Haaye Mere Baba Jaan Ki Takleef!
بسم الله الرحمن الرحيم
(Musnad Ahmed: 3/141 Wa Sanadahu Hasan, Sunan Ibne Majah: 1629 Wa Asluhu 'Indal Bukhaari)
Sayyiduna Anas ((Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke jab Nabi e Kareem ﷺ wafaat paa gaye tou Sayyidah Fatimah (Razi Allahu Anha) ro rahi thhyen aur sath keh rahi thhyen: "Haaye abba jaan! hum Jibrayeel (Alaihis Salaam) ko aap ki wafaat ki khabar sunaate hain."
(Sahih Bukhari: 4462, Musnad Ahmed: 3/197)
Imam Saabit al-Bunaani tabayee (Rahimahullah) ne jab yeh hadees ko bayaan kiya tou is qadr roye ke shiddat e giryah (bahut ziyadah roney) se unki pasliyan hilne lagen.
(Sunan Ibne Majah: 1630)
Sayyiduna Anas (Razi Allahu Anhh) bayaan karte hain ke jab hum Nabi e Kareem ﷺ ko dafn kar ke wapas aaye tou Sayyidah Fatimah (Razi Allahu Anha) ne mujh se kaha:
"Aye Anas! tumhaare dilo ne kaise gawaara kar liya ke tum Rasoolullah ﷺ ko mitti mein dafn kar wapas laut aaye???."
(Sahih Bukhari: 4462, Musnad Ahmed: 3/204)
..... .... ....... ...
Sayyiduna Anas (Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke Nabi e Kareem ﷺ ki wafaat ke b'ad Sayyiduna Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ne Umar Farooq (Razi Allahu Anhu) se farmaaya: aaye Sayyidah Umme Ayman (Razi Allahu Anha) ke paas chalte hain jis tarha Rasoolullah ﷺ bhi unke paas jaaya karte thhey, jab hum inke paas pohnche tou wo (Rasoolullah ﷺ ko yaad kar ke) roney lagen, Sahibain (Razi Allahu Anhuma) ne pochaa: aap kiyun roti hain, Allah ke haan apne Rasool ke liye bahut behtareen jagah hai, Umme Ayman (Razi Allahu Anha) farmaane lagen: main is wajah se nahi ro rahi ke mujhe pata nahi ke Allah ta'ala ke haan uske Rasool ke liye behtareen jagah hai balke main tou is liye roti hon ke ab aasmaan se wahi ka silsila munqati' ho gaya. inki baat ne Sahibain Abu Bakr wa Umar (Razi Allahu Anhum) ko bhi afsurdah kar diya aur wo bhi roney lag gaye.
(Sahih Muslim: 2454, Dalaail un Nabuwah Lil Baihaqi: 7/266)
Hafiz Muhammad Tahir Hafizahullah
Romanised: Syed Ibrahim