Ulama E Haq Se Muhabbat!

بسم الله الرحمن الرحيم

Allah تعالیٰ ka irshaad hai:
يَرْفَعِ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا مِنكُمْ وَالَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ دَرَجَاتٍ ۚ 
"Tum mein se emaan waalon aur ilm waalon ke darje, Allah buland farmayega."
(Surah al-Mujaadila: 11)

Maloom huwa ke Ahle Emaan Ulama (Ulama e Haq) ko 'aam Momineen wa Muslimeen par bartari wa fazilat haasil hai, Allah تعالیٰ ne farmaaya:
إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاءُ 
"Allah se us ke bando mein sirf Ulama hi (sab se ziyadah) dartey hain."
(Surah Faatir: 28)

Rasoolullah ne farmaaya:
إن الله يرفع بهذا الكتاب أقواما ويضع به آخرين
"Is kitaab (Qur'an) ke (ilm wa amal ke) sath, Allah تعالیٰ kuch logon ko (fazilat ke sath) utthayega aur kuch ko gira deyga."
(Sahih Muslim: 269/816 Wa Tarqeem Darussalaam: 1897)

Aap ne farmaaya:
فضل العالم على العابد كفضلي على أدناكم
"Jis tarha mujhe tum logon par fazilat haasil hai, isi tarha (har) aalim ko (har) 'aabid par fazilat haasil hai."
(Sunan Tirmizi: Hadees 2685 Wa Qaal: "Hasan Ghareeb Sahih" az-Waa ul Masabeeh: 213 Wa Qaal: Isnadahu Hasan)

Nabi e Kareem farmaatey hain:
ليس منامن لم يجل كبيرنا ويرحم صغيرنا ويعرف لعالمنا حقه
"Jo shakhs hamare badon ki izzat na karey, choton par raham na karey aur hamare (ahle haq) aalim ka haq na pehchaane, wo hum mein (ahle haq mein) se nahi hai."
(Mushkil ul Aasaar Lit Tahaawi: 2/133 Hadees 180 Wa Sanadahu Hasan)

Aap ka irshaad hai:
الــبــركــة مــع أكــابــركــم
"Barkat tumhare akaabir ke sath hai."
(al-Mustadrak Lil Haakim 1/62 Hadees 210, Ithaaf al-Maharah 7/601 Hadees 8563, Shob ul Emaan: 11005, Wa Sanadahu Sahih)

In dalaayil se maloom huwa ke ahle haq (ahle sunnat, ahle hadees) Ulama ko aam musalmaano par fazilat haasil hai lehaza un ka ahteraam karna zaroori hai.

Tawoos taba'yee farmaatey hain:
من السنة أن يو قرأربعة؛ العالم وذو الشيبة والسلطان والوالد، قال؛ ويقال؛ إن من الجفاء أن يدعو الرجل والده باسمه
"Sunnat yeh hai ke chaar aadmiyon ki izzat o ahteraam (khaas taur par) karna chahiye (1) Aalim (2) Umar raseedah buzrug (3) Haakim (4) aur Waalid, kaha jaata hai ke yeh zulm (aur gunaah) mein se hai ke beta apne baap ka naam ley kar pukaarey."
(Musannaf Abdur Razzaq: 11/137 Hadees 21033 wa Sanadahu Sahih)

Sahaba E Kiraam Nabi ka bahut ziyadah ahteraam kartey thhey, Aap ke saamney is tarha baithtey goya un ke saron par parindey baithay huwe hain.
(Sunan Abi Dawood: 3855, Isnadahu Sahih, Imam Tirmizi 2038 aur Imam Haakim ne 4/399 Sahih kaha aur Imam Zehbi ne muwafaqat ki)

Qaazi Fuzail bin 'Ayaaz Rahimahullah farmaatey hain:
عالم عامل معلم يدعى كبيرًا في ملكوت السموات
"Aalim ba-amal, mu'allim aasmaano ki mamlukat mein bada samjha jaata hai."
(Sunan Tirmizi: 2685 wa Sanadahu Sahih)

Darj bala digar nusoos shara'iyah ko mad e nazr rakhte huwe awaam ke liye chand ahem baaten paish e khidmat hain:

(1) Har 'aami la-ilm par zaroori hai ke wo Sahih ul Aqeedah Ulama e Haq mein se, 'aalim ba-amal ka inteqaab kar ke us ke paas jaaye aur mas'ala pouchey.

(2) Ulama e Soo se bachna waajib hai kiyunke Nabi ne farmaaya:
من وقر صاحب بدعة فقد أعان علٰی هدم الأسلام
"Jis ne kisi bid'aati ki ta'zeem (wa izzat) ki tou us ne Islam ke giraaney mein madad ki."
(Kitaab as-Shari'ah Lil Ajuri: Page 962, Hadees: 2040, Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu farmaatey hain:
إنكم في زمان؛ الصلٰوة فيه طويلة والخطبة فيه قصيرة وعلماءه كثير وخطباءه قليل، وسيأتي عليك زمان؛ الصلٰوة فيه قصيرة والخطبة فيه طويلة، خطباءه كثير وعلماءه قليل
"Tum aise zamane mein ho ke (jummah ki) namaz lambi aur khutba chota (mukhtasar) hota hai, Ulama ziyadah hain aur (qissah go) khateeb hazraat kam hain aur tujh par ek aisa zamana aayega ke (jummah ki) namaz mukhtasar aur khutba lamba hoga, (qissah go) khateeb hazraat ziyadah honge aur (haqeeqi) Ulama kam honge."
(al-Maujam ul Kabeer Lit Tabrani: Jild 9, Page 113, Hadees: 8567, Wa Sanadahu Sahih)

(3) Aalim se intehaayi ahteraam aur adab se sawaal kiya jaye ke Kitaab o Sunnat aur dalaayil se jawaab den.

(4) Aalim ka naam ley kar pukaarney ke bajaye "Shyakh Sahaab" wagerah ke alfaaz e adaab istemaal kiye jayen, Yahya bin Yamar (tabayee) ne jab "Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhuma se masla pouchaa tha tou farmaaya: Aye Abu Abdur Rahman." (Sahih Muslim: 8/93) yane aap ka naam leyne se ijtenaab kiya.

(5) Aalim ke saamneu hasney, aankh maarney aur shor machaney se mukammal ijtenaab kiya jaye, Abdur Rahman bin Mehdi ki majlis mein ek aadmi hans pada tou unhon ne farmaaya: "main tumhen ek mahina hadeesen nahi sunaoga." (al-Jamia Lil Akhlaaq al-Rawi wa Aadaabi al-Saami' Lil Khateeb: Jild 1, Page 193, Hadees 325, Wa Sanadahu Sahih)

(6) Ulama e Haq Rasoolullah ke Sahih Waaris aur Auliya Allah hain. Ameer ul Momineen fil Hadees Imam Bukhari Rahimahullah farmaatey hain:
وأن العلماء هم ورثة الأنبياء، ورثوا العلم
"Aur beshak Ulama: Anbiyaa ke waaris hain, unhon ne ilm ka warsa paya hai."
(Sahih Bukhari, Kitaab al-Ilm, Baab 10, Hadees 68 se pehle)

(7) Ulama e Haq se dushmani aur bughz nahi rakhna chahiye, Rasoolullah ne farmaaya:
إن الله قال؛ من عادىٰ لي وليا فقد آذنته بالحرب
"Beshak Allah ne farmaaya: jis shaksh ne mere kisi wali (dost) se dushmani rakhi tou main us shaksh ke khilaaf aylaan e jung karta hon."
(Sahih Bukhari: 6502)

Imam Malik Rahimahullah farmaatey hain ke chaar aadmiyon se ilm haasil nahi karna chahiye: 1)Bewaqoof, jis ki bewaqoofi aylaaniya ho, 2)Kazzaab, 3)Bid'aati jo apni bid'at ki taraf dawat deyta ho 4)Nek aadmi jise hadees ka kuch bhi pata na ho."
(Kitaab al-Zuaafa Lil Oqaili: 1/13 Wa Sanadahu Sahih)

Aakhir mein dua hai ke Allah Ta'ala hamare dilo mein Ulama e Haq ki muhabbat bhar dey. Aameen.

(al-Hadees: 4)

Refrence| (Kitaab: Fazail E Sahabah, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page 139-142)

Tahreer: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles