Jayiz Waseelah! (Dua Mein Wasile Ki Teen Qismen Mashroo' Aur Jayiz Hain)
بسم الله الرحمن الرحيم
Dua Mein Wasile Ki Teen Qismen Mashroo' Aur Jayiz Hain:
(1) Insaan Allah ta'ala ko uske asma e husna ka waseelah paish kare, masalan: Ya Allah! tujhe teri rahmat ka waastah, hamare haal par farma, farmaan e bari ta'ala hai:
وَلِلَّهِ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَىٰ فَادْعُوهُ بِهَا
"Allah ta'ala ke bahut achchey achchey naam hain, us se in naamo ke sath dua kiya karo."(al-A'raaf: 180)
Is ayaat e kareema ki tafseer mein Allamah Abu Abdillah Qurtubi Rahimahullah (671-H) farmaate hain:
"Allah ta'ala ka farmaan hai ke: (tum usey asma e husna ke sath pukaaro), yane us se us ke naamo ke wasile se manggo, har naam ke wasile us se milti jhulti cheez manggi jaaye, masalan Aye Raheem, mujh par raham farma."
(aj-Jamee' ul-Ahkaam ul-Qur'an: 7/327)
(2) Ek yeh hai ke Allah ta'ala ko apne nek 'amaal ka waseelah paish kiya jaaye, jaisa ke:
○ Qur'an e Kareem mein Allah ta'ala ne momino ki ek sifat yun bayaan ki hai:
الَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا إِنَّنَا آمَنَّا فَاغْفِرْ لَنَا ذُنُوبَنَا وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
"Wo log kehte hain: Aye Hamare Rab! hum emaan ley aaye hain, lehaza hamare gunaah mu'aaf kar dey aur hamen aag ke azaab se bacha ley."(Surah aal-Imran: 16)
Is aayat e kareema ki tafseer mein khatimatul mufassireen, Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah (774-H) farmaate hain:
"Momin kehte hain: Aye Hamare Rab! hum tujh par, teri kitaab par aur tere Rasool par emaan ley aaye hain, tu apne sath emaan rakhne aur apni nazil kardah shari'at ko tasleem karne ke tufail apne fazl o rahmat se hamare gunaah mu'aaf aur hamari kotaahiyon se darguzar farma."
(Tafseer al-Qur'an ul-Azeem: 2/23)
○ Isi tarha Sayyiduna Esa (Alaihis Salaam) ke hawariyon ka ek qaul Allah ta'ala ne yun bayaan farmaaya hai:
رَبَّنَا آمَنَّا بِمَا أَنزَلْتَ وَاتَّبَعْنَا الرَّسُولَ فَاكْتُبْنَا مَعَ الشَّاهِدِينَ
"Aye Hamare Rab! hum teri nazil kardah wahi par emaan laaye aur tere Rasool ki pairwi ki, lehaza hamare naam bhi tasdeeq karne waalon mein shamil farma dey."(Surah aal-Imran: 53)
○ Aql-mand logon ki nishaaniyan bayaan karte huwe Allah ta'ala ne farmaaya:
رَّبَّنَا إِنَّنَا سَمِعْنَا مُنَادِيًا يُنَادِي لِلْإِيمَانِ أَنْ آمِنُوا بِرَبِّكُمْ فَآمَنَّا ۚ رَبَّنَا فَاغْفِرْ لَنَا ذُنُوبَنَا وَكَفِّرْ عَنَّا سَيِّئَاتِنَا وَتَوَفَّنَا مَعَ الْأَبْرَارِ
"Aye Hamare Rab! hum ne ek pukaarne waale ki yeh pukaar suni ke apne Rab par emaan laao, chunanche hum emaan ley aaye, Aye Hamare Rab! (is emaan ke tufail) hamare gunaah mu'aaf farma dey, hum se hamari buraayiyan door kar dey aur hamen nek logon ke sath maut dey."(Surah aal-Imran: 193)
In aayat e kareema se maloom huwa ke dua karte huwe Allah ta'ala ko apne nek amaal ka waastah deyna mashroo' hai, nek aur aql-mand logon ka yehi watirah raha hai, musalmano ko yeh jayiz waseelah istemaal karna chahiye.
○ Sahih hadees mein ashaab e ghaar waala mashoor waqi'ah maujood hai, jinhon ne museebat mein Allah ta'ala ko apne apne nek amaal ka waseelah paish kiya tha aur unki pareshaani rafa' ho gayi thi.
(Sahih Bukhari, 2/883, hadees: 5974. Sahih Muslim, 2/353, hadees: 2743)
(3) Teesri mashroo' surat yeh hai ke kisi zindah, saaleh aur muwahid insaan se dua karaayi jaaye, jaise ke Surah Nisaa (64) mein iska saboot mazkoor hai, iski mukammil tafseel isi shumare (as-Sunnah) ke aaindah safhaat mein dekhe.
○ Sahaba e Kiraam Nabi e Akram ﷺ se museebat aur pareshaani mein dua karwaate thhey, is bareme bahut saari ahadees maujood hain, ek nabina shaksh ne Nabi e Kareem ﷺ se apne haq mein dua karaayi thi. (Sunan Tirmizi: 3578, Wa Sanadahu Hasan)
○ Isi tarha Sayyiduna Umar bin Khattaab (Razi Allahu Anhu) ne Nabi e Kareem ﷺ ke chacha Abbas bin Abdul Mutallib (Razi Allahu Anhu) se dua karaayi.

(Sahih Bukhari, 1/137, hadees: 1010)
Qur'an aur Sunnat se wasile ki yehi teen qismen saabit hain, ahle sunnat wal jamaa'at ka inhi par amal raha hai aur musalmaano ko inhi par iktifaa karna chahiye.
(as-Sunnah Jhelum, Shumarah 43,44,45, Page: 4-6)

Tahreer: Hafiz Abu Yahya Noorpuri Hafizahullah
Romanised: Syed Ibrahim
Romanised: Syed Ibrahim