Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Ki Ek Azeem Ush Shaan Karamat!
Qaazi Abu Tayyib Rahimahullah farmaate hain ke hum jaama' mansoor mein ek halqe mein baithay huwe thhey ke itne mein ek khuraasani naujawaan aaya tou usne jaanwaron ke thano mein dood rokne ke masle ke bareme pouchaa aur daleel ka mutaalabah kiya tou ek istedlaal karne waale (muhaddis) ne is masle mein Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) ki bayaan kardah hadees paish ki tou wo khabees naujawaan bola: "abu hurairah ki hadees maqbool nahi hai" Qaazi Abu Tayyib ne farmaaya: us naujawaan ne apni baat poori nahi ki thi ke itne mein jaama masjid ki chhat se ek bahut bada saanp gir padaa tou log bhaagne lage aur wo naujawaan bhi us saanp ke aage bhaagne laga, b'ad mein yeh saanp ghayab hogaya...
(al-Muntazam Li Ibne Jauzi: 17/106)
Muhaddis ul Asr Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ne iski sanad ko "Sahih" kaha dekhen: (Taufeeq al-Bari Fi Tatbeeq al-Qur'an wa Sahih al-Bukhari, Page 332)
Allah ta'ala se dua hai ke wo hamare dilo ko Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) ki muhabbat se bhar dey. aameen
Ishaatulhadith Shumara 32, Page 14.
Romanised: Syed Ibraheem Salafi