Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam!
بسم الله الرحمن الرحيم
Imam Malik رحمہ اللہ ke shagird Abu Salamah Mansoor bin Salamah bin Abd al-Aziz al-Khuza'yi رحمہ اللہ (died 210 hijri) farmaatey hain:
كَانَ مَالِكُ بْنُ أَنَسٍ إِذَا أَرَادَ أَنْ يَخْرُجَ، لَيُحَدِّثَ تَوَضَّأَ وضُوءَهُ لِلصَّلَاةِ وَلَبِسَ أَحْسَنَ ثِيَابِهِ، وَلَبِسَ قَلَنْسُوَةً، وَمَشَطَ لِحْيَتَهُ، فَقِيلَ لَهُ فِي ذَلِكَ؟ فَقَالَ؛ أُوَقِّرُ بِهِ حَدِيثَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
"(Imam) Malik bin Anas (al-Madni رحمہ اللہ) jab hadees bayaan karney ke liye (ghar se) baahar aatey tou namaz waala wuzu kartey, achchey kapday pehantey, (sar par) topi rakhtey aur apni daadhi ki kanghi kartey thhey. Is barey mein jab aap se pouchaa gaya tou farmaaya: Is tarha, main Rasoolullah ﷺ ki hadees ki tazeem karta hon."(Kitabus Salah Li Imam Muhammad bin Nasr al-Maruzi: 731 Wa Sanadahu Sahih, al-Muhaddis al-Fasil Baynal-Rawi wal-Waa'yi: 830, al-Jami' li Akhlaqir-Rawi wa Aadabas-Samay': 903)
"Qatadah (taba'yi) is baat ko na-pasand kartey thhey ke Rasoolullah ﷺ ki hadeesen baghair wuzu ke bayaan ki jaayen."
(al-Jami' li Akhlaqir-Rawi wa Aadabas-Samay': 975 Wa Sanadahu Sahih)
Subhaan-Allah! Salaf e Saleheen, hadees ka kitna ahteraam kartey thhey aur aaj kal bahut se gumrah log sahih hadeeson ka inkaar kartey hain aur mazaaq udaatey hain.
"Tehqeeqi Ilmi Islahi aur Maqalaat" Az: Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ (Jild 2 Page No. 565)
Tahreer: Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ
Romanised: Syed Ibrahim