Nabi E Kareem ﷺ Ke Mujizey!

بسم الله الرحمن الرحيم

Allah تعالی ne apne Aakhiri Rasool Nabi e Kareem ko be-shumaar mujizey dey kar behja maslan:
  • Qur'aan e Majeed
  • Mustaqbil ke barey mein sachchi peshun goyiyah maslan hijaaz se ek badi aag ka nikalna, Sayyiduna 'Amaar bin Yaser aur Sayyiduna Umar رضی اللہ عنہما ka shaheed hona wagerah, tafseel ke liye dekhey Imam Baihaqi رحمہ اللہ ki mashoor kitaab (Dalaayil an-Nabuwah 6/312,552)
  • Chaand ke do tukde ho jaana
  •  Aap ke haath ke ungliyon se paani ka chasma jaari hona
  •  Aap ki judaayi mein khajoor ke taney ka roona
  •  Aap ki saari zindagi ka paak o be-daagh hona jis ka aiteraaf kuffaar e makkah bhi kartey thhey
  • Aap  ka Nabi e Ummi (anpadh) ho kar har lehaaz se mukammal aur jame' Deen e Islam paish karna
  •  Har dua ki qubooliyat ke sath mustajaab ud-da'waat hona
  • Quwat e dalaayil ke lehaz se tamam adiyaan par Deen e Islam ka hamesha ghalib hona
  •  Bezubaan jaanwaron ka Aap  se kalaam karna maslan Sayyiduna Abdullah bin Jafar رضی اللہ عنہ se riwayat hai ke Rasoolullah  ek ansari ke baagh mein daakhil huwey tou wahan ek oont tha, jab us ne Nabi  ko dekha tou roni si awaaz nikaali aur us ki aankhon se aanso behney lagey, Nabi  us ke paas aaye, us ke sar par haath phayra tou wo chup ho gaya, phir Aap  ne pouchaa: is oont ka malik kaun hai? yeh oont kis ka hai? ek ansari naujawaan ne aakar bataya ke Ya Rasoolullah! yeh mera oont hai, Aap  ne farmaaya:
أفلا تتقی اللہ في ھٰذہ البھیمة التي ملکک اللہ إیاھا؟ فإنه شکا إليّ أنک تجیعه و تدئبه
"Kya tu is jaanwar ke barey mein Allah se nahi darta jis ka tujhe Allah ne malik banaya hai? is (oont) ne mujh se shikaayat ki hai ke tu usey bhooka rakhta hai aur hamesha kaam leyta hai.
(Sunan Abi Dawood: 2549 Wa Sanadahu Sahih, Sahih Muslim: 342)

In ke ilaawah Aap  ke aur bhi bahut se mujuzaat hain maslan aap ke baais khaney mein barkat hona wagerah.

Reference: |Muwatta Imam Malik, Page No. 43|

Tahreer: Hafiz Zubair Alizai رحمہ اللہ

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles