Kash Main Is Qabr Mein Hota!

بسم الله الرحمن الرحيم

Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ne farmaaya:
لا تقوم الساعة حتى يمر الرجل بقبر الرجل، فيقول: يا ليتني مكانه
"Qayamat qaayim na hogi yahan tak ke ek shakhs doosrey ki qabr ke paas se guzreyga aur kahega, kash! main iski jagah hota."
(Sahih Bukhari, Hadees: 7155)
____________________

"Muwatta Imam Malik Riwayat Ibne Qasim" ki hadees ke tehat Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah likhtey hai:

Qayamat Se Pehle Fitnay Zahoor Pazeer Hoge

 وبه: أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: ”لا تقوم الساعة حتى يمر الرجل بقبر الرجل فيقول: يا ليتني مكانه.“ . . .»
(399) Aur isi sanad ke sath (Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se) riwayat hai ke Rasoolullah ne farmaaya: "Us waqt tak qayamat qaayim nahi hogi jab tak koi aadmi kisi aadmi ki qabr ke paas se guzrey aur yeh na kahe: haaye afsoos! main iski jagah hota."
(Muwatta Imam Malik Riwayat Ibne Qasim: 549)

Tafaqquh:

1) Ju ju qayamat nazdeek aarahi hai aane waale log aam taur par guzrey huwe logon ki ba-nisbat bad se badtar aarahe hain.

2) Sharayi uzr, fitnay mein mubtalaa hone ke khauf aur shadeed ghum aur parehsaani ki baghir maut ki tamanna karna jayiz nahi hai.

3) Qayamat se pehle ummat mein baday fitnay honge

4) Allah تعالٰی ne Nabi e Kareem ko jo ghaib ki khabar di hai wo aap jaantey thhey

5) Jahan tak ho sake fitno se door rehna chahiye

6) Har waqt aajizi aur tawaazo ikhtiyaar karna chahiye

● Sayyidah Aisha (Razi Allahu Anha) ne farmaaya:
يا ليتني إذا متّ كنت نسيًا منسيًا
"Afsoos! kash main marne ke b'ad bhulaa di jaati."
(Kitaab al-Mutamannin Li Ibne Abi Duniya, Hadees: 27, Wa Sanadahu Sahih, Musannaf Ibne Abi Shaibah, 13/358, Hadees: 34724, Wa Sanadahu Sahih)

● Sayyidah Aisha (Razi Allahu Anha) ne mazeed farmaaya:
يا ليتني كنت شجرة
"Haaye afsoos! main darakht hoti."
(Kitaab al-Mutamannin: 28, Wa Sanadahu Hasan, Musannaf Ibne Abi Shaibah, 13/359, Hadees: 34725, Wa Sanadahu Hasan)

Yeh tamaam aqwaal tawaazo aur aajizi par mahmool hain.

7) Hadees mein zikr kardah bayaan, alaamat e qayamat mein se ek nishaani hai

8) Qabr se muraad yehi duniyawi qabr hai

Reference: Muwatta Imam Malik Riwayat Ibne Qasim Sharah Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Hadees: 339, Page 418

Tamaam Articles