Mere Baba Ka Mimbar!

بسم الله الرحمن الرحيم

Sayyiduna Husayn bin Ali Razi Allahu Anhuma bayaan kartey hain:
أتيت عمر بن الخطاب رضي الله عنه، وهو على المنبر، فقلت؛ انزل عن منبر أبي إلى منبر أبيك، فقال عمر رضوان الله عليه؛ إن أبي لم يكن له منبر، ثم أخذني فأجلسني معه، فلما نزل، نزل بي معه إلى منزله، فقال؛ يا بني؛ اجعل تغشانا، اجعل تأتينا، فجئت يوما وهو خال بمعاوية، فجاء عبد الله بن عمر، فلم يؤذن له، فرجع، فرجعت، فلقيني، فقال؛ ما لي لم أرك؟ فقلت؛ قد جئت وكنت خاليا بمعاوية، وابن عمر على الباب، فرجع ورجعت، فقال؛ أنت أحق بالإذن من ابن عمر- إنما أنبت ماترى في رأسي من الشعر الله ثم أنتم
"Main Sayyiduna Umar bin Khattaab Razi Allahu Anhu ke paas aaya, Aap Razi Allahu Anhu mimbar par thhey, maine kaha: mere baba ke mimbar se neechey utrey aur apne walid ke mimbar par chadhey, tou Sayyiduna Umar bin Khattaab Razi Allahu Anhu ne kaha: mere walid ka koi mimbar nahi hai, phir Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ne mujhe pakda aur apne sath (mimbar par) baitha liya, jab mimbar se neechey utrey, tou mujhe apne sath ghar ley gaye aur farmaaya: Beta! khaney ki dawat par hummare ghar tashreef laaiyega!, phir main (Husayn Razi Allahu Anhu) ek din Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ke paas aaya, aap Sayyiduna Mu'aawiya Razi Allahu Anhu ke sath mehwe-guftagu thhey, itney mein Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu aaye aur majlis mein aaney ki ijazat maanggi, lekin unhen ijazat na mili, wo wapas laut gaye, tou main bhi wapas laut aaya, tou (b'ad mein) Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu se meri mulaqaat huwi, pouchaa: aap kiyun na aaye, maine arz kiya: main aaya tha, lekin aap Sayyiduna Mu'aawiya Razi Allahu Anhu se mehwe-kalaam thhey, Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu (ijazat na milney ki bina par) darwaazey par khadey thhey, wo wapas lautey tou main bhi wapas aagaya, Sayyiduna Umar bin Khattaab Razi Allahu Anhu ne farmaaya: Aap ko Abdullah bin Umar ki tarha ijazat leney ki zarorat nahi, bila-shubah Allah ﷻ ne humme aap Ahle Bait ke zari'ye hi hidayat aur sarfarazi 'ataa ki hai."
(Tareekh ul 'Ajeeli, Page: 119, Tareekh ul Waasit Lil Imam Bahshal, Page: 203, Tareekh ul Madinah Li Ibne Shabbah: 3/799, Tareekh e Bagdaad: 1/141, Tareekh Ibne 'Asaakir: 14/175, Wa Sanadahu Sahih)

Faaidah: Is tarha ki riwayat Sayyiduna Abu Bakr Siddeeq Razi Allahu Anhu ke hawaley se bhi aati hai. (Tabqaat Ibne S'ad: 6/374, Tareekh Ibne 'Asaakir: 30/307) lekin is ki Sanad sabit nahi hai.

Tabsirah: Is riwayat mein Ahle Bait khususan Sayyiduna Husayn bin Ali Razi Allahu Anhuma ki fazilat bayaan huwi hai, neez yeh saboot hai ke Sayyiduna Umar bin Khattaab Razi Allahu Anhu Ahle Bait ki takreem kartey thhey, Sayyiduna Husayn Razi Allahu Anhu ko khaney ki dawat bhi di, Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu tou mu'tarif hain ke Allah ﷻ ne hummen aap Ahle Bait ke zari'ye 'izzat o 'azmat aur hidayat se nawaza.

Sayyiduna Husayn Razi Allahu Anhu ne yeh baat is waqt ki thi, jab Aap Razi Allahu Anhu bachchey thhey, isi liye tou Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ne az-roye shafaqat pouchaa ke aap ko yeh baat kis ne seekhayi ke yeh mimbar aap ke nana Sayyiduna Muhammadur Rasoolullah ka hai? Sayyiduna Husayn Razi Allahu Anhu ne arz kiya: kisi ne bhi nahi, jaisa ke digar riwayaton ke alfaaz hain, Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ne farmaaya: yaqeenan mere baap dada ka koi mimbar nahi hai, yeh waqayi aap ke nana Muhammad e Kareem ka mimbar hai, phir Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ne intehaayi waahilaanah andaaz se unhen apne mimbar par baitha liya, b'ad mein apne ghar ley gaye aur khaney ki dawat di, is riwayat mein Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ne Sayyiduna Husayn Razi Allahu Anhu ko yeh bhi farmaaya ke aap ko meri majlis mein aaney ke liye kisi se ijazat leney ki zarorat nahi, balke yun farmaaya ke meri majlis mein aaney ka itna haq mere bete Abdullah ka nahi hai, jitna aap ka hai, wah kya aqeedat hai!

Lekin afsoos in logon par! jo is riwayat se Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu aur Sayyiduna Husayn Razi Allahu Anhu ke maabain ikhtilaaf aur nafrat ka saboot paish kartey hain, halaanke yeh tou Sayyiduna Umar aur Sayyiduna Husayn Razi Allahu Anhuma ke maabain qaraabat aur muhabbat ki daleel hai.
Lehaza is riwayat se kisi tarha bhi Sayyiduna Umar bin Khattaab Razi Allahu Anhu ya Sayyiduna Husayn bin Ali Razi Allahu Anhuma ki tanqees sabit nahi hoti...

Az: Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles