Allah Ta'ala Arsh Par Mustawi Hai!

بسم الله الرحمن الرحيم

Allah Rabb Ul Aalameen Ka Arsh Par Mustawi Honay Ka Mas’ala

Qur’an E Majeed Ki Roshni Mein:

Allah ne farmaya:
إِنَّ رَبَّكُمُ اللَّهُ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ
​"Beshak tumhara Rabb Allah hai jisne aasmaano aur zameen ko chhey (6) dino mein paidaa kiya, phir arsh par mustawi huwa."
(Al-A’raaf: 54)

Neez Dekhiye: Surah Yunus: 3, Surah Ar-Ra’d: 2, Surah Taha: 5, Surah Al-Furqan: 59, Surah As-Sajdah: 4, Surah Al-Hadeed: 4.

Istewaa ka matlab hai (irtifaa’, a’la) ya’ni buland huwa hai. Dekhiye: Saheeh Bukhari, Kitab ut Tawheed aur Tehqeeqi Maqalaat: 1/13-14)

وَكَانَ عَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ
"Uska arsh pani par tha."
(Surah Hud: 7)

Neez Dekhiye: Surah At-Taubah: 129, Surah Al-Ambiya: 22, Surah Al-Mominoon: 86,116, Surah An-Naml: 26, Surah Al-Momin: 7,15, Surah Az-Zukhruf: 82, Surah Al-Burooj: 15.

وَيَحْمِلُ عَرْشَ رَبِّكَ فَوْقَهُمْ يَوْمَئِذٍ ثَمَانِيَةٌ
​"Aur us din aap ke Rab ka arsh apne upar uthayenge aath (8) (farishtey)."
(Surah al-Haaqqa: 17, Neez dekhiye: Surah Az-Zumar: 75)

أَأَمِنتُم مَّن فِي السَّمَاءِ أَن يَخْسِفَ بِكُمُ الْأَرْضَ فَإِذَا هِيَ تَمُورُ
​"Kya tum us se bekhauf ho jo aasmaan mein hai (ya’ni upar) hai ke wo tumhen zameen mein dahnsa dey, phir wo teezi ke sath hilney lag jaye."
(Surah al-Mulk: 16)

Neez Dekhiye: Surah Al-Mulk: 17, Surah Al-Qisas: 38, Surah Al-Momin: 36,37, Surah Bani Israael: 32, Surah Al-anaam: 18,61, Surah An-Nahl: 56, Surah Al-baqrah: 144.

وَمَا قَتَلُوهُ يَقِينًا○ بَل رَّفَعَهُ اللَّهُ إِلَيْهِ ۚ وَكَانَ اللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمًا
​"Aur unhon ne yaqinan usey qatl nahi kiya (ya’ni Esa Alaihis Salam ko) balke Allah ne usey apni taraf utha liya aur Allah ghalib hikmat waala hai."
(Surah an-Nisa: 157,158 Neez dekhiye: Surah aal-Imraan: 44)

Is par ummat ka ijmaa’ hai ke Esa Alaihis Salaam aasmaan par utha liye gaye they aur aasmaan mein zinda hain. Aasmaan se utrengey aur dajjaal ko qatl kar dengey.
Dekhiye: Tehqeeqi Maqalaat: 1/87

يُدَبِّرُ الْأَمْرَ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الْأَرْضِ ثُمَّ يَعْرُجُ إِلَيْهِ فِي يَوْمٍ كَانَ مِقْدَارُهُ أَلْفَ سَنَةٍ مِّمَّا تَعُدُّونَ
​"Aasmaan se zameen tak tadbeeri umoor karta hai, phir wo (amr) uski taraf chadhta hai ek din mein (ke) jis ki miqdaar hazaar saal hai."
(Surah as-Sajda: 5)

إِلَيْهِ يَصْعَدُ الْكَلِمُ الطَّيِّبُ وَالْعَمَلُ الصَّالِحُ يَرْفَعُهُ
​"Uski taraf chadhti hain pakizah baaten aur saleh aamal wahi usey (bhi) upar uthaata hai."
(Surah Faatir: 10)

وَجَاءَ رَبُّكَ وَالْمَلَكُ صَفًّا صَفًّا
"Aap ka Rab aayega aur farishtey saf ba saf."
(Surah al-Fajr: 22)

فَاطِرُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ جَعَلَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَاجًا وَمِنَ الْأَنْعَامِ أَزْوَاجًا ۖ يَذْرَؤُكُمْ فِيهِ ۚ لَيْسَ كَمِثْلِهِ شَيْءٌ ۖ وَهُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ
"Us jaisa koi bhi nahi hai aur wo sunney, dekhney waala hai."
(Surah Ash-Shura: 11)

Ahadees E Nabawi
Ki Roshni Mein:

Rasoolullah
ne farmaya:
اين الله؟ قالت: في السماء، قال: من انا؟ قالت: انت رسول الله، قال: اعتقها، فإنها مؤمنة
Allah kahan hai? to laundi ney arz kiya: Aasmaan mein (ya’ni aasmaano se upar) hai. Aap  ne farmaya: Main kaun hon? Laundi ne kaha: Allah ke Rasool. Aap  ne farmaya: "Isey azaad kar do ye mominah hai."
(Saheeh Muslim, Hadees: 537, Kitab ut Tawheed Li Ibne Khuzaimah: 1/279, Is ki sanad saheeh hai)

Jaabir Bin Abdullah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah 
 ne yaum e arafah ke khutbe mein farmaya: Kya maine pohncha diya? Tou Sahaba ne jawaab diya:
نشهد انك قد بلغت واديت ونصحت، فقال بإصبعه السبابة يرفعها إلى السماء وينكتها إلى الناس: اللهم اشهد اللهم اشهد
Ji han. Aap  ne aasmaan ki taraf ungli utthayi aur farmaya: "Aye Allah! gawaah reh."
(Saheeh Muslim, Hadees: 1218, 1/397)

Abdullah Bin Amr Bin Al-Aas (Razi Allahu Anhu) se riwayat ke Rasoolullah 
 ne farmaya:
الراحمون يرحمهم الرحمن، ارحموا من في الارض يرحمكم من في السماء
Raham karne waalon par Rahman raham farmata hai, tum zameen waalon par raham karo tum par jo aasmaan mein (upar) hai raham farmayega."
(Sunan Tirmizi, Hadees: 1924, 2/14, Imam Tirmizi ne is Hadees ko Hasan Sahih kaha hai, Imam Hakim ne bhi sahih kaha hai: 4/159 aur Imam Zehbi ne inki muwafaqat ki hai)

Abu Sa’eed (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah 
 ne farmaya:
الا تامنوني وانا امين من في السماء، ياتيني خبر السماء صباحا ومساء
"Aur main uska ameen hon jo aasmaan mein hai. mere paas subah aur shaam aasmaan ki khabrein aati hain."
(Sahih Bukhari, Hadees: 4351, 2/624. Sahih Muslim, Hadees: 1064, 1/341)

Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
والذي نفسي بيده، ما من رجل يدعو امراته إلى فراشها، فتابى عليه، إلا كان الذي في السماء ساخطا عليها حتى يرضى عنها
"Mujhe us zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai! Jo mard apni biwi ko apne bistar par bulaata hai, phir wo inkaar kar deti hai to wo jo aasmaan mein hai us aurat par naraaz ho jaata hai jab tak mard us se razi na ho jaye."
(Sahih Muslim, Hadees: 1436, 1/464)

Rasoolullah 
 ne farmaya:
ينزل ربنا تبارك وتعالى كل ليلة إلى السماء الدنيا
"Hamara Rabb Tabaraka wa Ta’ala har raat duniya ke aasmaan par nazil hota (utarta) hai."
(Muatta Imam Malik: Page No: 197, Alfaaz isi ke hain, Sahih Bukhari, Hadees: 1145, 2/1116. Sahih Muslim, Hadees: 757, 1/258. Ye Hadees Mutawatir Hai)

Nabi 
 ne farmaya:
"(Nek roh se) kaha jaata hai: "Pakiza nafs ko khush aamadeed" isi tarha kaha jaata hai yahan tak ke us roh ko us aasmaan tak pahuncha diya jaata hai jis mein Allah Ta'ala hai."
(Musnad Ahmed: 2/264, Is ki sanad sahih hai)

Aur farmaya: "Jab Allah ne takhleeq puri kar di to apne arsh ke upar (ek kitaab mein) likh kar rakh diya ke meri rahmat mere ghazab par ghalib hai." (Sahih Bukhari: 2/1104, Hadees: 7422, Alfaaz isi ke hain, Sahih Muslim: 2/356, Hadees: 2751)

Neez farmaya: "Qayamat ke din sab behosh ho jaayenge (phir main sab se pehle hosh mein aaunga) to dekhunga ke Musa (Alaihissalam) arsh ke paayon mein se ek paaya pakdey khade hain (ya’ni wo mujh se pehle hosh mein aa jayenge)." (Sahih Bukhari: 2/1104, Hadees: 7427, Alfaaz isi ke hain, Sahih Muslim: 2/267, Hadees: 2373)

Nabi E Kareem 
 ne farmaya: "Phir wo (maut ka farishta) apne Rab ki taraf wapas gaya aur kaha: Tu ne mujhe apne bandey (Musa Alaihis Salaam) ki taraf bheja."
(Sahih Bukhari: 1339, 2407, Sahih Muslim: 2372)

Aasaar E Sahaba Ki Roshni Mein:

Jab Rasoolullah 
 faout huwe to Ameer ul Momineen Sayyiduna Abu Bakr Siddiq (Razi Allahu Anhu) ne khuthba diya: "Jo Muhammad  ki ibadat karta tha tou wo jaan ley ke bila-shuba Muhammad  faout ho chuke hain aur jo Allah ki ibadat karta tha tou wo jaan ley ke Allah aasmaan mein zinda hai us par maut nahi aayegi."
(Ar Radd Alal Jehmiyah Lil Daarmi: Page No: 78, Is ki sanad hasan hai, At Tareekh ul Kabeer: 1/201-202)

Umm ul Momineen Sayyidah Zainab Bint e Jahash (Razi Allahu Anha) Nabi ki dusri biwiyon (Razi Allahu Anhunha) par fakhr kartey huwe farmaya karti thi: "Mujhe Allah Ta'ala ne saat aasmaano ke upar se Nabi
ki biwi banaya hai."
(Sahih Bukhaari: 7420)

Abdullah Bin Abbas (Razi Allahu Anhu) ne Umm ul Momineen Aisha (Razi Allahu Anha) se kaha: "Allah ne aap ki bara’at saat aasmaano ke upar se nazil ki hai."
(Tabqaat Ibn e Sa’ad: 8/70 Is ki sanad hasan hai aur is ki asl Sahih Bukhari: 2/669 mein hai)

Abdullah Bin Mas’ood (Razi Allahu Anhu) ne farmaya: "Aasmaan e duniya aur dusre aasmaan ke darmiyaan panch-sao (500) saal ka faasla hai aur har aasmaan ke darmiyaan panch-sao (500) saal ka faasla hai. Saaton aasmaan aur kursi ke darmiyaan panch-sao (500) saal ka faasla hai aur kursi aur paani ke darmiyaan panch-sao (500) saal ka faasla hai. Kursi pani ke upar hai aur Allah kursi ke upar hai aur tumhare aamaal jaanta hai."
(Kitab ut Tawheed Li Ibn e Khuzaimah: 1/244, Is ki sanad hasan hai)

Salmaan Faarsi (Razi Allahu Anhu) ne farmaya: "Beshak Allah haya farmata hai jab banda uski taraf hath phaylata hai ke unhen khali lauta dey."
(Mustadrak Hakim: 1/497, Imam Haakim ne is hadees ko shaykhain ki shart par saheeh qaraar diya hai aur zehbi ney unki muwafaqat ki hai. Ye hadees marfoo’an bhi saheeh sabit hai. Dekhiye: Abu Dawood: 1488, Tirmizi: 3556, Ibn e Majah: 3865)

Umm ul Momineen Sayyidah Aaisha (Razi Allahu Anha) ne farmaya: "Allah Ta'ala arsh ke upar se jaanta hai ke main Usmaan ke qatil ko pasand nahi karti thi."
(Ar Radd Alal Jehmiyah Lil Daarmi: Page No: 27, Allamah Albani ne is ki sanad ko saheeh kaha hai, Muktasar Al-Uloo’: Page No: 104)

Is par Sahaba aur Tabayeen ka ijmaa’ hai ke Allah Ta'ala saat aasmaano se upar arsh par mustawi hai (jis ki kayfiyat hamen maloom nahi) iske khilaaf Sahaba aur Tabayeen se kuch bhi sabit nahi hai.

Jehmiyah Ke Shubhaat Aur Unke Jawabaat:

Baaz log kehtey hain: (Aayat) "Wo unke sath hai wo jahan bhi ho." (Surah al-Mujaadilah: 7) Isi tarha wo aayat ke “Hum shah e ragg se ziyada qareeb hain. (Surah Qaaf: 16)

In aayaat ka mafhoom ye hai ke saath honay se muraad Allah Ta'ala ka ilm hai isi par Sahaba aur Tabayeen ka ijmaa’ ho chuka hai.
(Tawheed e Khalis, Page No: 276, Ar Radd Alal Jehmiyah Lil Daarmi: Page No: 19, Sharh Hadees un Nuzool: Page No: 74)

Dusra yeh ke digar aayaat mein khudh ilm ka (na’lam, ya’lam wagera ) zikr hai. Jo is baat ki qawi daleel hai ke yeh saath honay se muraad ilm hai.

Teesre ye ke digar aayaat, saheeh ahadees aur ijmaa’ e sahaba in aayaat ke umoom ki takhsees karte hain.

Yaad rahe ke Quran o Hadees mein ye kahien bhi nahi hai ke Allah har jagah (apni zaat ke saath) maujood hai,

تعالى الله عن ذلك علوًا كبيرًا

Aur Allah ke liye "hazir" ka lafz Quran o Hadees aur ijmaa’ se bilkul bhi sabit nahi hai.

Aqli Dalail:
  • Log dua kartey waqt haath upar uthaatey hain.
  • Nabi  me'raj ki raat aasmaano par Allah ke paas gaye they.
  • Farishtey aasmaano se zameen par utartey hain aur zameen se aasmaano par jaatey hain aur Allah un se apne bandon ke bare me sawaal karta hai, halanke wo khudh sab se ziyada jaanta hai.
  • Khaliq apni makhlooq se juda hai.

    Tambeeh:
    Is mauzo par tafseeli behas ke liye dekhiye “Maqalaat (1/13)” aur “Fatawa Ilmiyyah Al-Ma’roof Tauzeeh Ul Ahkaam (1/29-55)” wagera .

Mahnama Al-Hadees, Shumara no.116, Safa no.11-16

Tahreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles