Ghairullah Se Madad Maangna!
بسم اللہ الرحمن الرحیم
Allah تعالٰی ke siwa na koi kisi ko nafa' pohchaa sakta hai aur na nuqsaan, aisi aashiya ke husool ke liye jo makhlooq ke ikhtiyaar mein nahi hain, makhlooq mein se kisi fard ko pukaarna shirk hai aur phir murde ko jo na sun saktaa hai aur na jawaab dey sakta hai.
Irshaad E Bari Ta'ala hai:
وَلَا تَدْعُ مِنْ دُونِ اللَّـهِ مَا لَا يَنْفَعُكَ وَلَا يَضُرُّكَ فَإِنْ فَعَلْتَ فَإِنَّكَ إِذًا مِنَ الظَّالِمِينَ
"Aur Allah ke siwa kisi ko mat pukaaro jo na tujhe nafa' dey sakta hai aur na nuqsaan, agar tu ne yeh kaam kiya tou zalimo mein shumaar hoga."(Surah Yunus: 106)
Is aayat mein Allah تعالٰی ne mana' farmaa diya hai ke koi ghairullah ko apni haajat rawaayi ya mushkil khushaayi ke liye pukaarey aur Allah تعالٰی ne yeh bhi bata diya hai ke Allah ke siwa na koi kisi ko nafa' pohchaa sakta hai aur na nuqsaan.
Irshaad E Bari تعالٰی hai:
وَإِنْ يَمْسَسْكَ اللَّـهُ بِضُرٍّ فَلَا كَاشِفَ لَهُ إِلَّا هُوَ
"Agar Allah تعالٰی tujh ko kisi museebat mein mubtala kar dey tou us museebat ko door karney waala Allah ke siwa koi nahi."(Surah Yunus: 108)
Sahih Hadees mein hai ke Nabi E Kareem ﷺ ne Sayyiduna Ibne Abbas Razi Allahu Anhuma se farmaaya:
وَاعْلَمْ أَنَّ الْأُمَّةَ لَوِ اجْتَمَعَتْ عَلَى أَنْ يَنْفَعُوكَ بِشَيْءٍ لَمْ يَنْفَعُوكَ إِلَّا بِشَيْءٍ قَدْ كَتَبَهُ اللَّهُ لَكَ
"Jaan lo! agar saari ummat tujhe nafa' pohchaaney ke liye jama' ho jaaye tou nafa' nahi pohchaa sakti magar wo jo Allah ne tere liye likh diya hai."(Sunan Tirmizi: 2516)
Qur'an E Kareem mein ek maqaam par hai:
إِنَّ الَّذِينَ تَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّـهِ لَا يَمْلِكُونَ لَكُمْ رِزْقًا فَابْتَغُوا عِنْدَ اللَّـهِ الرِّزْقَ وَاعْبُدُوهُ
"Beshak jin logon ki tum Allah ke siwa ibaadat kartey ho, wo tumhaarey liye rizq deyne ka ikhtiyaar nahi rakhtey, pas tum Allah ta'ala ke haan se rizq maango aur usi ki ibaadat karo."(Surah al-Ankaboot: 17)
Ek aur maqaam par Allah تعالٰی farmaatey hain:
وَمَنْ أَضَلُّ مِمَّنْ يَدْعُو مِنْ دُونِ اللَّـهِ مَنْ لَا يَسْتَجِيبُ لَهُ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ وَهُمْ عَنْ دُعَائِهِمْ غَافِلُونَ * وَإِذَا حُشِرَ النَّاسُ كَانُوا لَهُمْ أَعْدَاءً وَكَانُوا بِعِبَادَتِهِمْ كَافِرِينَ
"Aur aise logon se ziyadah kaun gumrah hain jo Allah ta'ala ke siwa aise logon ko pukaartey hain jo qayamat tak un ki dua qubool na kar saken balke un ki awaaz se bhi be-khabar hon aur jab sab log jama' kiye jaayenge tou wo un ke dushman ho jaayenge aur in ki ibaadat se inkaar kar denge."(Surah al-Ahqaaf: 5-6)
Is aayat se yeh bhi saabit ho gaya ke ghairullah ko haajat rawaayi ke liye pukaarna un ki ibaadat hai halaanke insaan sirf Allah ki ibaadat ke liye paidaa kiya gaya hai.
Qur'an mein ek aur jagah hai:
أَمَّنْ يُجِيبُ الْمُضْطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكْشِفُ السُّوءَ
"Majboor o be-bas shakhs ki dua ko qubool karney waala aur mushkil ko hal karney waala Allah ta'ala ke siwa kaun hai?."(Surah an-Naml: 62)
Yeh chand dalaayil hain warna is ke bayaan ke liye Qur'an o Sunnat mein kayi nusoos maujood hain jin ko padh kar koi bhi zi-shu'oor aur saahib e aql Allah ke siwa kisi ko haajat rawa aur mushkil khusha nahi samahj sakta, yeh tou aisi khuli haqeeqat hai ke mushrikeen e makkah bhi iska aiteraaf kiye baghair na reh sakey, Qur'an E Majeed mein kayi maqamaat par Allah ta'ala ne in ke is aiteraaf ka zikr kiya hai, agar kisi buzrug ki qabr par jaa kar haajat rawaayi ke liye pukaarna durust hota tou Allah ke Rasool ﷺ se badh kar buzrug duniya mein kaun ho sakta hai? lekin haalat yeh hai ke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum mein se kisi ne bhi Imam ul Anbiyaa ﷺ ki qabr par jaa kar unhen kisi haajat ke liye kabhi nahi pukaara, agar yeh kaam jaayiz hota tou Sahaba khususan Khulafa E Rashideen ko apne daur mein badi badi zarooraton aur masaaib ka saamna tha, wo zaroor Allah ke Rasool ﷺ ki qabr par aatey, bilkul isi tarha dua ka mas'alah hai, in Jaleel ul Qadr Sahaba mein se kisi ne bhi Allah ke Rasool ﷺ ki qabr par aakar yeh nahi kaha ke Aap ﷺ hummare liye dua kar den, han! zindagi mein jo waqi'atan buzrug ho us se dua karwaana durust hai aur is mein bhi buzrug se nahi maanga jaata balke us se arz ki jaati hai ke wo Allah se hummari behtari ke liye dua karey.
Reference: |Kitaab: Ahkaam O Masaayil, Taleef: Abul Hasan Mubashir Ahmed Rabbani, Page 23-25|
Tahreer: Abul Hasan Mubashir Ahmed Rabbani Hafizahullah
Romanised: Syed Ibrahim