al-Hadees: 10)
Refrence| (Kitaab: Fazail E Sahabah, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page 20-22)
Romanised: Syed Ibrahim