Zindah Nek Shakhs Ki Dua Ke Waseele Ka Jawaaz!

بسم الله الرحمن الرحيم 

Sayyiduna Anas bin Malik (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai:
ان عمر بن الخطاب رضي الله عنه كان إذا قحطوا استسقى بالعباس بن عبد المطلب، فقال؛ اللهم إنا كنا نتوسل إليك بنبينا فتسق وإنا نتوسل إليك بعم نبينا فاسقنا، قال؛ فيسقون
Sayyiduna Umar bin Khattab (Razi Allahu Anhu) ka tariqa yeh tha ke jab qahat padh jaata tou Sayyiduna Abbas bin Abdul Mutallaib (Razi Allahu Anhu) (ki dua) ke waseeleh se barish talab kiya karte thhey, dua yun karte thhey: Aye Allah! beshak hum tujhe apne Nabi ﷺ (ki zindagi mein unki dua) ka waseelah paish kar ke barish talab kiya karte thhey tou tu hamen barish deyta tha aur ab hum apne Nabi ﷺ (ki wafaat ke b'ad un) ke chacha (ki dua) ko waseelah bana kar barish talab karte hain (yane un se dua karwaate hain) lehaza ab bhi tu hum par barish nazil farmaa. Sayyiduna Anas (Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke is tarha inhen barish aata ho jaati thi.
(Sahih Bukhari 1/137, Hadees: 1010)

Shaykh ul Islam Ibne Taymiyah Rahimahullah (661-728 Hijri) is hadees ka matlab yun bayaan karte hain:
وذلك أن التوسل به في حياته هو أنهم كانوا يتوسلون به أي يسألونه أن يدعو الله فيدعو لهم ويدعون فيتوسلون بشفاعته ودعائه •
"Waseeleh ki yeh surat Nabi e Kareem ki zindagi mubarakah mein is tarha thi ke Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) Aap se dua ki darkhwasht karte aur phir kudh bhi dua karte, yun is tariqe se wo Nabi e Kareem ki shifarish aur waseelah haasil karte thhey." (Mukhtasar Fatawa al-Misriyah, Page: 194)

Sharihe Bukhari, Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah (773-852 Hijri) likhte hain:
ويستفاد من قصة العباس رضي الله عنه من استحباب الاستشفاع بأهل الخير وأهل بيت التبوة
"Sayyiduna Abbas (Razi Allahu Anhu) ke qisseh se yeh baat saabit hoti hai ke khair o bhalaayi waale logon, ahle salaah o taqwa aur ahle bait se shifarish karwaana mustahab hai."
(Fath ul Bari: 2/497)

B'az hazraat is hadees se waseeleh ki ek najayiz qism ko saabit karne ki koshsih karte hain, halanke yeh hadees tou hamari daleel hai, kiyun ke zindah logon se dua karana mashroo' waseelah hai, agar faut shudagaan ki zaat ka waseelah jayiz hota tou Rasool e Kareem ki zaat e ba-barkaat ko chhor kar Sahabe e Kiraam (Razi Allahu Anhu) kabhi ek ummati ki zaat ko Allah ta'ala ke darbaar mein paish karne ki jasaarat na karte, yun maloom huwa ke is hadees se sirf zindah nek logon ki dua ke waseeleh ka isbaat hota hai.

(as-Sunnah Jhelum, Shumarah 43,44,45, Page: 58)

Tahreer: Hafiz Abu Yahya Noorpuri Hafizahullah

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles