Juma' Ke Din Maqbooliyat E Dua Ka Waqt!
بسم الله الرحمن الرحيم
سَاعَةٌ لَا يُوَافِقُهَا عَبْدٌ مُسْلِمٌ وَهُوَ قَائِمٌ يُصَلِّي يَسْأَلُ اللَّهَ تَعَالَى شَيْئًا إِلَّا أَعْطَاهُ إِيَّاهُ وَأَشَارَ بِيَدِهِ يُقَلِّلُهَا
"Is mein ek aisa waqt hai jis mein musalmaan bandah khada ho kar namaz padh raha hota hai phir Allah se jo bhi sawaal karta hai tou Allah usey qubool farmaata hai." aur Rasoolullah ﷺ ne hath ke sath ishaarah kiya ke yeh bahut thoda waqt hota hai.
(Muwatta Imam Malik Riwayat Ibne Qaasim: Hadees: 332, Wa Sanadahu Sahih, Muttafaq Alaih)❀ Juma' ke din maqbooliyat e dua ke waqt ke bareme ikhtilaaf hai: Ek riwayat mein aaya hai ke yeh juma' ke din ka aakhiri waqt hota hai, dekhe (Muwatta Imam Malik, Hadees 515)
Sayyiduna Abu Musa Ash'ari (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
هِيَ مَا بَيْنَ أَنْ يَجْلِسَ الْإِمَامُ إِلَى أَنْ تُقْضَى الصَّلَاةُ
"Yeh waqt Imam ke (minbar par) baithne aur namaz khatam hone ke darmiyaan hai."
(Sahih Muslim: 853, Darussalam: 1975)
Sayyiduna Jaabir bin Abdullah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
فَالْتَمِسُوهَا آخِرَ سَاعَةٍ بَعْدَ الْعَصْرِ
"Ise asar ke b'ad aakhiri ghadi mein talash karo."
(Sunan Abu Dawood: 1048, Wa Sanadahu Sahih, Imam Hakim ne ise Muslim ki Sharayit ke mutabiq saheeh kaha (1/279) aur Imam Zehbi ne muwafaqat ki)
(Sunan Abu Dawood: 1048, Wa Sanadahu Sahih, Imam Hakim ne ise Muslim ki Sharayit ke mutabiq saheeh kaha (1/279) aur Imam Zehbi ne muwafaqat ki)
B'az kehte hain ke "فَالْتَمِسُوهَا" se aakhir tak Abu Salmah bin Abdur Rahman (Rahimahullah) rawi e hadees ka qaul hai lekin is qaul ki koi daleel maloom nahi hai. Wallahu Aalam
Mumkin hai ke mukhtalif logon ke ahwaal ke lihaaz se maqbooliyat e dua ki yeh ghadi kisi ke liye b'ad az asar ho aur kisi ke liye khutbah aur namaz ke darmiyaan ho. Wallahu Aalam
❀ Khaday ho kar namaz padhne se yeh bhi muraad ho sakti hai ke mazkoorah shakah namaz ka paaband ho. Dekhe (at-Tamheed 19/18,19) aur (Fath ul Baari: 2/416 Hadees 935 ke tehat)
❀ Tawoos Taaba'yi (Rahimahullah) ne farmaaya: "Yeh waqt jis ki umeed hai, juma' ke din asar ke b'ad hota hai." (Musannaf Ibne Abi Shaibah: 2/144 Hadees 5471 Wa Sanadahu Sahih)
❀ Baqi ayyaam ki ba-nisbat juma' ka din sab se afzal hai.
❀ Namaz mein apne liye arabi zabaan mein har achchyi dua maangna jayiz hai agarcheh uske alfaaz hadees mein na milen.
❀ Abu Salmah bin Abdur Rahman bin 'Awf ne kaha: "Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) mein se kuch log ikkhatte huwe tou unhon ne juma' ke din ki ghadi ke bareme tazkiah kiya phir unka is par ittefaaq ho gaya ke yeh juma' ki aakhiri ghadi hai." (al-Awsat Li Ibne Munzir: 4/13, Wa Sanadahu Sahih)
❀ Hafiz Ibne Hajar (Rahimahullah) ne Fath ul Baari mein is hadees ki tashreeh mein taweel behas o tehqeeq likhi hai..
Reference: (Muwatta Imam Malik Riwayat Ibne Qaasim: Tarjuma Tehqeeq wa Haashiyah Az: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Safah: 411)
Tahreer: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah
Romanised: Syed Ibrahim
Yeh Article Bhi Padhe: