Qurbaani Ka Gosht Ghair Muslim Logon Ko Diya Jaa Sakta Ya Nahi?
Qurbaani ke gosht ke barey mein Allah تعالٰی ka irshaad hai:
فَكُلُوا مِنْهَا وَأَطْعِمُوا الْبَائِسَ الْفَقِيرَ
"Pas is se khao aur faaqah-kashi faqeer ko khilao."
(Surah al-Hajj: 28)
Aur farmayaa:
فَكُلُوا مِنْهَا وَأَطْعِمُوا الْقَانِعَ وَالْمُعْتَرَّ
"Pas is mein se khao aur ameer gareeb ko khilao."
(Surah al-Hajj: 36)
In aayaat se saabit huwa ke qurbaani ke gosht ke teen hissey karna, kudh khana, ameeron masalan rishtedaron aur dosto ko khilana aur gareebo ko khilana bilkul sahih hai aur chunke qurbaani taqreeb e ilaahi aur ibaadat hai, lehaza behtar yehi hai ke qurbaani ka gosht sirf musalmaano ko khilaya jaaye.
Agar taleef e qalb ka mu'aamlah tou phir "Surah Tawbah Ayat 60" ki ru se un kafiron ko yeh gosht khilana jayiz hai jo Islam ke mu'aanid dushman nahi balke narmi waala sulook rakhte hain.
Sayyiduna Abdullah bin 'Amr bin al-'Aas (Razi Allahu Anhu) ke ghar mein ek bakri zabah ki gayi, phir wo jab aaye tou kaha: kya tumne (is mein se) hamare yahoodi padosi ko bhi behja hai? aap ne yeh baat do dafa farmaayi aur kaha: maine Rasoolullah ﷺ ko farmaatey huwe suna:
ما زال جبريل يوصيني بالجار حتى ظننت انه سيورثه
"Jibreel mujhe musalsal padosi ke barey mein kehte rahe, hatta ke maine samjha ke wo isey waris bana denge."
(Sunan Tirmizi: 1943, Musnad Humaidi: 593, Wa Sanadahu Sahih)
Maloom huwa taleef e qalb aur padosi wagerah hone ki wajah se ghair muslim ko bhi qurbaani ka gosht diya jaa sakta hai.
-29 December 2010
Jawaab az: Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ
Refrence: Fatawa Ilmiya, Jild 3, Page 281
Romanised: Syed Ibrahim