Ameer ul Momineen Sayyiduna 'Usmaan رضي الله عنه Se Muhabbat!

بسم الله الرحمن الرحيم

Nabi aur Abu Bakr, Umar wa Usmaan (Razi Allahu Anhum Ajmayeen) uhad pahaad par chadhe tou (zalzale ki wajah se) uhad kaapne laga, Aap ne us par paaon maar kar farmaaya:
اثبت احد فما عليك إلا نبي او صديق او شهيدان
"Uhad ruk jaa! tere oopar (is waqt) ek Nabi, ek siddeeq aur do shaheed (maujood) hain.
(Sahih Bukhari, Hadees: 3686)

Sayyiduna Abu Musa Ashari (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke ek aadmi ne Nabi ke paas aane ki ijazat manggi tou Aap ne farmaaya:
افتح له وبشره بالجنة، على بلوى تصيبه
"Iske liye darwaaze khol do aur jannat ki khushkhabri dey do aur yeh (bhi bata do) ke inhen ek museebat (aur aazmaish) pohnchaygi." tou maine inhen (Sayyiduna 'Usmaan Razi Allahu Anhu ko) bata diya, phir (inhon ne) Allah ki hamd bayaan ki aur kaha, Allah madadgaar hai.
(Sahih Bukhari, Hadees: 3693, Sahih Muslim, Hadees: 28/2403)

Mashoor hadees mein aaya hai ke Payare Nabi e Kareem ne farmaaya:
وعـــثمان فى الــجــنــة
"Aur 'Usmaan jannat mein (jannati) hain."
(Sunan Tirmizi, Hadees: 3747, Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abdur Rahman bin Samurah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke jab Nabi jihaad (jaish ul-'Usrah) ki tayyari kar rahey thhey tou 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) apne aasteen mein ek hazaar dinaar ley aaye aur inhen Aap ki jholi mein daal diya, maine dekha ke aap inhen jholi mein ulat pulat rahey thhey aur farmaa rahey thhey:
ماضر عثمان ما عمل بعد اليوم
"Aaj ke ba'd 'Usmaan jo bhi amal kare inhen nuqsaan nahi hoga."
(Musnad Ahmed, 5/63, Hadees: 2090, Tirmizi: 3701, Aur Kaha: Hasan Ghareeb" Wa Sanadahu Hasan)

Sayyiduna 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) apni biwi aur Nabi e Kareem ki beti (Ruqayya Razi Allahu Anha) ki shadeed bimaari ki wajah se gazwa e badr mein shamil na ho sake tou Nabi ne farmaaya:
إن لك اجر رجل ممن شهد بدرا وسهمه
"Tere liye badr mein haazir hone waale aadmi ke barabar ajr aur maal e ghanimat hai."
(Sahih Bukhari, Hadees: 3130)

Sayyidah Ruqayya (Razi Allahu Anha) ghazwa e badr ke dauraan mein faut ho gayen.
(al-Isaabah: Page: 1687-11851, Tarajum un-Nisaa)

Abu Habiba (Rahimahullah) Sayyiduna 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) ke paas gaye, aap muhaasare mein thhey, Abu Habiba ne Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) ko farmaate suna ke maine Rasoolullah ko farmaate huwe suna hai ke mere b'ad tum fitney aur ikhtilaaf mein mubtalaa ho jaaoge, kisi ne poucha: Ya Rasoolullah! phir hum kya karen? Aap ne Sayyiduna 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) ki taraf isharah kar ke farmaaya:
عليكم بالأمين (بالأمير) وأصحابه
"Tum (is) ameen (ameer) aur iske saathiyon ko laazim pakad leyna."
(Musnad Ahmed: 2/435, al-Mawso'at ul-Hadeesiyah: 14/219,220 Hadees: 8541, Wa Sanadahu Hasan, Imam Hakim ne sahih kaha 3/99, 4/433 aur Imam Zehbi ne Muwafaqat ki)

Sayyiduna Murrah bin K’ab (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ne (apne b'ad ke) fitno ka zikr kiya, itne mein ek aadmi kapday odhay huwe wahan se guzra tou Aap ne farmaaya: "Yeh shakhs us din hidayat par hoga." maine uth kar dekha tou wo 'Usmaan bin 'Affan (Razi Allahu Anhu) thhey.
(Sunan Tirmizi, Hadees: 3704, aur Kaha yeh hadees "Hasan Sahih" hai, Wa Sanadahu Sahih)

Bait e rizwan ke mauqe par jab kuffaar e makkah ne Sayyiduna 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) ko rok liya tha tou Nabi e Kareem ne bait e rizwan li, Aap ne apne daayen hath ke barey mein farmaaya: yeh 'Usmaan ka hath hai aur phir usey apne baayen hath par maar kar farmaaya: yeh bait 'Usmaan ki taraf se hai.
(Sahih Bukhari, Hadees: 3699)

Abu Sahla (Rahimahullah) maula Sayyiduna 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke jab (baghiyon ke muhaasare waale dino mein) Sayyiduna 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) se kaha gaya ke aap (in baghiyon se) jung kiyun nahi karte? tou unhon ne jawaab diya: beshak Rasoolullah ne mere sath ek wada kiya tha aur main is par saabir (shaakir) hon.
(Musannaf Ibne Abi Shaibah: 12/45, Hadees: 32028, Wa Sanadahu Sahih, Tirmizi: 3711, aur kaha yeh hadees "Hasan Sahih" hai)

Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ne kuthbah ke dauraan yeh aayat padhi:
إِنَّ الَّذِينَ سَبَقَتْ لَهُم مِّنَّا الْحُسْنَىٰ أُولَٰئِكَ عَنْهَا مُبْعَدُونَ
"Beshak wo log jinke muqaddar mein hamari taraf se bhalayi hai wo jahannam se door rakhe jaayenge."
(Surah Anbiyaa: 101)
(Phir) Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya: "'Usmaan (Razi Allahu Anhu) in hi mein se hain."
(Musannaf Ibne Abi Shaibah: 12/52, Hadees: 32043, Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Hasan bin 'Ali bin Abi Talib (Razi Allahu Anhuma) ke saamne 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) ka zikr kiya gaya tou unhon ne farmaaya: Yeh Ameer ul Momineen ('Ali Razi Allahu Anhu) ab aarahe hain wo tumhen batayenge, pas Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) tashreef laaye tou farmaaya ke 'Usmaan un logon mein se hain jinke barey mein Allah تعالٰی ne farmaaya:
آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ ثُمَّ اتَّقَوا وَّآمَنُوا ثُمَّ اتَّقَوا وَّأَحْسَنُوا ۗ وَاللَّهُ يُحِبُّ الْمُحْسِنِينَ
"Wo emaan laaye aur nek amaal kiye phir emaan ke sath taqwe waala raastah ikhtiyaar kiya, phir taqwe aur ehsaan waala raastah ikhtiyaar kiya aur Allah ehsaan karne waalon se muhabbat karta hai."
(Surah Maidah: 93)
(Musannaf Ibne Abi Shaibah: 12/54, Hadees: 32051, Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) dono hath utha kar farmaa rahey thhey ke:
أللهم إني أبرأ إليك من دم عثمان
"Aye Allah main 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) ke khoon se bari hon."
(Fazail as-Sahabah Lil Imam Ahmed: 1/452, Hadees: 727, Wa Sanadahu Hasan)

Rasoolullah ne 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) se farmaaya tha ke:
يا عثمان، إن الله عز وجل عسى أن يلبسك قميصا، فإن أرادك المنافقون على خلعه، فلا تخلعه حتى تلقاني
"Aye 'Usmaan! anqareeb Allah tujhe ek qamees (khilafat ki) pehnayega, pas agar usey utaarne ke liye tere paas munafiqeen aajaye tou meri mulaqaat (wafaar ya shahadat) tak usey na utaarna."
(Musnad Ahmed: 6/86,87 Hadees: 25073, Wa Sanadahu Sahih, al-Mawso'at ul-Hadeesiyah: 41/113)

Jamhoor ahle sunnat ke nazdeek Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) se Sayyiduna 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) afzal hain.

Ahle sunnat ke mashhoor siqah Imam Ibne Shihab az-Zuhri Rahimahullah (Died 125-H) se pouchaa gaya ke aap Ali se ziyadah muhabbat karte hain ya usmaan se? unhon ne jawaab diya: usmaan se.
(Tareekh e Damishq Li Ibne Aasakir: 41/334, Wa Sanadahu Sahih)

Alhumdulillah Ahle Sunnat Dono Se Muhabbat Karte Hain.

Sayyiduna Anas bin Malik (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya ke b'az log yeh dawa karte hain ke momin ya muslim ke dil mein 'Ali aur 'Usmaan dono ki muhabbat ekkhatta nahi ho sakti, sun lo ke in dono ki muhabbat mere dil mein ekkhatta hai.
(Tareekh e Damishq Li Ibne Aasakir: 41/332, Wa Sanadahu Hasan)

Hafiz Ibne Aasakir (Rahimahullah) ne Sayyiduna 'Usmaan (Razi Allahu Anhu) ke halaat sanado ke sath ek jild mein likhe hain.

Aye Allah! Hamare dilo ko Sayyiduna 'Usmaan aur Sayyiduna 'Ali aur tamaam Sahaba (Razi Allahu Anhum Ajmayeen) ki muhabbat se bhar dey. Aameen

Refrence: |Kitaab: Fazail E Sahabah, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page 45-48|

Romanised: Syed Ibrahim


Tamaam Articles