'Esa عليه السلام Allah Ke Bandey Aur Rasool Hain!

بسم الله الرحمن الرحيم

Sayyiduna 'Ubaadah bin as-Saamit رضي الله عنه se riwayat hai ke Rasoolullah ne farmaaya:
من شهد ان لا إله إلا الله وحده لا شريك له، وان محمدا عبده ورسوله، وان عيسى عبد الله ورسوله وكلمته القاها إلى مريم وروح منه والجنة حق والنار حق ادخله الله الجنة على ما كان من العمل
"Jo shaksh is baat ki gawaahi dey ke Allah ke siwa koi ilaah (ma'bood e bar haq) nahi, wo akela hai uska koi shareek nahi aur Muhammad uske Bandey aur Rasool hain, aur beshak 'Esa عليه السلام Allah ke Bandey aur uske Rasool, uski Bandi (Maryam عليهما السلام) ke Betey aur Kalimah hain, jo us (Allah) ne Maryam عليهما السلام ki taraf ilqaa kiya aur uski (paidaa kardah) Rooh hain, jannat haq hai aur jahannum haq hai, tou Allah usey jannat mein dakhil karega, chahe uske amaal jaise bhi rahe ho."
(Sahih Bukhaari, Hadees: 3435, Sahih Muslim, Hadees: 141)

Fiqh ul Hadees:

Maloom huwa ke Arkaan e Islam wa Sharaait e Emaan ki bahut si shaakhen hain, jo Qur'an wa Hadees mein bayaan kar di gayi hain, in sab par emaan laane ke b'ad hi Allah ke fazal se aadmi jannat mein daakhile ka mustahiq ho sakta hai, jo shaksh Sharaait e Emaan mein se kisi ek ka bhi inkaar kar dey tou aisa shaksh jannat mein daakhile ka haqdaar nahi balke apne kufr ki wajah se jahannumi hai.

Is hadees e paak mein yahood o nasaara ka baik waqt rad kiya gaya hai, yahoodi Hazrat Sayyiduna 'Esa علیہ السلام ko Allah ka Rasool nahi maantey aur esaayi hazraat inhen Allah ka banda nahi maantey, balke yeh kehte phirtey hain ke "'Esa علیہ السلام Allah ke bete hain" Allah تعالى in logon ke har qism ke shirk se paak hai.

"Kalimatulllah" ka matlab yeh hai ke Allah تعالى ne 'Esa علیہ السلام ko apne kalime "kun" se baap ke baghair paidaa farmaaya hai, "Rooh Minh" ka matlab Allah ki paidaa kardah aur phoonki huwi rooh hai,

Allah تعالى ka irshaad hai:
وَسَخَّرَ لَكُم مَّا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا مِّنْهُ
"Aur usi ne tumhaare liye musakhkhar kiya jo kuch aasmaano mein hai aur jo kuch zameeno mein hai, sab usi (ke paidaa karne) mein se hai."
(Surah al-Jaasiya: 13)

Jo matlab "Jami'an Minh" mein "Minh" ka hai wahi matlab "Rooh Minh" mein "Minh" ka hai.

Is hadees mein mutazilah aur khawarij ka rad hota hai, jo kabeerah gunaah karne waalon ko abadi jahannami samjhtey hain.

Mashoor Jaleel ul Qadr Tabayee Hasan Basri رحمہ اللہ (Died: 110-H) farmaatey hain ke: "'Esa علیہ السلام ki maut se pehle (sab ahle kitaab aap par emaan ley aayege) Allah ki qasam wo ab Allah ke paas zindah hain, jab wo naazil honge, tou sab log aap par emaan ley aayege." (Tafseer E Tabri: 6/14 Wa Sanadahu Sahih)

Isi par Khair ul Quroon ka ijmaa hai, yaad rahe ke Sayyiduna 'Esa bin Maryam an-Nasaari علیہ السلام aasmaano se naazil honge jaisa ke Sahih Hadees se saabit hai, (dekhe: Kashful Astar an Zawaid al-Bazzar 4/142 Hadees: 3396, Wa Sanadahu Sahih, aur al-Hadees Hazro, 2,3,4,6)

Abul Hasan al-Ashari (Died 324-H) apni mashoor kitaab "al-Ibaanah" mein likhtey hain:
وأجمعت الأمة على أن الله رفع عيسى إلى السماء
"Aur is baat par ummat ka ijmaa hai ke beshak Allah ne 'Esa علیہ السلام ko aasmaan ki taraf uthaa liya."
(al-Ibaanah: Page 34, Baab Zikr al-Istewaa 'Alal Arsh)

Is hadees mein Qur'an e Majeed, Aakhirat aur digar Arkaan e Emaan wa Sharaait ka zikr nahi hai, jab ke doosrey dalaayil mein inka zikr maujood hai, lehaza maloom huwa ke agar b'az dalaayil mein se kisi cheez ka zikr maujood ho aur doosrey dalaayil mein maujood na ho tou adm e zikr nafi zikr ki daleel nahi hota.

Jannat aur jahannum haq hain aur dono maujood hain, lehaza jo shaksh yeh kehta hai ke jannat aur jahannum ka wujood nahi wo baatil aur gumraahi par hai.
╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾

Refrence: | Azwah al-Masabih Fi Tahqiq Mishkat al-Masabih, Takhreej wa Tehqeeq wa Tarjuma Az: Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ Page 58, 59|

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles