Misaali Biwi Ki Khoobiyan!
بسم الله الرحمن الرحيم
✾ Misaali Biwi Banney Ke Liye Chaar Qabil E Taqleed Misaalen:
Sayyiduna Anas رضي الله عنه kehte hain Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
"Kayenaat ki behtareen khawateen chaar hain, ① Maryam binte Imraan رضي الله عنها
② Khadijah binte Khawlid رضي الله عنها
③ Fatimah binte Muhammad ﷺ
④ Firaon ki biwi Aasiya رضي الله عنها
(Ahmed, Tabrani, Sahih Jaame us-Sagheer wa Ziyadah, Lil Bani, Hadees: 3323)
✾ Har Mu'aamley Mein Shohar Ki Aakhirat Ka Khayaal Rakhne Waali, Emaan Waali Hona Misaali Biwi Ki Sifat Hai:
Sayyiduna Sawbaan رضي الله عنه kehte hain jab soney chandi ke barey mein aayaat naazil huwi tou Sahaba e Kiraam رضي الله عنهم ne apas mein kaha "phir hum kaunsa maal jama karen?" Sayyiduna Umar رضي الله عنه ne kaha "Main tumhare liye abhi is sawaal ka jawaab dariyaaft karta hon." chunanche Sayyiduna Umar رضي الله عنه apne oont par sawaar huwe aur Nabi e Akram ﷺ ki khidmat mein haazir huwe, main (yani Sayyiduna Sawbaan رضي الله عنه) Sayyiduna Umar رضي الله عنه ke peechey peechey tha, Sayyiduna Umar رضي الله عنه ne arz kiya "Ya Rasoolullah ﷺ! hum kaunsa maal jama karen?" Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: "Tum mein se har ek ko shukr guzaar dil, zikr karne waali zubaan, mominah biwi jo aakhirat ke barey mein tumhari madadgaar saabit ho, haasil karne ki koshish karni chahiye."
(Sahih, Sunan Ibne Majah, Lil Bani, Hadees: 1505)
✾ Shohar Ko Khush Rakhne, Shohar Ki Itaa'at Karne Aur Apni Jaan Wa Maal Shohar Ke Hawaaley Karne Waali Khatoon Behtareen Rafiqah E Hayaat Hai:
Sayyiduna Abu Hurairah رضي الله عنه kehte hain arz kiya gaya "Ya Rasoolullah ﷺ! behtareen auart kaunsi hai?" Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: "Wo aurat ke jab uska shohar uski taraf dekhe tou usey khush kar dey jab kisi baat ka hukm dey tou uski itaa'at kare neez aurat ki jaan aur maal ke mu'aamley mein shohar jis cheez ko na-pasand karta ho us ki mukhalifat na kare."
(Sahih, Sunan Nasayi, Lil Bani, Hadees: 3030)
✾ Paanch Namazon Ki Pabandi Karne Waali, Ramzan Ke Rozey Rakhne Waali, Paak Daman Aur Shohar Ki Itaa'at Guzaar Khatoon Behtareen Rafiqah E Hayaat Hai:
Sayyiduna Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
"Jo aurat panch namazen ada kare, ramzan ke rozey rakhe, apni sharamgah ki hifazat kare aur apne shohar ki farmanbardari kare usey (qayamat ke roz) kaha jayega jannat ke (aatho 8) darwaazon mein se jis se chahe dakhil ho jaaye."
(Sahih Jaame us-Sagheer wa Ziyadah, Lil Bani, Hadees: 673)
✾ Shohar Ke Jinsi Jazbaat Ka Ahteraam Karne Waali Khatoon Par Allah Razi Rehta Hai:
Sayyiduna Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
"Us zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai jab koi shakhs apni biwi ko apne bistar par bulaaye aur biwi inkaar kar dey tou wo zaat jo aasmaano mein hai naraaz rehti hai hatta ke us ka shohar us se raazi ho jaaye."
(Sahih Muslim, Kitaab un-Nikah)
✾ Aulaad Se Muhabbat Karne Waali Aur Apne Shohar Ke Tamaam Mu'aamlaat Ki Ameen Khatoon Behtareen Biwi Hai:
Sayyiduna Abu Hurairah رضي الله عنه kehte hain Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
"Oonton par sawaar hone waali auraton mein se behtareen auraten quraish ko hain bachcho par nihaayat shafaqat aur meharbaani karne waaliyan hain aur apne shoharon ke maal wa daulat ki muhafiz aur ameen hoti hain."
(Sahih Muslim, Kitaab ul-Fazaail)
✾ Shohar Ki Adm Maujoodgi Mein Uske Maal Aur Uski Izzat Ki Muhafiz Neez Apne Shohar Ki Itaa'at Guzaar Aur Wafadaar Khatoon Behtareen Biwi Hai:
Sayyiduna Abdullah Bin Salaam رضي الله عنه kehte hain Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
"Behtareen biwi wo hai jiski taraf tu dekhe tou khush kar dey aur jab tu kisi baat ka hukm dey tou bajaa laaye aur teri adm maujoodgi mein tere maal aur apni zaat ki hifazat karey."
(Tabrani, Sahih Jaame us-Sagheer wa Ziyadah, Lil Bani, Hadees: 3294)
✾ Kunwaari, Shireen Guftaar, Khush Mizaaj, Qanaa'at Pasand, Shohar Ka Dil Lobhaney Waali Aur Ziyadah Bachche Janne Waali Aurat Behtareen Rafiqah E Hayaat Hai!
Hazrat Abdur Rahman bin Saalim bin Uthbah bin Adeem bin Saa'adah Ansari رحمہ اللہ apne baap se aur usney apne dada se riwayat ki ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
"Kunwaari auraton se nikah karo ke wo shireen guftaar hoti hain ziyadah bachche janti hain aur thodi cheez par jaldi khush ho jaati hain."
(Sahih, Sunan Ibne Majah, Lil Bani, Hadees: 1508)
Sayyiduna Jaabir رضي الله عنه kehte hain hum ek ghazwah mein Nabi e Akram ﷺ ke sath thhey jab hum wapas huwe tou madinah ke qareeb maine arz kiya "Ya Rasoolullah ﷺ! maine nayi nayi shadi ki hai" Aap ﷺ ne dariyaaft farmaaya "kya tune shadi ki hai?" maine arz kiya "haan! Aap ﷺ ne farmaaya "kunwaari se ya bewah se?" maine arz kiya "bewah se" Aap ﷺ ne irshaad farmaaya "kunwaari se shadi kiyun nahi ki wo tere sath khelti aur tu uske sath khelta."
(Muttafaqun Aleh, Mishkat ul-Masabeeh, Lil Bani, Hadees: 3088)
Reference: |Nikah Ke Masaail, Az: Iqbal Kilani حفظہ اللہ Page: 149-145|
Romanised: Syed Ibrahim