Narmi Karen!
بسم الله الرحمن الرحيم
يَا عَائِشَةُ: إِنَّ اللَّهَ رَفِيقٌ يُحِبُّ الرِّفْقَ، وَيُعْطِي عَلَى الرِّفْقِ مَا لَا يُعْطِي عَلَى الْعُنْفِ، وَمَا لَا يُعْطِي عَلَى مَا سِوَاهُ
"Aye Ayesha! beshak Allah rafeeq (narm-khuu) hai, narmi ko pasand karta hai, wo narmi par itnaa kuch aata farmaata hai jitna wo sakhti par nahi deyta aur na iske ilaawah kisi aur ko is tarha bakhshtaa hai."
(Sahih Muslim, Hadees 2593)Aur neez Aap ﷺ ne farmaaya:
إِنَّ الرِّفْقَ لَا يَكُونُ فِي شَيْءٍ إِلَّا زَانَهُ، وَلَا يُنْزَعُ مِنْ شَيْءٍ إِلَّا شَانَهُ
"Jis cheez mein bhi narmi ho tou wo usey muzayyan wa khoobsurat bana deyti hai aur jis se narmi uth jaaye tou wo cheez badsurat ho jaati hai."
(Sahih Muslim, Hadees: 2594)Ek daf'ah ka zikr hai ke ek arabi (dihaati) ne masjid mein paishaab kar diya tou log uski taraf (mana' karne ke liye) khade ho gaye, Nabi ﷺ ne farmaaya: usey chhor do aur paishaab waali jagah par paani ka ek doal bahaa do, (aur farmaaya)
فَإِنَّمَا بُعِثْتُمْ مُيَسِّرِينَ وَلَمْ تُبْعَثُوا مُعَسِّرِينَ
(Tumhen aasaani karne waala banaya gaya hai, sakhti karne waala nahi banaya gaya)."
(dekhe, Sahih Bukhari, Hadees: 220)
Phir Aap ﷺ ne ek doal mangwaa kar wahan bahaa diya. (dekhe, Sahih Bukhari, Hadees: 219, Sahih Muslim: 285)
Rasoolullah ﷺ intehayi meharbaan, Rahmatullil 'Alameen aur narmi farmaane waale thhey:
Sayyiduna Mu'aawiyah bin Hakam as-Sulami (Razi Allahu Anhu) ne namaz mein duniyawi baaten karna shuro' kar di thi tou log sakht naraaz huwe lekin Rasoolullah ﷺ ne unhen intehaayi narmi se samjhaya, Sayyiduna Mu'aawiyah bin Hakam (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya:

فَبِأَبِي هُوَ وَأُمِّي، مَا رَأَيْتُ مُعَلِّمًا قَبْلَهُ، وَلَا بَعْدَهُ أَحْسَنَ تَعْلِيمًا مِنْهُ، فَوَاللَّهِ مَا كَهَرَنِي وَلَا ضَرَبَنِي وَلَا شَتَمَنِي
"Mere maa baap Aap ﷺ par qurbaan hon! maine aap jaisa behtareen mu'allim (ustaaz) koi nahi dekha, na pehle na b'ad mein, Allah ki qasam! aap ne na mujhe na daanta, na maara aur na bura bhala kaha."
(dekhe, Sahih Muslim, Hadees: 537)
Agar kisi bhai se koi ghalti ho jaaye tou usey intehaayi narmi aur payaar o muhabbat se samjhana chahiye, taake wo aaindah aisi ghalti kabhi na kare, Islam amn o salamati ka deen hai aur agar us par sahih tariqe se amal kiya jaye tou saari duniya amn o salamati ka gehwaarah ban jaye.
Ishaatulhadith Shumarah: 64, Page: 50
Tahreer: Hafiz Zubair Ali Zai رحمہ اللہ