Kya faout shudagaan ko bura bhala kehna mamnoo' hai?

Sayyidah 'Aisha (Razi Allahu Anha) bayaan karti hain ke Rasoolullah ne farmaaya:
لَا تَسُبُّوا الْأَمْوَاتَ فَإِنَّهُمْ قَدْ أَفْضَوْا إِلَى مَا قَدَّمُوا
"Faout shudagaan ko bura bhala mat kahen, wo apne kiye ka badla paa chuke hain."
(Sahih Bukhari: Hadees 1393)

Hum samhjte hain ke faout hone waala agar aylaaniya gunaah nahi karta, tou usey bura bhala kehna haraam hai, albattah agar aylaaniya gunaah ka murtakib hai tou salaf ki ray is barey mein mukhtalif hai, khulasah yeh hai ke faout shudagaan ko bura bhala kehne par mumaana'at waarid huwi hain, albattah fitna parwaron, ahle bid'aat ke sardaron aur sarghano aur kufr o shirk ki dawat deyne waalon ko bura kehna aur inki badbakhti ka tazkirah karna sareeh nusoos se saabit hai, jaisa ke Qur'an mein fasiqon ka tazkirah kiya gaya hai, Momineen ko is ki ishaa'at ka hukm diya gaya hai, Ahadees mein bhi is tarha ke tazkirey maujood hain, maslan Nabi e Kareem ne 'amr bin luhai ka tazkirah kiya. (Bukhari: 1212, Muslim: 901)

Fatawa Amanpuri Qist 56, Page 1

Jawaab Az: Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Tamaam Articles