Kya corona virus se marne waala shaheed hai?

"Corona virus ki surat e haal nimoniyah waali hai, is liye is virus se marne waala bhi shaheed e hukmi hai, In-Sha-Allah."

Sayyiduna Jabir bin 'Ateek (Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke Rasoolullah 
 ne farmaaya:
«إن الله قد أوقع أجره على قدر نيته، وما تعدون الشهادة؟» قالوا: القتل في سبيل الله، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " الشهداء سبعة، سوى القتل في سبيل الله: المطعون شهيد، والغرق شهيد، وصاحب ذات الجنب شهيد، والمبطون شهيد، والحرق شهيد، والذي يموت تحت الهدم شهيد، والمرأة تموت بجمع شهيد
"Allah Ta'ala niyat ke mutaabiq ajr deyta hai, aap shahadat kise samjhte hain? Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) kehne lagey: maidaan e jihaad mein apni jaan ka nazrana paish karna, Aap  ne farmaaya: maidaan e qitaal ke ilaawah bhi saat asbaab e shahadat hain, (1)Marz e ta'oon mein mubtalah ho kar jaan ki baazi haarne waala, (2)Doob kar marne waala, (3)Nimoniyah se jaa bhaq hone waala, (4)Pait ki bimaari se jaan ki baazi haar jaane waala, (5)Jal kar halaak hone waala, (6)Dab kar dam tod deyne waala, (7)Haml se faout ho jaane waali khatoon."
(Muwatta Imam Malik: 1/233,234, Sunan Nasayi: 1846, Sunan Abi Dawood: 3111, Wa Sanadahu Hasan)

Is hadees ko Imam Ibne Hibbaan Rahimaullah (3189) ne "Sahih" aur Imam Haakim Rahimaullah (1/503) ne iski sanad ko "Sahih" kaha hai, aur Hafiz Zehbi Rahimaullah ne "Sahih" kaha hai.

Yeh sa'aadat uske liye hai, jo Sahih ul Aqeedah, Mutasharri' (shari'at par amal karne waala) aur Saleh ho, kiyunke 'aitebaar aqeede aur amal ka hai.

Fatawa Amanpuri Qist 58, Page 7-8

Jawaab Az: Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Tamaam Articles