Husain رضي الله عنه Ke Ghustaakh Ka Kya Anjaam Hai!

Sayyiduna Husain bin Ali (Razi Allahu Anhuma) Allah Ta'ala, Rasoolullah , Ashaab e Rasool  ke mehboob hain, lehaza in se muhabbat emaan ka taqazaa hai, ahle sunnat tamaam Sahaba ka adab o ahteraam karte hain, har Sahabi ko uska haq detey hain.

Sayyiduna Husain (Razi Allahu Anhu) se muhabbat aur unka ahteraam zaroori hai, unki janaab mein ghustaakhi karna be-adabi aur azaab e ilaahi ko dawat deyna ke mutaraadif hai.

Mukhazram taba'yii, Abu Rajaa al-'Utaaridi رحمہ اللہ (105-H) kehte hain:
لا تسبوا عليا، ولا أهل هذا البيت، إن جارا لنا من بني الهجيم قدم من الكوفة فقال؛ ألم تروا هذا الفاسق ابن الفاسق؟ إن الله قتله، يعني الحسين عليه السلام، قال؛ فرماه الله بكوكبين في عينه، فطمس الله بصره
"Sayyiduna Ali (Razi Allahu Anhu) aur unke ahle khanah ko bura na kahen, banu juhaim se ta'alluq rakhne waala hamara ek padosi jo kufah se aaya tha, usne kaha: dekho is fasiq ibne fasiq ko yane Husain (Razi Allahu Anhu) ko, naouzu-billah! Allah ne usko halaak kar diya, uski aankho mein do aasmaani angaarey lagey aur uski binaayi khatam ho gayi."
(Fazail e Sahaba Li Ahmed bin Hanbal: 972, al-Mujam al-Kabeer Lit Tabrani: 3/119, Wa Sanadahu Sahih)

-Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri حفظہ اللہ

Dekhen: Fatawa Amanpuri, Jild 216, Safah 10

Tamaam Articles