Islam Aur Emaan Mein Farq!

بسم الله الرحمن الرحيم

(Hadees E Jibreel (alaihis salaam) mein hai) Jibreel  (alaihis salaam) ka pehla sawaal (Nabi sey) Islam ki baabat tha, jawaab mein Rasoolullah  ney chand zahiri umoor ka tazkirah farmaya (.. .. ..) jis sey sabit hota hai ke Islam chand zahiri umoor ka naam hai, aur jab Jibreel (alaihis salaam) ney emaan ki baabat pochaa tou Aap  ney chand baatini umoor ka zikr farmaya (.. .. ..) jis sey saabit hota hai ke emaan chand baatini umoor ka naam hai.

Lekin haqeeqat yeh hai ke Islam aur Emaan do aise kalimaat hain ke jab inhen ekkhatta zikr kiya jayega tou dono ke ma'na mein farq hoga, jaisa ke Hadees E Jibreel mein dono ekkhatta mazkoor hain, chunanche inhon ney pehle Islam ka phir Emaan ka ma'na dariyaaft kiya, tou Aap  ney dono ki alaidah alaidah tareef zikr farmayi, Islam ki tareef mein panch aamaal e zahirah zikr farmaye aur Emaan ki tareef mein chhey aamaal e baatinah zikr farmaya (jin ka taluq tasdeeq wa iqraar sey hai).

Lekin yehi do kalimaat jab alag alag zikr honge tou har kalimah dono ma'ni (yane aamaal e zahirah wa baatinah) ko shamil hoga, jaisa ke Allah تعالٰی ke mundarijah zaeel farmaan mein sirf Islam ka zikr hai:
وَمَن يَبْتَغِ غَيْرَ الْإِسْلَامِ دِينًا فَلَن يُقْبَلَ مِنْهُ وَهُوَ فِي الْآخِرَةِ مِنَ الْخَاسِرِينَ
"Yane jo Islam ke ilaawah kisi aur deen ko chahega tou wo us sey hargis qubool nahi na kiya jayega aur wo aakhirat mein khasara paaney waalon mein hoga."
(Surah aal-Imran: 85)

Yahan Islam sey muraad sirf wo panch aamaal e zahirah hi nahi hain jinka Hadees E Jibreel mein zikr hai, balke yahan lafz Islam poorey deen ko shamil hai jis mein tamaam aamaal e zahirah aur aamaal e baatinah dakhil hain.

Sirf lafz emaan ka istemaal, Allah تعالٰی ke darj zaeel farmaan mein hai:
وَمَن يَكْفُرْ بِالْإِيمَانِ فَقَدْ حَبِطَ عَمَلُهُ وَهُوَ فِي الْآخِرَةِ مِنَ الْخَاسِرِينَ
"Yane jo emaan ke saath kufr kareyga us ke tamaam aamaal akaarat jayenge aur wo aakhirat mein khasara paaney waalon mein sey hoga."
(Surah al-Maaida: 5)

Yahan emaan sey muraad wo aamaal e baatinah hi nahi hain jinka Hadees E Jibreel mein zikr hai, balke yahan kalimah e emaan poorey deen ko shamil hai, jis mein zahiri wa baatani tamaam aamaal dakhil hain.

-Shaykh Abdullah Naser Rahmani Hafizahullah

Reference: |Kitaab: Sharah Hadees E Jibreel Taleef: Shyakh Abdullah Naser Rahmani Hafizahullah Page No: 33,34.|

Tamaam Articles