Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega!

بسم الله الرحمن الرحيم

Rasoolullah ki sahih hadees ka inkaar karne waala shaksh jannat se mehroom rahega.

Azwa ul-Masabeeh Hadees 146:
وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:" كُلُّ أُمَّتِي يَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ إِلَّا مَنْ أَبَى. قِيلَ: وَمَنْ أَبَى؟ قَالَ: مَنْ أَطَاعَنِي دَخَلَ الْجَنَّةَ وَمَنْ عَصَانِي فقد أَبى"
Sayyiduna Abu Hurairah رضی اللہ عنہ se riwayat hai ke Rasoolullah ne farmaaya: "Meri saari ummat jannat mein jayegi siwaye us shaksh ke jis ne (daakhil hone se) inkaar kar diya". Pouchaa gaya: wo kaun hai jo inkaar kar deyga? Aap ne farmaaya: "Jisne meri ittaa'at ki wo jannat mein dakhil hoga aur jisne meri nafarmani ki tou usne (daakhil hone se) inkaar kar diya".
(Sahih Bukhari, Hadees: 7280)

Fiqh ul Hadees:

1- Rasoolullah ki ittaa'at farz hai

2- Rasoolullah ki sahih hadees ka inkaar karne waala shaksh jannat se mehroom rahega

3- Irshaad E Bari تعالی hai:
مَّن يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ
"Jisne Rasool ki ittaa'at ki tou usne yaqeenan Allah ki ittaa'at ki."
(Surah an-Nisaa: 80)

Darj bala hadees is Aayat ki tasdeeq wa bayaan hai, Walhumdulillah.

4- Gunhagaar musalmano ko Nabi ki ummat se kharij karna ya samahjna ghalat hai

5- Raajih yehi hai ke ummat se muraad ummat e ijaabat hai yane ummat mein se wo log jannat mein jaayenge jinhon ne Nabi E Kareem ka sachche dil se kalimah padha hai aur Islam se door karne waale aqaayid wa aamaal se apne aap ko mehfooz rakkha hai

6- Har waqt sunnat ka daman mazbooti se thaamna aur bid'aat se bachna zaroori hai..

Reference: |Mahnama Al-Hadees, Shumara no.48, Safa no.6, Azwah Al-Masabeeh: Jild 1, Page 196-197|

Romanised: Syed Ibrahim


Tamaam Articles