Allah تعالى Se Muhabbat!

بسم الله الرحمن الرحيم

Allah تعالی zameen o aasmaan aur tamaam makhloqaat ka khaliq hai, usi ne apne dono hathon se Aadam عَلَيْهِ السَّلَامُ ko mitti se banaya aur un ke zawjah Hawwa عَلَيْهَا السَّلَامُ ko paidaa farmaaya aur phir un dono se insaano ki nasl jaari farmaayi, Allah ne insaano aur jaandaar makhloqaat ke liye tarha tarha ke rizq aur ne'maaten paidaa kiyen aur wahi mushkil khusha, haajat rawa aur fariyaad-ras hai.

Allah تعالی ka irshaad hai:
وَإِن تَعُدُّوا نِعْمَةَ اللَّهِ لَا تُحْصُوهَا
"Aur agar tum Allah ki ne'maton ko shumaar karna chaaho tou shumaar nahi kar saktey."
(Surah an-Nahl: 18)

Beshumaar ne'maton aur fazl o karam waaley Rab se muhabbat karna insaan par farz hai.

Allah تعالی ka irshaad hai:
وَالَّذِينَ آمَنُوا أَشَدُّ حُبًّا لِّلَّهِ
"Aur ahle emaan sab se ziyadah Allah se muhabbat kartey hain."
(Surah al-Baqarah: 165)

..... ...... ..

Allah تعالی ne farmaya:
وَاشْكُرُوا لِلَّهِ إِن كُنتُمْ إِيَّاهُ تَعْبُدُونَ
"Aur Allah ka shukr ada kartey raho agar tum sirf usi ki hi ibaadat kartey ho."
(Surah al-Baqarah: 172)

Mazeed farmaya:
إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ اللَّهُ وَجِلَتْ قُلُوبُهُمْ
"(Kamil emaan waaley) momin wo hain jab un ke saamney Allah تعالی ka zikr kiya jaata hai tou un ke dil (khauf o umeed ke sath) laraz jaatey hain."
(Surah al-Anfaal: 2)

Nabi ka irshaad e mubarak hai:
ثَلَاثٌ مَنْ كُنَّ فِيهِ وَجَدَ حَلَاوَةَ الْإِيمَانِ، أَنْ يَكُونَ اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِمَّا سِوَاهُمَا، وَأَنْ يُحِبَّ الْمَرْءَ لَا يُحِبُّهُ إِلَّا لِلَّهِ، وَأَنْ يَكْرَهَ أَنْ يَعُودَ فِي الْكُفْرِ كَمَا يَكْرَهُ أَنْ يُقْذَفَ فِي النَّارِ
"Jis shaksh mein teen chizen hon tou us ne emaan ki mithaas paa li: (awwal) yeh ke us ke nazdeek har cheez se ziyadah Allah aur uske Rasool mehboob hon (duwam) wo jis se muhabbat karey sirf Allah hi ke liye muhabbat karey (suwam) wo kufr mein laut jaana is tarha na-pasand karey jaise wo aag mein girna na-pasand karta hai."
(Sahih Bukhari: 16, Sahih Muslim: 43)

Mazeed farmaya:
Ek maa jitni apne bachchey se muhabbat karti hai Allah تعالی us se bhi bahut ziyadah apne bando se muhabbat karta hai.
(Sahih Bukhari Hadees: 5999, Sahih Muslim Hadees: 2754)

Allah تعالی ka irshaad hai:
نَبِّئْ عِبَادِي أَنِّي أَنَا الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
"Mere bando ko bata do ke beshak main gunaah mu'aaf karney waala aur raham karney waala hon."
(Surah al-Hijar: 49)

Allah تعالی farmaata hai:
قُلْ يَا عِبَادِيَ الَّذِينَ أَسْرَفُوا عَلَىٰ أَنفُسِهِمْ لَا تَقْنَطُوا مِن رَّحْمَةِ اللَّهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ جَمِيعًا ۚ إِنَّهُ هُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
"(Meri taraf se) keh do: Aye mere (Allah ke) bando! jinhon ne apni jaano par zulm kiya hai, Allah ki rahmat se mayoos na ho jaao beshak Allah (shirk ke siwa) saarey gunaah mu'aaf farmaata hai, beshak wo ghafoor ur raheem hai."
(Surah az-Zumar: 53)

Allah تعالی ka irshaad hai:
"Jo log meri wajah se ek doosrey se muhabbat kartey hain tou un ke liye meri muhabbat wajib hai."
(Musnad Ahmed, Zawaid Abdullah bin Ahmed: 5/328 Wa Sanaduhu Sahih)

Allah تعالی se muhabbat ka yeh laazmi taqaza hai ke insaan har waqt Allah par tawakkal karey aur usi par sabir o shakir rahey.

Ek dafaa' ek 'arabi (baddu) ne Rasoolullah par talwaar taan kar puchaa: tujhe mujh se kaun bachayega? Aap ne (kamaal e itmenaan se) farmaaya: Allah, tou us 'arabi ke hath se talwaar gir gayi.
(Musnad Ahmed: 3/390 Hadees: 15190, Yeh Hadees Sahih Hai, Sahih Ibne Hibbaan: 2872 (2883)

(Tambeeh: Is riwayat ke rawi Abu Bishr Jafar bin Abi Wahshiyah ne Sulaimaan bin Qais al-Yshkry se kuch nahi suna lekin wo un ki kitaab/sahifey se riwayat kartey thhey aur kitaab se riwayat karna chaahe bataur e wajaadah hi ho, Sahih hai basharteke kitaab ke darmiyaan waastey par jarah ya muhaddiseen ka inkaar sabit na ho, Wallahu Alam, Ghauras bin al-Haris al-'Arabi ka qissah ikhtisaar ke sath Sahih Bukhari (2910) aur Sahih Muslim (843) mein maujood hai, ghauras ne wapas jaa kar apni qaum ke logon se kaha tha ke "main us ke paas se aaya hon jo sab se behtar hai" yeh is ki daleel hai ke ghauras musalmaan ho gaye thhey)

Allah ke Habeeb Muhammadur Rasoolullah apne Rab se itni ziyadah muhabbat kartey thhey ke wafaat ke waqt bhi farmaa rahey thhey:
اللَّهُمَّ الرَّفِيقَ الْأَعْلَى
"Aye mere Allah! apni baargah mein 'alaa rafaqat ataa farma."
(Sahih Bukhari Hadees: 4463, Sahih Muslim Hadees: 2444)

Allah تعالی Se Muhabbat Ki Chand Nishaaniyan Darj Zail Hain:

  • Tawheed o Sunnat se muhabbat aur Shirk o Bid'at se nafrat
  • Nabi e Kareem se waalihanah muhabbat aur aap ka difaa'
  • Sahaba e Kiraam, Tabayeen e Uzzaam, Ulama e Haq aur Ahle Haq se muhabbat
  • Kitaab o Sunnat se muhabbat aur Taqwa ka raastah
  • Gunaaho aur nafarmaani se ijtenaab
  • Riya ke baghir, khuloos e niyat ke sath ibaadaat mein Sunnat ko mad e nazr rakhtey huwey inhimaak
  • Maroof (Neki) se muhabbat aur Munkar o Makrooh se nafrat
  • Kitaab o Sunnat ke ilm ka husool aur Kitaab o Sunnat ke muqaabley mein har qaul o fael ko rad kar deyna
  • Infaaq fi Sabeelillal (Allah ke raastey mein us ki raza mandi ke liye kharch karna)
  • Khauf o Umeed ki halat mein kasrat e azkaar aur dawat e sabitah par amal.
Allah تعالی se dua hai ke wo hummare dil apni aur apne Rasool ki muhabbat se bhar dey aur humme hamesha Kitaab o Sunnat par gaamzan rakhey. (Aameen)

Refrence | Kitaab: Fazail E Sahabah, Taleef: Hafiz Sher Muhammad حفظہ اللہ Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ Page 7-9|

Romanised: Syed Ibrahim


Tamaam Articles