Sayyiduna Ali رضي الله عنه Se Muhabbat!

بسم الله الرحمن الرحيم

Rasoolullah ne khaibar waaley din farmaaya:
لأعطين هذه الراية غداً رجلاً يفتح الله على يديه، يحب الله و رسوله ويحبه الله و رسوله
"Main kal zaroor us aadmi ko jhandaa dunga, jis ke haath par Allah fateh deyga, wo Allah aur uske Rasool se muhabbat karta hai aur Allah aur uske Rasool (Muhammad ) us se muhabbat kartey hain. Jab subh huwi tou sab log sawere sawere hi Rasoolullah  ke paas pohanch gaye, har aadmi yeh chaahaata tha ke usey jhandaa miley, Aap  ne pouchaa: 'Ali bin abi taalib kahan hain? logon ne jawaab diya: Ya Rasoolullah! wo aankhon ke dard mein mubtalaa hain. Aap ne farmaaya: unhein bulaa laao, jab (Sayyiduna) 'Ali (Razi Allahu Anhu) aaye tou Aap  ne un ki aankhon mein apna lu'aab e mubaarak daala tou wo (fauran) is tarha theek hogaye jaise kabhi bimaar hi nahi thhey, Aap  ne (Sayyiduna) 'Ali (Razi Allahu Anhu) ko jhandaa diya aur farmaaya: Allah ki qasam agar teri wajah se ek aadmi bhi hidaayat par aajaye tou tere liye yeh maal e ghanimat ke surq ounton se behtar hai."
(Saheeh Al-Bukhaari: 2942 wa Sahih Muslim: 34/2406)

Allah تعالی ne ghazwa e khaibar mein 'Ali (Razi Allahu Anhu) ke haath par musalmaano ko fateh naseeb farmayi, Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ka kitnaa bulanad maqaam hai ke Allah aur Rasool un se muhabbat kartey hain.

Mashoor Jaleel Ul Qadr Sahabi aur Faatih e Qadisiyyah Sayyiduna S'ad Bin Abi Waqaas (Razi Allahu Anhu) farmatey hain: Rasoolullah  ne 'Ali (Razi Allahu Anhu) se farmaaya:
أنت مني بمنزلة هارون من موسى، ألا أنه لا نبي بعدي
"Teri mere saath wahi manzilat hai jo Haroon ki Musa ('alaihis salaam) se hai illa yeh ke mere ba'd koi Nabi nahi hai."
(Saheeh Al-Bukhaari: 3706 wa Muslim: 30/2404)

Is hadees se Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ka 'azeemush-shaan hona saabit hota hai lekin yaad rahe ke is ka khilaafat se koi ta'alluq nahi hai, is hadees se bhi saabit hota hai ke Nabi e Kareem  ke ba'd qayaamat tak koi nabi paidaa nahi hoga.

Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) farmatey hain ke us zaat (Allah) ki qasam hai jis ne daana phaada (fasl ugayi) aur makhloqaat paidaa kiyen, mere saath Nabi e Ummi  ne wa'dah kiya tha tha ke mere ('Ali Razi Allahu Anhu ke) saath muhabbat sirf momin hi karega aur (mujh se) bugz sirf munafiq hi rakkhega." (Saheeh Muslim: 78/131)

Ma'loom huwa ke Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) se momineen muhabbat kartey hain aur bugz karney waaley munafiq hain, tamaam Ahle Sunnat Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) se muhabbat aur pyaar kartey hain.

Yaad rahe ke muhabbat ka yeh matlab qata'an nahi hai ke aadmi aap ka darjah badhaa kar mushkil kusha aur haajat rawa bana dey ya aap ke 'azeemush-shaan saathiyon aur Sahaba e Kiraam ko buraa kehna shuru kar dey, Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ne apne barey mein khoob farmaaya hai ke:
"Mere barey mein do (qism ke) shakhs halaak ho jayenge: Ghali (aur muhabbat mein na-jayiz) ifraat karney waala, aur Bugz karney waala hujjat baaz."
(Fazaail E Sahaba Lil Imam Ahmed 2/571 Hadees 964 wa Isnaadahu Hasan, al-Hadees: 4 safa 15)

Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ka doosra qaul yeh hai ke:
"Ek qaum (logon ki jamaa'at) mere saath (andhaa dhund) muhabbat kareygi hattaa ke wo meri (ifraat waali) muhabbat ki wajeh se (jahannum ki) aag mein dakhil hogi aur ek qaum mere saath bugz rakkhegi hattaa ke wo mere bugz ki wajeh se (jahannum ki) aag mein dakhil hogi."
(Fazaail E Sahaba 2/565 Hadees 952 wa Isnaadahu Sahih, wa Kitaabus Sunnah Li Ibne Abi 'Aasim: 983 wa Sanadahu Sahih, al-Hadees: 4 safa 15)

Chunke in dono aqwaal ka ta'alluq ghaib se hai lehaza yeh dono aqwaal hukman marfoo' hain yane Rasoolullah  ne 'Ali (Razi Allahu Anhu) ko yeh baaten batayi hoon gi. Wallahu'Aalam

Ma'loom huwa ke do qism ke qiroh ho jaayenge:

Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) se andhaa dhund muhabbat kar ke aap ko khuda, mushkil kusha aur haajat rawa wagera samahjne waaley ya doosrey Sahaba e Kiraam ko bura kehney waaley log masalan ghali qism ke rawafiz wagera.

Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ko bura kehney waaley log maslan khawarij wa nawaasib wagera.

Tambeeh: Hakeem faiz 'aalam siddiqee (naasbi) wagera ne Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ki shaan mein jo ghustakhiyan ki hain in se tamaam ahle hadees bariyuz-zimmah hain, ahle hadees ka naasbiyon aur raafziyon se koi ta'alluq nahi hai, ahle hadees ka raastah Kitaab o Sunnat waala raastah hai yehi Ahle Sunnat hain.

Sayyiduna Ameer ul Momineen 'Umar (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya ke Nabi  ne is haalat mein wafaat paayi ke Aap  'Ali, 'Usmaan, Zubair, Talhah, Sa'd (bin abi waqaas) aur 'Abdur Rahman (bin awf) (Razi Allahu Anhum Ajmayeen) se razi thhey.
(al-Bukhari: 3700)

Sayyiduna Sa'd Bin Abi Waqaas (Razi Allahu Anhu) farmatey hain:
"Jab aayat "Hum apni aulaad ley aayen aur tum apni aulaad ley aao." (Aal 'Imraan: 61) nazil huwi tou Rasoolullah  ne 'Ali, Fatima, Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhum) ko bulaaya, phir farmaaya: "Aye Allah! yeh mere ahl (ahle bait) hain."
(Sahih Muslim: 32/2404 Darussalaam: 6220)

Sayyidah 'Aayisha Siddiqa (Razi Allahu Anha) farmaati hain ke Nabi ne chaadar ke nichey Fatima, Hasan, Husain aur 'Ali (Razi Allahu Anhum) ko dakhil kar ke farmaaya: "Allah sirf yeh chaahaata hai ke ahle bait tum se najaasat door kardey aur tumhen khoob paak wa taahir kardey."(al-Ahzaab: 33) (Sahih Muslim: 2424)

In sahih ahaadees se Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ki badi fazilat saabit hai, yaad rahe ke Ummahaat ul Momineen bhi ahle bait mein shaamil hain, Sayyiduna Zaid bin Arqam (Razi Allahu Anhu) farmaatey hain ke: "Aap ki biwiyaan aap ke ahle bait mein se hain." (Sahih Muslim: 2408 Darussalaam: 6225)

Umoom e Qur'an bhi isi ka muayyid hai.

Sayyiduna 'Imraan bin Haseen (Razi Allahu Anhu) se riwaayat hai ke Nabi ne farmaaya:
إن علياً مني وأنا منه وهو ولي كل مؤمن
"Beshak 'Ali mujh se hain aur main un se hoon aur wo har momin ke wali hain."
(Tirmizi: 3712 wa Isnaadahu Hasan)

Yane Rasoolullah 
 'Ali (Razi Allahu Anhu) se muhabbat kartey hain aur 'Ali (Razi Allahu Anhu) aap se muhabbat kartey hain, har momin 'Ali (Razi Allahu Anhu) se muhabbat karta hai.

Sayyiduna Zaid bin Arqam (Razi Allahu Anhu) se riwaayat hai ke Nabi 
 ne farmaaya:
من كنت مولاه فعلي مولاه
"Jis ka main maulaa hoon tou 'Ali us ke maulaa hain."
(Tirmizi: 3713 wa Sanadahu Sahih)

Lughat mein muqlis dost ko bhi maulaa kehtey hain. (dekhe al-Qamoos ul Waheed safa 1900)

Nabi e Kareem 
 ne Zaid bin Haaris (Razi Allahu Anhu) se farmaaya:
أنت أخونا و مولانا
"Tu hummara bhai aur hummara maulaa hai."
(Saheeh al-Bukhaari: 2699)

Aap 
 ne Sayyiduna Julaibib (Razi Allahu Anhu) ke barey mein farmaaya:
هذا مني وأنا منه
"Yeh mujh se aur main is se hoon."
(Sahih Muslim: 131/2472 Darussalaam: 6358)

Ba'z rawafiz ka hadees e wilaayat se Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ki khilaafat bila-fasl ka d'awaa karna in dalayil e saabiqah wa digar dalayil ki ru se batil hai.

Ek da'fah Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) bimaar hogaye tou Nabi e Kareem 
 ne aap ke liye dua farmaayi:
اللهم عافه أو اشفه
"Aye Allah ise 'aafiyat ya shifaa 'aata farma" Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) farmatey hain: main is ke ba'd kabhi bimaar nahi huwa."
(Sunan Tirmizi: 3564 wa Qaal: "haza hadees hasan sahih" wa Isnaadahu Hasan)

Mashoor Tabayee' Abu Ishaaq as-Sabee' (Rahimahullah) farmaate hain:
"Maine aap (ameer ul momineen 'Ali Razi Allahu Anhu) ko minbar par khadey dekha, aap ka sar aur daadhi safeed thi."
(Kitaabul Marifati wat Taareekh Lil Farisi 2/621 wa Sanadahu Sahih, Tareekh E Damishq 17/45 Musannaf 'Abdur Razzaq 3/188,189 Hadees 5267)

Is se ma'loom huwa ke baalon ko mehandi ya surq rang lagana waajib (farz) nahi hai.

Sayyiduna Abu Bakr Siddiq (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya:
ار قبوا محمداً ﷺ في أهل بيته
"(Sayyiduna) Muhammad 
 ki razaamandi aap ke ahle bait (ki muhabbat) mein talaash karo."
(Sahih al-Bukhaari: 3713)

Yane jo shaksh Sayyiduna 'Ali, Sayyiduna Husain, Sayyiduna Hasan aur tamaam Sahaba e Kiraam se muhabbat karta hai tou qayaamat ke din wo Nabi e Kareem ka saathi hoga.

Sayyiduna Zaid bin Arqam (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya:
"Sab se pehle ('Ali Razi Allahu Anhu) musalmaan huwe thhey, Ibrahim an-Nakha'i (taba'yee sagheer) ne Sahabi e Rasool ke is qaul ka inkaar kartey huwe kaha ke sab se pehle Abu Bakr Siddiq (Razi Allahu Anhu) musalmaan huwe thhey."
(Sunan Tirmizi: 3735 wa qaal: "haza hadees hasan sahih" wa Sanadahu Sahih)

Yane bachchon mein sab se pehle Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) musalmaan huwe aur mardon mein Sayyiduna Abu Bakr Siddiq (Razi Allahu Anhu) sab se pehle musalmaan huwe thhey. Wallahu'Aalam

Sayyiduna 'Abdullah bin 'Abbas (Razi Allahu Anhuma) farmatey hain ke:
أول من أسلم علي رضي الله عنه
"Sab se pehle 'Ali (Razi Allahu Anhu) musalmaan huwe thhey."
(Mu'jam us-Sahabah Lil Baghawi jild 4 safa 357 Hadees 1810 wa Sanadahu Sahih)

Urwah (bin Zubair, Taba'yee (Rahimahullah) farmatey hain ke:
"Ali (Razi Allahu Anhu) aath (8) saal ki 'umar mein musalmaan huwe thhey."
(Mu'jam us-Sahabah Lil Baghawi jild 4 safa 357 Hadees 1810 wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna 'Abdullah bin Mas'ood (Razi Allahu Anhu) farmatey hain ke:
كنا نتحدث أن أفضل (أقضى) أهل المدينة علي بن ابي طالب
"Hum baaten kartey thhey ke ahle madinah mein sab se afzal (أقضى) 'Ali bin abi taalib hain."
(Fazaail E Sahaba Lil Imam Ahmed 2/604 Hadees 1033 wa Sanadahu Sahih)

Ghazwa e khaibar ke mauqe' par yahoodi ki lalkaar ka jawaab detey huwe Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya:
أنا الذي سمتني أمي حيدرة
"Mera naam meri maa ne haydar rakkha hai, main wo (haydar/sher) hoon."
(Sahih Muslim: 1807 Darussalaam: 478)

Phir aap ne marhab yahoodi ko qatl kar diya aur fateh khaibar aap ke haath par huwi.

Sayyiduna Abu Huraira (Razi Allahu Anhu) se riwaayat hai:
"Rasoolullah 
 Abu Bakr, Umar, Usmaan, Ali, Talha aur Zubair (Razi Allahu Anhum) hira (pahaad) par thhey ke wo (zalzaley ki wajah se) hilney laga tou Rasoolullah ne farmaaya: ruk jaa, is waqt tere oopar Nabi, Siddiq aur Shaheed (hi) khadey hain."
(Sahih Muslim: 417 Darussalaam: 6247)

Rasoolullah 
 ne farmaaya:
من أذى علياً فقد أذاني
"Jis ne 'Ali (Razi Allahu Anhu) ko takleef di us ne mujhe takleef di."
(Fazail E Sahabah/Ziyadaat al-Qatiyee: 1078, wa Sanaduhu Hasan, wa Lahu Shahidun Inda Ibne Hibbaan, al-Mawarid: 2202 wal Haakim 3/123 Aw Sahahahu wa Wafaqahu Zehbi)

Ek da'fah (ba'z) logon ne (Sayyiduna) 'Ali (Razi Allahu Anhu) ki shikayat ki tou Rasoolullah 
 ne khutbah irshaad farmaaya:
أيها الناس لا تشكوا علياً فو الله إنه لأخشن في ذات الله أو في سبيل الله
"Logon! 'Ali ki shikayat na karo, Allah ki qasam beshak wo Allah ki zaat ya Allah ke raasthe mein bahut ziyadah khashiyat (khauf) rakhtey hain."
(Musnad Ahmed 3/86, wa al-Haakim 3/134 wa Wafaqahu Zehbi wa Sanaduhu Hasan)

Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya: Mujhe umeed hai ke Main, Usmaan, Talha aur Zubair (Razi Allahu Anhum) un logon mein honge jin ka zikr Allah ne (Qur'an e Majeed mein) kiya hai:
وَنَزَعْنَا مَا فِي صُدُورِهِم مِّنْ غِلٍّ إِخْوَانًا عَلَىٰ سُرُرٍ مُّتَقَابِلِينَ
"Aur un logon ke dilon mein jo kudoorat hogi hum usey nikaal denge aur wo chaar paayon par, bhai baney huwe ek doosrey ke saamney baithey honge."
(Fazail E Sahabah/ Ziyadaat al-Qatiyee: 1057 wa Sanaduhu Sahih)

Abu Ishaaq as-Sabi'ee farmaatey hain:
رأيت علياً....ضخم اللحية
"Maine 'Ali (Razi Allahu Anhu) ko dekha, aap ki badi aur ghani daadhi thi."
(Tabqaat Ibne Sa'd 3/25 wa Sanaduhu Sahih, Yunus Bin Ibi Ishaaq Bari Min al-Tadlees)

Imam Ahle Sunnat Ahmed bin Hanbal Rahimahullah farmaatey thhey:
ماجاء لأحد من أصحاب رسول الله ﷺ من الفضائل ماجاء لعلي بن أبي طالب رضي الله عنه
"Jitney fazaail 'Ali Bin Abi Talib (Razi Allahu Anhu) ke (ahadees mein) aaye hain utney fazaail kisi doosrey Sahabi ke nahi aaye."
(Mustadrak al-Haakim 3/ 107,108 Hadees 4572 wa Sanaduhu Hasan)

Mukhtasar yeh ke Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) badri, Min as-Sabeeqina awwaleen, Ameer ul Momineen Khalifah e Rashid aur khalifah e Chaharum thhey, aap ke fazail beshumaar hain jin ke ihaatey ka yeh mukhtasar mazmoon mutahammil nahi hai.

Imam Abu Bakr Muhammad Bin Husain al-Ajuree Rahimahullah (died 360 hijri) farmaatey hai:
"Jaan lo, Allah hum aur tum par raham karey, beshak Allah kareem ne Ameer ul Momineen 'Ali Bin Abi Talib (Razi Allahu Anhu) ko alaa fazilat aata farmaayi, khair mein aap ki paish e qidmiaan azeem hain aur aap ke manaqib bahut ziyadah hain, aap azeem fazilat waaley hain, aap jaleel ul qadr, aali martabah aur badi shaan waaley hain, Aap Rasoolullah 
 ke bhai aur chacha-zaad, Hasan wa Husain ke aba, musalmaano ke mard e maidaan, Rasoolullah  ka difaa' karney waaley, humpalla logon se ladney waaley, Imam, Adil, Zahid, duniya se be-niyaaz (aur) aakhirat ke talab-gaar, mutabi' e haq, batil se door aur har behtareen akhlaaq waaley hain, Allah wa Rasool aap se muhabbat kartey hain aur aap Allah wa Rasool se muhabbat kartey hain, aap aise insaan hain ke aap se muttaqi momin hi muhabbat kartey hai aur aap se sirf munafiq bad-naseeb hi bughz rakhta hai, aql, ilm, burdbaari aur adaab ka khazana hain."
(ash-Shari'ah Page No: 714,715)

Aye Allah! hummare dilo ko Sayyiduna Abu Bakr, Sayyiduna Umar, Sayyiduna Usmaan, Sayyiduna 'Ali aur tamaam Sahaba (Razi Allahu Anhum Ajmayeen) ki muhabbat se bhar dey. آمین

Refrence: |Kitaab: Fazaail E Sahaba, Taleef: Hafiz Sher Muhammad حفظہ اللہ Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai  رحمہ اللہ Page 49-55|

Romanised: Syed Ibrahim






Tamaam Articles