Aqeedah Hazir O Nazir!

بسم الله الرحمن الرحيم

Rasoolullah har jagha hazir o nazir nahi hain, hayaat e tayyaba mein bhi nahi thhey aur ab jab ke Aap Allah ke paas jaa chuke hain, tab bhi nahi hain, nusoos e Qur'an o Sunnat aur Ayimma e Salaf ki tashrihaat se yehi sabit hain, dalaayil mulhazah hon:

QUR'AANI DALAYIL:
① Allah ﷻ ka farmaan hain:
وَمَا كُنتَ لَدَيْهِمْ إِذْ يَخْتَصِمُونَ
"(Aye Nabi!) jab log Maryam (Alaihas Salaam) ki kifalat ke liye qura'andazi kar rahe thhey, tab aap unke paas nahi thhey, na hi aap us waqt unke paas thhey, jab wo jhagad rahe thhey."
(Surah aal-Imran: 44)

Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah farmaatey hain:
أي؛ ما كنت عندهم يا محمد فتخبرهم عنهم معاينة عما جرى، بل أطلعك الله على ذلك كأنك كنت حاضرا وشاهدا لما كان من أمرهم حين اقترعوا في شأن مريم أيهم يكفلها 
"Aye Muhammad ! aap unke paas nahi thhey ke is waqiye ka aankho dekha haal bayaan karte, balke Allah ne aap ko bata diya, goya aap us waqt unke paas maujood thhey, jab wo Maryam (aalihas salaam) ke ma'aamle mein qura-andazi kar rahe thhey."
(Tafseer Ibne Kaseer: 2/42)

② Farmaan e Bari Ta'ala hain:
وَمَا كُنتَ بِجَانِبِ الْغَرْبِيِّ إِذْ قَضَيْنَا إِلَىٰ مُوسَى الْأَمْرَ وَمَا كُنتَ مِنَ الشَّاهِدِينَ
"(Aye Nabi)! aap kohe toor ki maghribi janib hazir na thhey, jab humne Musa (aalihis salaam) ko Nabuwat ataa farmaayi thi, na tou aap maujood thhey aur na aap dekh rahe thhey."
(Surah al-Qasas: 44)

Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah farmaatey hain:
أي؛ ما كنت حاضرا لذلك، ولكن الله أوحاه إليك
"(Aye Nabi)! aap us waqiya ke waqt hazir na thhey, balke Allah ne aap ko iski ittelaa ba-zariya e wahi di hain."
(Tafseer Ibne Kaseer: 6/240)

③ Farmaan e Bari Ta'ala hain:
وَمَا كُنتَ بِجَانِبِ الطُّورِ إِذْ نَادَيْنَا وَلَٰكِن رَّحْمَةً مِّن رَّبِّكَ لِتُنذِرَ قَوْمًا مَّا أَتَاهُم مِّن نَّذِيرٍ مِّن قَبْلِكَ لَعَلَّهُمْ يَتَذَكَّرُونَ
"Jab humne awaaz di thi, tab aap toor ki taraf nahi thhey, balke yeh aap ke parwardigaar ki taraf se ek rahmat hain, is liye ke aap un logon ko hoshiyaar kar dey, jinke paas aap se pehle koi darane waala nahi pohcha aur wo nasihat hasil kar ley."
(Surah al-Qasas: 46)

④ Farmaan e Ilahi hain:
وَمَا كُنتَ ثَاوِيًا فِي أَهْلِ مَدْيَنَ تَتْلُو عَلَيْهِمْ آيَاتِنَا وَلَٰكِنَّا كُنَّا مُرْسِلِينَ
"(Aye Nabi)! aap madyan mein muqeem nahi thhey ke un par hammari Aayaat tilawat karte, balke yeh khabren hum hi (aap tak) pohchane waale hain."
(Surah al-Qasas 45)

⑤ Irshaad e Bari Ta'ala hain:
مَا كَانَ لِيَ مِنْ عِلْمٍ بِالْمَلَإِ الْأَعْلَىٰ إِذْ يَخْتَصِمُونَ
"(Keh dijiye ke) mujhe un buland qadr fariston ki baat cheet ka koi ilm nahi, jab wo takra rahe thhey."
(Surah Saad: 69)

⑥ Farmaan e Bari Ta'ala hain:
ذَٰلِكَ مِنْ أَنبَاءِ الْغَيْبِ نُوحِيهِ إِلَيْكَ ۖ وَمَا كُنتَ لَدَيْهِمْ إِذْ أَجْمَعُوا أَمْرَهُمْ وَهُمْ يَمْكُرُونَ
"Yeh ghaib ki khabren hain, jo hum aap ki taraf wahi karte hain, aap ikhwaan e yusuf ke paas na thhey, jab unhon ne (Yusuf Aalihis Salaam ko koowan mein phenkne ka) pokhta azm kar liya tha, wo makr kar rahe thhey."
(Surah Yusuf: 102)

Imam Ibne Jareer Tabri Rahimahullah (224-310 hijri) likhte hain:
يقول؛ وما كنت حاضرًا عند إخوة يوسف، إذ أجمعوا واتفقت آراؤهم، وصحت عزائمهم، على أن يلقوا يوسف في غيابة الجب
"Allah ﷻ ne Nabi e Kareem se farmaaya ke aap us waqt Yusuf (Aalihis Salaam) ke bhaiyon ke paas hazir nahi thhey, jab unhon ne Yusuf (Aalihis Salaam) ko gehrey koowan mein phenkne ka poora irada kar liya tha aur is bareme in ki aaraa muttafiq hogayi thi aur inke azm pokhta ho gaye thhey."
(Tafseer Al-Tabri: 13/98)

In dalayil se sabit hota hain ke Rasoolullah har jagha hazir o nazir nahi hain, iske bawajood baaz log Nabi e Kareem ka har jagha hazir o nazir hona Qur'an o Hadees se sabit karne ki koshis karte hain, jabke Sahaba, Tabayeen aur Ayimma e Deen mein se koi bhi yeh aqeedah nahi rakhta tha, sawaal hain ke kya Aslaaf e Ummat in dalaayil se waqif thhey?
Agar thhey aur yaqinan thhey, tou aakhir unhon ne in dalaayil ki roushni mein aqeedah e hazir o nazir sabit kuy nahi kiya, jabke wo sab se badh kar Kitaab o Sunnat ko samhjne waale aur iske mutabiq aqeedah bananey waale thhey, unka yeh aqeedah iktiyaar na karna is baat ki wazeh daleel hain ke aqeedah e hazir o nazir gumrah-kun aqeedah hain.
Faham e Salaf e Saleheen ki mukhalifat wahi kar sakta hain, jo aqeedah e ahle sunnat se munharif hoga.

Baaz log Nabi e Kareem ke har jagha hazir o nazir hone par yeh Aayat paish karte hain:
ألم تر كيف فعل ربك بأصحاب الفيل
"(Nabi!) kya aap jaante hain ke tere Rab ne hathi walon ka kya hashr kiya.?"
(Surah al-Feel: 1)

Ruyiat do tarha ki hoti hain, basri aur ilmi, mazkorah Aayat mein ruyiat e ilmi hain, jabke baaz ahbaab yahan ruyiat e basri muraad letey hain aur bawar karne ki koshis karte hain ke Nabi e Kareem ne hathi waalon ki halakat ka mushaahidah kiya hain, yeh Qur'an ki wazeh tehreef hain.

Imam Bukhaari Rahimahullah ne "ألم تر" ka ma'na "ألم تعلم" kiya hain.
(Sahih Bukhari: Hadees: 4700 Se Pehle)

Lehaza yahan ruyiat e ilmi muraad hain, zara is Farmaan e Bari Ta'ala par bhi ghaur kijiye:
أَوَلَمْ يَرَ الْإِنسَانُ أَنَّا خَلَقْنَاهُ مِن نُّطْفَةٍ فَإِذَا هُوَ خَصِيمٌ مُّبِينٌ
"Kya insaan jaanta nahi ke humne usey ek haqeer nutfey se paida kiya aur ab wo khullam khulla jhagadta phir raha hain."
(Surah Yaseen: 77)

Kya koi yahan "يَرَ" ka ma'na "dekhna" kar sakta hain? yaqinan yahan ruyiat e ilmi muraad hain.

Kya is Aayat mein bhi ruyiat e basri hi muraad li jayegi?
أَلَمْ يَرَوْا كَمْ أَهْلَكْنَا مِن قَبْلِهِم مِّن قَرْنٍ
"Kya wo (kuffaar) jaante nahi ke humne inse pehle kitni qaoumon ko halaak kiya."
(Surah al-An'aam: 6)

Koi hain, jo yahan bhi ruyiat e basri muraad ley kar kuffaar e makkah ke har jagha hazir o nazir hone ka aqeedah paish karega?

Is jaisi aur bahut se Aayaat maujood hain, har Aayat mein ruyiat e ilmi hi muraad hain.

HADEESI DALAYIL:
① Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha bayaan karti hain:
فقدت رسول الله صلى الله عليه وسلم، ليلة من الفراش، فالتمسته
"Maine ek raat Rasoolullah ko bistar se gom paaya, tou Aap ko talaash karne lagi___."
(Sahih Muslim: 1/192, Hadees: 486)

② Sayyiduna Abu Qatadah Razi Allahu Anhu bayaan farmate hain:
اصبح الناس فقدوا نبيهم
"Subh huwi, tou logon ne Nabi ko gom paaya."
(Sahih Muslim: 1/239, Hadees: 681)

③ Sayyiduna Abdullah Bin Masood Razi Allahu Anhu farmaatey hain:
كنا مع رسول الله ذات ليلة، ففقدناه، فالتمسناه في الاودية والشعاب، فقلنا استطير او اغتيل، قال: فبتنا بشر ليلة، بات بها قوم
"Hum ek raat Rasoolullah ke sath thhey, aap kahin gom hogaye, humne aap ko wadiyon aur ghatiyon mein talaash kiya, phir humne socha ke aap par jinno ya insano ne hamla na kardiya ho, wo saari raat humne pareshani mein aur aziyat mein basr ki, subh huwi tou Aap ghaar e hira ki janib se tashreef laaye, humne arz kiya: Allah ke Rasool! hum aap ko talaash karte rahe, lekin aap na mile, poori raat pareshani aur aziyat mein guzri___."
(Sahih Muslim: 1/184, Hadees: 450)

④ Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha bayaan karti hain:
افتقدت النبي صلى الله عليه وسلم ذات ليلة، فظننت انه ذهب إلى بعض نسائه، فتحسست ثم رجعت، فإذا هو راكع، او ساجد، يقول؛ سبحانك وبحمدك، لا إله إلا انت
"Ek raat maine dekha ke Rasoolullah apne bistar par nahi thhey, maine samjha ke aap kisi biwi ke ghar chale gaye hoge, maine talaash kiya, phir wapas lauti tou Aap ruku ya sajdeh mein yeh dua padh rahe thhey:
سبحانك وبحمدك لا إله إلا انت 
(Sahih Muslim: 1/192, Hadees: 485)

⑤ Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu bayaan karte hain:
ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقد ناسا في بعض الصلوات
"Rasoolullah ne ek namaz mein kuch logon ko gom paaya."
(Sahih Muslim: 1/232, Hadees: 651)

⑥ Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu bayaan karte hain:
ان امراة سوداء كانت تقم المسجد او شابا، ففقدها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فسال عنها او عنه، فقالوا؛ مات
"Ek siyah faam aurat ya nawjawaan masjid mein jhaadou diya karta tha, Rasoolullah ne usey gom paaya, tou uske bareme dariyaafth farmaaya, Sahaba e Kiraam ne arz ki: uski wafaat ho gayi."
(Sahih Muslim: 1/309, Hadees: 2215)

⑦ Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu bayaan karte hain:
ان النبي صلى الله عليه وسلم افتقد ثابت بن قيس، فقال؛ رجل يا رسول الله انا اعلم لك علمه فاتاه فوجده جالسا في بيته منكسا راسه،
"Nabi e Akram ne Sabit Bin Qais Razi Allahu Anhu ko gom paaya, ek aadmi ne arz kiya: Allah ke Rasool! main aap ko unke bareme aaghahi deyta hon, wo shaksh aaya tou dekha ke wo apne ghar mein sar jhukaye baithey hain."
(Sahih Bukhaari: 1/510, Hadees: 3613)

⑧ Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu bayaan karte hain:
انه لقيه النبي صلى الله عليه وسلم في طريق من طرق المدينة، وهو جنب، فانسل، فذهب فاغتسل، فتفقده النبي صلى الله عليه وسلم، فلما جاءه، قال؛ اين كنت يا ابا هريرة؟
"Main madina e munawwara ke ek raaste mein Nabi e Akram se mila, us waqt main janabat ki halat mein tha, lehaza chopke se wahan se chala gaya aur jaa kar ghusl kiya, Nabi.E Kareem ne mujhe gom paaya, main jab wapas aaya tou Aap ne farmaaya: Abu Huraira! aap kahan thhey?"
(Sahih Muslim: 1/162, Hadees: 371)

⑨ Sayyiduna Qurrah Bin Iyas Razi Allahu Anhu bayaan karte hain ke ek ansari Sahabi ka Nabi e Akram ke paas aana jaana tha, unke sath ek bachcha bhi huwa karta tha, ek din Nabi e Akram ne unse farmaaya: kya aap isse muhabbat karte hain? Sahabi ne arz kiya: ji han, Allah ke Rasool___
فقده النبي صلى الله عليه وسلم، فسأل عنه، فقالوا؛ يا رسول الله! مات ابنه
"Nabi e Akram ne usey gom paaya, tou us ke bareme dariyaafth farmaya, Sahaba e Kiraam ne arz ki: Allah ke Rasool! uska beta foot hogaya hain."
(Musnad al-Tayalisi: 145, Musnad al-Imam Ahmed: 3/436, Sunan an-Nasaa'i: 1871, al-Mustadrak Ala al-Sahihain Lil Haakim: 1/384, Wa Sanadahu Sahih)

Is hadees ko Imam Ibne Hibbaan Rahimahullah (2947) ne "Sahih" kaha hain.

Imam Haakim Rahimahullah farmate hain:
هذا حديث صحيح الإسناد
"Is hadees ki sanad Sahih hain."

Hafiz Zehbi Rahimahullah ne bhi isse "Sahih" qaraar diya.

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne iski Sanad ko "Sahih" kaha hain."
(Fath ul-Bari: 3/361)

⑩ Sayyiduna Abu Barzah Aslami Razi Allahu Anhu bayaan karte hain:
خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم في غزوة له، قال؛ فلما أفاء الله عليه قال لأصحابه؛ هل تفقدون من أحد؟ قالوا؛ نفقد فلانا، ونفقد فلانا، قال؛ انظروا، هل تفقدون من أحد؟ قالوا؛ لا، قال؛ لكني أفقد جليبيبا، قال؛ فاطلبوه في القتلى، قال؛ فطلبوه، فوجدوه إلى جنب سبعة قد قتلهم ثم قتلوه
"Rasoolullah ek ghazwe mein nikley, jab Allah ﷻ ne aap ko maal e ghanimat aata kiya tou Aap ne Sahaba se farmaya: koi Sahabi yahan se ghaib tou nahi? Sahaba ne arz ki: falaan aur falaan nahi hain, farmaya: dekho, kya koi aur bhi hain jo mil na rahen hon? Sahaba ne arz kiya: nahi, Aap ne farmaya: Julaybib nazr nahi aa rahen? unhen makhtoleen mein talaash karo, Sahaba e Kiraam ne talaash kiya tou unhen saat kuffaar ke pehlo mein paaya, jinhen Julaybib Razi Allahu Anhu ne qatl kiya tha, phir kuffaar ne unhen shaheed kar diya tha."
(Musnad Al-Imam Ahmed: 4/422, Sahih Muslim: 2472)

In dalayil se wazeh taur par maloom ho raha hain ke Rasoolullah apni hayaat e mubaraka mein bhi har jagha hazir o nazir na thhey, Aap Sahaba e Kiraam se aur Sahaba e Kiraam Aap se gom ho jaya karte thhey, aagar Aap har jagha hazir o nazir thhey tou aisa kuy hota tha?

⑪ Sayyiduna Mughirah Bin Shobah Razi Allahu Anhu bayaan karte hain:
كنت مع النبي صلى الله عليه وسلم في سفر، فقال؛ يا مغيرة، خذ الإداوة، فأخذتها، فانطلق رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى توارى عني فقضى حاجته
"Main Nabi e Akram ke sath ek safar mein tha, Aap ne farmaaya: Mughirah! (pani waala) bartan pakdou, maine bartan pakad liya, phir Aap chaltey gaye hatta ke mujh se chop gaye aur qaza e hajat se farigh huwe."
(Sahih Al-Bukhaari: 1/52, Hadees: 363, Sahih Muslim: 1/133, Hadees: 274)

Kya jo shaksh doosron se itna door ho jaye ke unki aankho se oujhal ho jaye, wo har jagha hazir o nazir hota hain? aqli taur par bhi mahaal aur namumkin hain ke Rasoolullah har jagha hazir o nazir hon, kuy ke har jagha mein tou gandagi aur ghalazat wali jaghen bhi shamil hain, neez logon ki khalwat-gha hain aur aisi jaghen bhi shamil hain jinko ek aam musalmaan bhi dekhna pasand nahi karta, kisi musalmaan ke liye kaise mumkin hain ke wo Aap ke apne paas hazir o nazir hote huwe apni zindagi ke saarey ma'aamlaat ko anjaam dey sake, bahut se jaiz ma'aamlaat aise hain ke ek musalmaan mar tou sakta hain lekin in ko kisi doosren musalmaan bhai ke saamne bhi anjaam nahi dey sakta che-jaye-ke Rasoolullah ke hazir o nazir hote huwe wo aisa kare?

⑫ Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha bayaan karti hain:
أبطأت على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم ليلة بعد العشاء ثم جئت، فقال أين كنت؟ قلت؛ كنت أستمع قراءة رجل من أصحابك لم أسمع مثل قراءته وصوته من أحد، قالت؛ فقام وقمت معه حتى استمع له، ثم التفت إلي، فقال؛ هذا سالم مولى أبي حذيفة، الحمد لله الذي جعل في أمتي مثل هذا 
"Maine Rasoolullah ke zamane mein ek raat Isha ke b'ad deer kardi, phir aayi tou Aap ne pouchaa: kahan thi aap? arz kiya: main aap ke ek Sahabi ki qiraat sun rahi thi, maine na uski qiraat ki tarha koi qiraat suni hain, na uski awaaz ki manid koi awaaz, phir Aap khade huwe aur main bhi aap ke sath khadi hogayi hatta ke Aap ne qari ki qiraat suni, phir meri taraf tawajju ki aur farmaya: yeh Abu Huzaifa ke aazaad karda ghulaam saalim hain, tamaam tareefen ussi Allah hi ke liye hain jisne meri ummat mein is tarha ke log paida kiye hain."
(Sunan Ibne Maajah: 1338, Musnad al-Imam Ahmed: 6/165, Musnad al-Bazzaar: 2694, Al-Mustadrak Ala Al-Sahihain Lil Haakim: 3/225,226, Wa Sanadahu Sahih)

Is hadees ko Imam Haakim Rahimahullah ne Bukhari o Muslim ki shart par "Sahih" qaraar diya hain, hafiz zehbi ne inki muwafiqat ki hain.

Hafiz Haishmi farmate hain:
ورجاله رجال الصحيح
"Is ke rawi Sahih Bukhari waale hain."
(Majmu az-Zawaid: 9/300)

Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah ne iski Sanad ko "Jayid" kaha hain. (Muqaddamah Tafseer Ibne Kaseer: 1/63, Bi Tehqeeq Abdur Razzak al-Mehdi)

Hafiz Busiri Rahimahullah kehte hain:
هذا إسناد صحيح، رجاله ثقات
"Ye Sanad Sahih hain aur iske saare rawi Siqa hain."
(Misbah Al-Zujajah: 1/534)

⑬ Nabi e Akram ne farmaaya:
أتاني أبو بكر رضي الله عنه، فقال؛ يا رسول الله! أين كنت الليلة، فقد التمستك في مكانك؟، فقال؛ أعلمت أني أتيت بيت المقدس الليلة؟
"Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) mere paas aaye aur kehne lagey: Allah ke Rasool! aap kahan thhey? maine aap ko aap ke ghar mein talaash kiya tha, maine kaha: kya aap ko maloom hain ke main aaj raat baitul maqdis gaya tha?"
(Al-Maujam ul-Kabeer Lit Tabraani: 7/283, Hadees: 7142, Tehzeeb ul-Aasaar Lit Tabri: 2775, Musnad Al-Bazzaar: 3484, Dalaqyil Al-Nabuwa Lil Bihaqi: 2/107-109, Wa Sanadahu Hasan)

Imam Bihaqi Rahimahullah ne is ki Sanad ko "Sahih" kaha hain.

⑭ Rasoolullah ne gazwa e uhad ke mauqe par Saad Bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu se farmaaya:
!ين كنت اليوم ياسعد!
"Saad! aaj aap kahan thhey."
(Al-Mustadrak Ala al-Sahihain Lil Haakim: 3/26, Hadees: 4314, Wa Sanadahu Hasan)

Qarayeen kiraam! Aap in Qur'aani Aayaat e Mubaraka aur Sahih Aahadees e Nabawiyah par ghaur karen aur kudh faisla kare ke Rasoolullah ke hazir o nazir hone ka aqeedah Qur'an o Sunnat ke muwafiq hain ya mukhalif? Allah ﷻ ne kudh Aap ke mukhtalif maqamaat par hone ki nafi ki hain, is tarha kudh Rasool e Akram Sahaba e Kiraam se istefsaar farmate thhey: "aap kahan thhey?", neez Sahaba e Kiraam bhi Aap se pouch leyte thhey: Aap kahan thhey? aagar Nabi e Akram har jagha hazir o nazir hote, tou aap ko aur Sahaba e Kiraam ko yeh kehne ki kya zarorat thi? phir hazir o nazir ka aqeedah rakhen waale yehi hazraat ilm e ghaib ka aqeedah bhi rakhte hain, bhala jo kisi jagha maujood hon, wahan ki baat uske liye ghaib kaise huwi? ilm o aamal ka kya taqaza hain? Qur'an o Hadees kis taraf rehnumayi karta hain? aur haq o insaaf ki kya pukaar hain? faisla aap par hain!!!

Dua hain ke Allah humme rahe haq par gaamzan farmaye. (Aameen)

Tahreer: Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Romanised: Syed Ibrahim

Tamaam Articles